Wednesday, January 17, 2007

likhoon kuch aaj


  • Likhoon kuch aaj yeh waqt ka takaza hai,
    Dil mein dard abhi taza taza hai,
    Gir padte hain aansu mere kagaz par,
    Lagta hai kalam mein siyahi kam aur ishq zyada hai

    Itni muddat baad mile ho,
    Kin sochon mein goom rehte ho,
    Tez hawa ne mujhse puchha,
    Reit par kya likhte rehte ho,
    Kaun si baat hai tum mein aisi,
    Itne achche kyon tum lagte ho,
    Humse na punchho hijr ke qisse,
    Apni kaho ab tum kaise ho.
  • Judaai to mohabbat ki takdeer hai,
  • Do dilon ko jo tode yeh wo lakeer hai,
  • Mohabbat agar hai aaina khuda ka,
  • To yeh aaine ke peechhe ki tasweer hai,
  • Tujhe tadapna na pade meri tarah ishq mein,
  • Tere saath meri khushiyon ki jageer hai,
  • Meri maut pe aanna ek rasm hi sahi,
  • Yeh hamaari mohabbat ki aakhri zanjeer hai.

HUM SAGAR KHANGALTE GAYE,

LOG MOTI UDAA LE GAYE,gfrd

KYA KUCHH NAHIN THA MERI AANKHON MEIN,

KAMBAKHT ASHK SAB BAHA LE GAYE.

No comments: