Tuesday, January 30, 2007

dil karta hai



Dil karta hai teri julfon ki ghani chhaanv me
kho jaaoonTeri een jhooki palkon tale
apnaa ashiyaan banaaoonchhookar tujhe chhoo loon
tere man ke har taar taar ko
Or teri aankhon ke raaste tere dil me utar jaaoon

Meri aankhon mein sirf uska hi ghar banaungi
Kisi aur ko inn julfon tale na kabhi chhupaungi
Chhuna naa mere iss mann ko koi
Nahin to main khud hi jal jaaungi
Phir koi utrega kaise iss dil mein
Agar main jal ke rakh ban jaaungi

Lahraoge julfen to koi behosh ho jayegaa
jhookaoge palken to kissi ka chain jayegaa
Mat maro yoon dewanon ko apni adaaon se
koi en jheel si aankhon me doob jaayega

Jisne Laila Majnoo ka jikar kiya unko pehchaante hain
Kisne jaan di thi mohabbat mein hum ye sab jaante hain
Char line dil se likhna yahan aapko koi khel lagta hoga
Kiski shaayari mein kitni sachhai hai ye sab jaante hai

Mohabbat kya hai kisi ki maang mein sindoor bharkar dekho
Yun likh ke tum bhi apne aap ko shayar na samjho
Shayari kya hoti hai ise dhang se samajhne ke liye
Taane maarne se pahle kisi ke dil pe beeti har baat ko samjho

Socha to bahu kuchh tha humne
Woh is gulistan mein bahaar laayenge
Magar kya maloom tha woh daga denge
Aur Hum phir se ek jeeti baazi haar jaayenge

Gulabon ke pas hamne kab se jana chhodd diya
Nazron ko kab se milana chhodd diya
ab to sab brabar lagta hei
Humne hisab lagana chhodd diya

No comments: