Tuesday, December 27, 2005

Mere dost

Jab se mili ho tum, ho jata hoon bekarar
Jiska hain pal pal karta hoon intazaar
Kya jadoo kiya hain tumne kese batahoon
Hey mere humdum dost tume kese jatahoon
Chand Sitaron se bari dunia main
Tha mere liye aandhiyara
Asha rupi kirna banker
Tumi ne kiya ujiyara
Tode se dino ke pahachaan
Barso kee see baath ho gayee
Chand ghari ke ye batain
Meri jindgani hee ban gayee
Jo samay aapke saath kat jata hain
Wo hee samay yaad aata hain
Ab to aalam yah hain kee
Sabse pahle aapka naam yaad aata hain
Hey mere dost bhool mujko na jana
Khuch dena chahte ho to yaad hamesa aana
Kam se kam jab akhri saans ho
Uss samay tumi hee ek yaad aana.

Sunday, December 25, 2005

Woh ...

palko ki chilman se suraj ki kirno ko dekha
om ki chahat ko khud par simat te dekha
o kirne nahi thi baahen tumhari mujhko bulaati thi nazdeek tumhaare ,
khud ko rok sakte nahi bin tumhare ji sakte nahi
phoolo ko jab khilte dekha us main bhi dekhi surat tumhaari
bebas hokar baith sakti thi kewal kirno ko door se dekh sakti thi kewal
choone ko jayse hi badhte the aage gum ho jaati thi surat tumhari
phoolo se aai thi khusboo tumhari aankhe band karke faelaai baahen
aysa laga tum ho saath hamare

agar main app ki ansuu ki ek bund hoti to appki ankho main pedi
hoti,galo pe jiti aur,hotho pe marti aur agar appp mere ankh ke asnsu
hote to main app ko khone ke dar se kabhi nahi roti

pehli bar usko deka woh mera dil ban gaya usko soocha woh meri darkan
ban gaya usko jaana woh meri jaan ban gaya usko yaad kiya woh meri
duniya ban gaya kash main yeh jaanta ke izhar ke intazar main koi meri
duniya mujhse cheen le ga kash woh yeh jaan jaata ke woh mera pehla
pyar ban gaya

Thursday, December 22, 2005

Aansuon ki kismat

jindagi ki raho main jab age jaouge ,
pichhe ek saya hamensha paoge,
mudkar dekhogi to tanhai hogi ,
magar mahsoos karogi to hame sath paogi

hotho ki zuban ye assu kehte hai,
jo chup rehte hai fir bhi behte hai,
aur in assu ki kismat to dekho
ye innkeliye behte hai jo in ankho main rehte hai

appko bhuljau umar gujarjane ki baat hai,
app ko naho yakin ye kuch aur baat hai...
jab tak rahegi saas tab tak rahogi yaad
yeh saas toot jaye to aur baat hai

Saturday, December 03, 2005

Zindagi

Mushkilon se Aapki Mulakat Na Ho,
Udas Baitho Esi koi Baat Na ho....
Dua Hai Ki Mehfilon Se Saje Zindagi Aapki,
Bas Mumein Pukar Lena Agar koi Saath Na Ho.


teri zindagi ke lamehe main har pal nikhar aaye
gulshan bhi ho paresha is kadar bahar aaye
Door hi sahi, kinaara to hai...
Timtimaata hi sahi, sitaara to hai..
Ho jaati hai tumhari yaad se hi tasalli..
Tinka hi sahi... sahara to hai..

Tum ko Khushi mile , Tum ko Chahat mile
Tumhain saare jahan ki Mohabbat mile
Jahan main sab se hon acche Tumhare Naseeb
Koi dukh kabhi bhi na aaye Tumhare Qareeb

Aasoo-on Ke Chalne Ki Aawaaz Nahi Hoti
Dil Ke Tootne Ki Aahat Nahi Hoti
Agar Hota Khuda Ko Har Dard Ka Ehsaas
To Usey Dard Dene Ki Aadat Nahi Hoti

aisa rumaal hi kahan jo mere asoon ko poch sake
tumhara aisa yeah dil kahan jo mere haal ko samajh sake"

Fareb tha hasi mein, aashiqui samaj baithe...
Maut ko hi hum, apni zindagi samaj baithe....
Waqt ka mazak tha ya badnasibi hamari...
Unki do baton ko, Hum Chahat samaj baithe...!!!

Tum haseen ho to hum bhi kuch kam nahi
Tum mahlo ki ho to hum bhi sadko ke nahi
Pyaar kar ke kehti ho ke shaadi shuda ho
Kaan khol kar sunlo Kuvare hum bhi nahi.


Har baar hosla karte hain
phir khud hi toot jate hain
Is dil ko khud hi samjha kar
is dil se har jate hain
Phir se ret ko muthi mein pakad ka r
phisalta pate hain Ankhon mein samandar ko samette samette
chalkta pate hain Har baar kuch chah kar ,
woh khud hi kar jaate hain Intezar karvate karvate ,
khud hi intezar karta pate hain Na jane kyun is dil ko ,
samjha hi nahi pate hain Apne aap khud ko mana hi nahin pate hain
Woh kya samjhenge jasbaat jinhe 'EHSAAS' hi nahi
Na jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jate hain.

Friday, December 02, 2005

dil ki baat

Samja na koi dil ki baat ko,
Dard duniya ne bina soche hi de diya
Seh gaye jo humdard ko chupke se
To humko he patthar dil keh diya


Itna kuch khoya ki hume pana nahi aaya
Pyar kiya to phir jatana nahi aaya
Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein woh
Kasoor unka nahi humara tha
jo unke dil me samana nahi aaya


Gadha jo khaye wo Ghas ho tum
Buddhe ka Chyawanprash ho tum,
Idiot stupid bakwas ho tum
Par jo bhi ho yar, Dost Jhakaas ho tum

chahat

Chahat par ab aitbar na raha
Khushi kya he ye ahsas na raha
Dekhe he in ankho ne tute hue sapno ko
isiliye ab kisi aur ka intjar na raha

Woh yaad aaye bhulate bhulate
Dil ke zakham ubhar aaye chupate chupate
Sikaya tha jisne muskurana
Usine rulaya hasate hasate.

Kash Khuda ne Hame Kitab Banaya Hota
Use Padne K Liye Sirf Aapko Banaya Hota...
Aap Padte Padte So Jate,
Is Bahane Hame Gale To Lagaya Hota

Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi
Aap Jese Dost Jabse Mile
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Jarurat Nahi

Asmaan ko neend aaye toh sulau kahaan
Dharti ko maut aaye toh dafnau kahan
Sagar mein lehar aaye toh chupau kahan,
Jab kisi ki yaad aaye toh jau kahaan

dosti

phool aysa ho jo baag ko bhar de
ham safar aysa ho jo andhere ko roshan kar de
dost aapke jaysa ho jo zindgi ko khusiyon se bhar de

ham hawa ke saae hain guzar jaaenge khaamosi se dil main utar jaenge
pakki hai dosti ye huwa ahsaas tumse bichad kar ham kidhar jaenge

Wednesday, November 30, 2005

Taqdeer

TUMHARI ZULFOON MAI KOI PHOOL SAJATE HUM BHI
TUM JO KEHTI,,TOW WOSE KHUWAB SUNATE HUM BHI
HAATH HATHOON MAI AGAR TUM NE THAMAYA HOTA
TUMHE GIRNE SE BOHOT PHELAY BACHATE HUM BHI

nakaam si koshish kiya karte hai
hum hai ke unse ulfat kiya karte hain
taqdeer mein ek tuta tara nahi likha hai
aur hum hai ke chaand ki arzoo kiya karte hai

Sunday, November 27, 2005

aankhen

Log kahte hain ki hame aadat hain muskurane ki
Vo kya jane, Ye bhi ek ada hain gam chhupane ki

DIL JAL KER KHAK HUA, AANKHOON SE ROOYA NA GAYA,
ZAKHM KUCH AISE LAGAY, PHOLOON PE SOYA NA GAYA

Ea jaan jab bhim tu udas hoga
,mera khyal tere pass hoga,
dil ki gehriyo se jab karoge yaad ,
tumhe hamare karib hone ka ehsaas hoga

Yaar ne dil ka hall batan chod diya,
Humne bhi gehrai mai jana chod diya,
Jab unko hi duriyo ka ehssas nahi,
To humne bhi ehssas dilana chhod diya

Kabhi toh ki hogi suraj ne chaand se mohabbat
tabhi toh chaand mein daag hai
mumkin hai chaand ne ki hogi bewaffai
tabhi toh suraj mein itni aag hai

Fiza par toh asar hawaaon ka hota hai
Mohabbat par asar adaaon ka hota hai
koi aise hee kisi ka diwaana nahi hota
kuch kasoor toh nigaahon ka bhi hota hai
GHUM ME HASNE WALO KO,KABHI RULAYA NAHI JAATA
LEHRO SE PAANI KO,HATAYA NAHI JATA
HONE WALE HO JAATE HAI KHUD HI DILSE APNE
KISI KO KEH KAR APNA BANAYA NAHI JAATA

dost ki tasveer

Dosti jo hum nibhaye gay, kisi ne nibhai na hogi
Teri tasveer jo hum banye gay, kisi ne banayi na hogi
Sau jurm hoge jindagi main shayad
lekinKhuda ki kasam tumse bewafai na hogi

dekhte dekhte haatho se nikal jaayege
hum bhi suraj ki trah shaam ko dhal jayege
itne aawaaz ke pathar na uchalo yaaro
hum to ahsaas ki garmi se pigal jaayege

tez hawa ka jhonka aaya
saath main teri khusbu laya
tab mere dil main khyaal aya
ki aaj bhi mera dost nahi nahaya

ham dosti ka farz youin hi nibhate rahenge
waqt bewaqt aap ko satate ahenge
duwa karo ki umar lambi ho hamari
nahi to bhoot ban kar aap ko drate rahenge

Thursday, November 24, 2005

dosti

Hum labe-shikwa ko bhi si lete hain
chand ghadiyan ho, hans kar ji lete hain
ek bar samajh liya jise dost ka haath
us haath se phir zahar bhi pi lete hain

Ae Khuda apne Chand Pe itna Guroor na Kar, Ek Chand sa Dost hum bhi rakhte hain,
Jab Tareef hoti hai Tere Chand ki, Log Misaal mere chand(Dost) ki Dete hain


Asman humse Naraz hai... ! Taaron ka gussa behisaab hai.. Wo sab humse jalte
hain.. kyun ki.... Chand sa behtar DOST humare Paas hai

aapki har bhool ko maaf karte hain hum,
aapki har khata apne sar lete hain hum
salamat rahe yeh dosti humari
dil se yahi faryaad karte hain hum

DOSTI AHSAAN NAHI KOI KHAS CHEEZ HOTI HAI
YE KOI BHEEK NAHI QUDRAT KI DI BAKSHISH HOTI HAI
BADE KHUSHNASIB HOTE HAI JINHE DOSTI NASIB HOTI HAI
LAKH DUNDE NA MILE VO UNKI TAKDEER HOTI HAI
AISE BHI KYA LOG JINKI SABSE DURI HOTI HAI
NA MILE DOSTI JISE USKI ZINDAGI ADURI HOTI HAI

EK DIN HUMARE AANSU HUMSE POOCH BHATIE
ROZ - ROZ KYU HUME BOOLATE HO
HUMNE KAHA HUM YAAD UNHE KARTE HAI
TUM KYOUN CHALE AATE HOUN

ZINDAGI KI RAHON MEIN BAHUT SE YAAR MILENGE
HUM KYA HUMSE BHI ACHE HAZAR MILENGE
INN ACHON KI BHEED MAIN HUME NA BHUL JANA
HUM KAHA TUMHE BAAR BAAR MILENGE

rishte ke kitab pari humne to usme dosti naam ka rista hai paya
huae achambhit hum hume gussa bhi aaya
khuda se pucha humne usne humpe yeh kaisa zulm dhaya
uske jawab se humari aakho main aasu aaya
kaha Khuda ne dosti ka rishta dil se hota hai
aaj tak kitabo main use koi nahi khoj paya
dil main khoje tu aapne dost ko wo tere dil main hai samaya
dosti se bari jaagir nahin, isse achi tasveer nahin
ek nazuk prem ka dhaaga hai, isse pakke koi zanjeer nahin

Dosto ko bhoolna galat baat hai
Unse zindagi bhar ka saath hai
Agar bhul gaye tou khali haath hai
Aur agar saath rahe tou Zamana kahega "KYA BAATH HAI


barsaat aaye aur zameen geeli na ho
dhoop aaye aur sarso peeli na ho
a mere dost tune ye kaise soch liya
ki teri yaad aaye aur aakhen geeli na ho

Hansta hua chehra tera gulaab ho jaye
Tujhe dekhu to andheri raat bhi chandni raat ho jaye
Choom ke tere jaise DOST ke hathon ko
Soye hue dil me bhi jaan ajaye...

judaai

apane haathon se yoon chehare ko chhupaate kyon ho
mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho
roz mar mar ke mujhe jiine ko kahate kyon ho
milane aate ho to phir laut ke jaate kyon ho

Wednesday, November 23, 2005

badnaam

badnaam ham ho jaenge ruswa tujhko bhi kar jaenge
ye mat samjhna ki hame pyar nahi hai tumse pyar ke liye mar kar bhi dil main rah jaenge

Tuesday, November 22, 2005

yaaden

guzre hue kal ki yaad aati hai kuch lamhon se aankh bhar aati hai
vo subha rangeen aur shaam niraali hogi jab aapke saath guzara waqt yaad aega

dil ke riste ab bhi nahi choote, bas dil roothen hain
yaadon ke bandhan ab bhi nahi choote
bas yaaden roothin hain
main usi mod par ab bhi hoon bas teri raahen roothi hain

ham to har ek ko apna kar rista banate gae
jahan -jahan se guzren apni yaad chorte gae
par kismat ka likha bhi azeeb hai
gunahgaar koi aur,ham saza paate gae

kitni jaldi ye mulakaat guzar jaati hai pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai
apni yaadon se kah do ki youn na aya karen neend aati nahi aur raat guzar jaati hai

pyar

tere pyar main marti hoon, seene se lipat jaiye
pyar main tarasti hoon ,kab se bahon main simat jaiye

zindgi kisi ki mahotaaz nahi hoti ...
dosti sirf zazbaat nahi hoti ...
kuch to khayaal aya hoga khuda ko tumhari bhalaai ka ...
warna tumse hamari mulakaat na hoti

Sunday, November 20, 2005

Aarzoo

Koi Aarzoo ban phir tu meri aankhoN main samaati jaa
ragoN ki ravani ban tu meri dhadkano main samaati jaa

Khada HuN tere intzaar maiN sadiyoN se is kainat main..
Mere jeene ki khathir hasratoN ko ek aawaz lagaati jaa

Janta huN tu hai mujh bin adhuri tabhi mere roobroo hai
huN talabgaar jinka un lafzoN ko bas ek bar sunaati jaa

beete yuN din judaai ke ki har diN saaloN sa mujhe laga
sookhte in laboN ki apne laboN se tu pyaas ko mitaati jaa

Is milan ke baad phir ek lamba intzaar hi hai meri kismat
Kar sakuN ise bhi paar armanoN maiN wo aas jagaati jaa

tu na jane ki hai mukkamal tere hi saaye se mera jahaN
jana hai to is jahaN ko apne hathoN se tu yaar lutaati jaa..


jee utha phir tere aane se, toot-ta mera ye ‘saccha_pyar’
tujh bin kaise chaleNgi, sansoN ko tu ye raaz bataati jaa…

Saturday, November 19, 2005

Pyar hi God hai

ladakpan khel main khoya ....
jawaani neend bhar soya ....
budhapa dekh kar roya ....

agar ham apne saare kaam jawaani main hi poore kar len to hame budhapa main rona na pade ....

lekin jawaani main hame waqt ki kadar nahi hoti ham har kaam kal par chor dete hain jab ki kal to kabhi ata hi nahi ...

kal ko kisne dekha hai na aapne aur na hamne ...

budhape main ham sochte hain ...
kaash wo din phir se laot aaen ...
budhape main hame pachtaawa hota hai ....
ki kaash hamare paas waqt hota ...
to ham apni ichcaon ko poora kar lete ....

budhape main hame kisi ke sahaare ki zaroorat nahi hoti ...
hamara pyar hi hamara sahaara hota hai ...
usse badh kar sahaara hame koi nahi de sakta ...
khud ham bhi nahi ...

jab ham maot ki dahleez par pahoonchte hain ....
tab sochte hain ....
kaas hame thoda sa waqt aur mil gaya hota ....
to ham apne ham safar ko dher sara pyar aur khusiya de sakte ...
tab pachtawa ke siwa kuch haanth nahi lagta ....

hame jitna bhi waqt diya jae kam hai ...
ham zindgi bhar to apne bare main sochte hain ...
ham safar ke liye waqt hi nahi milta ...
aur jab ham maot ki dahleez par hote hain ....
tab hame apne ham safar ki yaad aati hai ...

ham aysa kaam karte hi kyon hain jiski wajh se hame aakhri waqt pachtana pade ....
hame har pal ko jeena cahiye ....
doosron ko khusiyan dena cahiye ...
apne ham safar ke saath khusiyan baatni cahiye ...
taki hame kabhi pachtaawa na ho ...

pata nahi kis mod par zindgi ki shaam ho jae ........

God

Na sar jhukaao patthar ke aage ki wo devta ho jae ....
Na karo kisi se itni mohabbat ki wo bewafa ho jae ....

Pyar karo lekin use jattao mat ki aap usse kitna pyar karte hain ....

kyon ki kabhi kabhi wo aapke pyar ko mazboori samjh lete hain ...

Zindagi main kabhi sukh hai to kabhi dukh ....
hame dono ka hans ke saamna karna cahiye ....
agar ham sukh ko hans kar bitaate hain ....
to dukh se ghabraate kyon hain ....

jis tarha din ke baad raat ka hona zaroori hai ...
usi tarha sukh ke baad dukh ka hona zaroori hai ...
ye kudrat ka niyam hai ....

agar din ke baad raat nahi hogi to hame din ke uzaale ka ahsaas kayse hoga ....
wayse hi agar sukh ke baad dukh nahi hoga to hame sukh ki mahott ka ahsaas kayse hoga ....

jab dukh ata hai to ham acche dino ko yaad karte hain ....
ki kaash wo din phir se hamari zindagi main aa jaen ....
agar dukh nahi ata to aap in acche lamhon ko kayse yaad karte ...
tab kya aapko un acche lamhon ki kadar hoti ....

isi liye Bhagwaan ne raat ke baad din aur sukh ke baad dukh banaya...
Bhagwaan ko kabhi koi acche waqt main yaad nahi karta ....
lekin bure waqt main sabhi yaad karte hain ....
aur ye baat Bhagwaan acchi tarha jaante hain ...

jo sukh main Bhagwaan ko yaad karte hain ....
unke jiwan main hamesah khushaali rahti hai ...
lekin jo sukh main Bhagwaan ko yaad na karke kewal dukh main yaad karte hain ....
wo hamesha dukhi rahte hain ...

Dukh main sumiran sab kare
sukh main kare na koye
Sukh main jo sumiran kare
dukh kahe ko hoye ........

Pyar zindagi hai

Pyar zindagi ka wo pahloo hai
jise jhuthlaya nahi ja sakta ....

kuch log kahte hain Ki shaadi ke baad wala pyar mazboori main hota hai ...
kahte hain,(ye to hona Hi tha )
aysa nahi hai ....
pyar shaadi ke baad ho ya shaadi se pahle ....
pyar ,pyar hi rahta hai

pyar kabhi mazboori main nahi hota
pyar se kabhi mayuus nahi hona chahiye
agar aap ka pyar saccha hai to aaj nahi to kal aapke pyar ko aap ke paas aana hi hoga ....

pyar main bahot takat hoti hai
hamne sacche dil se pyar kiya hai
lekin shayad ye hamari pareeksha ki ghadi hai .... ki aaj hamara pyar hamse door ho gaya hai ...
is rang birangi duniya main kahin kho gaya hai ...
lekin hamne himmat nahi haari ...
hame poora vishwaas hai .... ki hamara pyar hamare paas laot kar zaroor aaega ....

ham kisi ko mazboor nahi kar sakte ki wo hamse pyar kare ....
lekin ham kisi ko pyar karne ke liye mazboor nahi ...
pyar khusboo ban kar hawaon main bikhar jata hai ...
barish ban kar dharti par barash jata hai ...
ham jis se pyar karte hain ham nahi jaante ki wo hame kitne pyar karta hai ....
lekin pyar kahne ka mahotaaz nahi...
hamne apne pyar ke saath 8 saal bitaen hain ... lekin hamne kabhi apne pyar se shikwa nahi kiya ...

hamne hamesha yahi chaha ki hamara pyar hamare saath yuhin zindagi bhar saath rahe ....
lekin shayad kismet ko ye manzoor na tha ....
8 saal baad hamare pyar ko koi aur pasand aa gaya ....
hamare pyar ne usse hi apni zindagi maan li ...
hamara dil toot gaya kyon ki hamne kabhi apne pyar ke siwa aur koi dikha hi nahi ....

kahte hain dil ki tootne ki aawaz nahi hoti .... shayad isi liye kisi ne hamare dil ke tootne ki awaz nahi suni ...

hamare pyar ko bhi shayad ab hamari zaroorat nahi thi ....
ham 5 mahine se sangharsh kar rahe hain ....
ham jaante hain ki jab unhe hamare pyar ka ahsaas hoga to wo hamare paas zaroor aaenge ...
hamne pyar kiya hai aur hamesha karte rahenge ...
wo hamare paas ho ya kisi aur ke paas ....
ham hamesha yahi cahte hain ki hamara pyar jahan bhi rahe khush rahe ....
ham apne pyar ko khush dekhne ke liye kuch bhi kar sakte hain ...

hamne ek faesla kiya hai ...
ham nahi jaante ki hamara faesla sahi hai ya galat ...
lekin agar wo us ke saath khush hain to ham unke raaste main kabhi nahi aaenge ....

hamare pyar ke saath jo guzri hui yaade hain wo hamesha hamare saath rahengi ....
hamne jo 8 saal apne pyar ke saath guzaare hain o 8 janam ke liye kaafi hain ...

ham buri yaadon ko ek bura sapna samjh kar bhool jaenge ...
kyon ki buri yaaden hame aansoon ke siwa kuch nahi denge ...
aur ham buri yaadon ko yaad kar ke aansoon se apni acchi yaadon ko apni aankho se dhona nahi cahte ....

jab dil udaas hota hai to kisi apne ki talaas hoti hai ....
koi aysa ho jisse ham apne dil ki baat kah saken ...
lekin hamne apne dil ki baat likh kar bayan ki hai ...
Kaash banaane wale ne dil kaanch ke banae hote ...
Kam se kam todne walon ke haanth main zakhm to aae hote ....
sayad hamare pyar main hi kuch kami rah gai hogi ....
hame abhi bhi yakeen hai ki ....
jab hamare pyar ko hamare pyar ka ahsaas hoga to wo daod kar hamare paas aaynge aur hame apne gale laga lenge ....
hame us waqt ka intzaar rahega ...

Na sar jhukaao patthar ke aage ...
ki o devta ho jae ....

Na karo kisi se itni mohabbat ...
ki wo bewafa ho jae ....

Pyar karo lekin use jattao mat ....
ki aap usse kitna pyar karte hain ...
kyon ki kabhi kabhi o aapke pyar ko mazboori samjh lete hain ....
Zindgi main kabhi sukh hai to kabhi dukh ....
hame dono ka hans ka saamna karma cahiye ....
agar ham sukh ko hans kar bitaate hain ...
to dukh se ghabraate kyon hain ...

jis tarha din ke baad raat ka hona zaroori hai ....
usi tarha sukh ke baad dukh ka hona zaroori hai ....

ye kudrat ka niyam hai ....
agar din ke baad raat nahi hogi ....
to hame din ke uzaale ka ahsaas kayse hoga ....
wayse hi agar sukh ke baad dukh nahi hoga ...
to hame sukh ki mahott ka ahsaas kayse hoga ....

jab dukh ata hai to ham acche dino ko yaad karte hain ...
ki kaas wo din phir se hamari zindgi main aa jaen ....
agar dukh nahi ata to aap in acche lamhon ko kayse yaad karte ...
tab kya aapko un acche lamhon ki kadar hoti ....
isi liye bhagwaan ne raat ke baad din ....
aur sukh ke baad dukh banaya...

bhagwaan ko kabhi koi acche waqt main yaad nahi karta ...
lekin bure waqt main sabhi yaad karte hain ....
aur ye baat bhagwaan acchi tarha jaante hain ....
jo sukh main bhagwaan ko yaad karte hain....
unke jiwan main hamesah khushaali rahti hai ...
lekin jo sukh main bhagwaan ko yaad na karke kewal dukh main yaad karte hain ....
wo hamesah dukhi rahte hain ...
Dukh main sumiran sab kare
sukh main kare na koye
Sukh main jo sumiran kare
dukh kahe ko hoye

Hame waqt ki kadar karni cahiye ...
kyon ki waqt kisi ke liye nahi rukta

(kahte hain na)

ladakpan khel main khoya
jawaani neend bhar soya
budhapa dekh kar roya ....

agar ham apne saare kaam jawaani main hi poore kar len ....
to hame budhapa main rona na pade ....
lekin jawaani main hame waqt ki kadar nahi hoti ....
ham har kaam kal par chor dete hain ....
jab ki kal to kabhi ata hi nahi ....
kal ko kisne dekha hai ....
na aapne aur na hamne .....

budhape main ham sochte hain ...
kaash wo din phir se laot aaen ...
budhape main hame pachtaawa hota hai ....
ki kaash hamare paas waqt hota ...
to ham apni ichcaon ko poora kar lete ...
budhape main hame kisi ke sahaare ki zaroorat nahi hoti ....
hamara pyar hi hamara sahaara hota hai ....
usse badh kar sahaara hame koi nahi de sakta ....
khud ham bhi nahi ...
jab ham maot ki dahleez par pahoonchte hain ....
tab sochte hain ....
kaas hame thoda sa waqt aur mil gaya hota ....
to ham apne ham safar ko dher sara pyar aur khusiya de sakte ...

tab pachtawa ke siwa kuch haanth nahi lagta ....
hame jitna bhi waqt diya jae kam hai ....
ham zindgi bhar to apne bare main sochte hain ...
ham safar ke liye waqt hi nahi milta ....
aur jab ham maot ki dahleez par hote hain ....
tab hame apne ham safar ki yaad aati hai ....
ham aysa kaam karte hi kyon hain ...
jiski wajh se hame aakhri waqt pachtana pade ...

hame har pal ko jeena cahiye ...
doosron ko khusiyan dena cahiye ...
apne ham safar ke saath khusiyan baatni cahiye ....
taki hame kabhi pachtaawa na ho ...
pata nahi kis mod par zindgi ki shaam ho jae .........

pyar ka ehsaas ...

Pyar phoolon se nahi kaanto se karo .... kyon ki o kabhi kisi ke age jhukte nahi .... lekin phool murjha jaate hai
pyar main jitni tapis hoti hai pyar utna hi rang lata hai
pyar ek aysi daolat hai jo kabhi kam nahi hoti
pyar ka izhaar karne main kabhi der nahi karni cahiye kyon ki saccha pyar sab ko nahi milta
pyar main viswaas hona bahot zaroori hai kyon ki riste ki surwaat hi viswaas hai agar viswaas nahi hoga to waha pyar bhi nahi hoga ...
pahla pyar kabhi bhoolaya nahi ja sakta
pyar main ek khusboo hoti jo sab ko pyar karne par mazboor karti hai
jise saccha pyar mila usne yahi socha .....pyar hai andhere main uzala .... doobti hui naiya ka sahara
jis tarha aakaas main panchiyon ka ... dharti par hariyaali ka ... hawaon main khsboo ka .... andhre main uzalon ka .... sareer main saanso ka .... hona zaroori hai .... wayse hi hamari zindgi main pyar ko hona zaroori hai

agar pyar nahi hoga to ye zindgi biraani ho jaegi zindgi ka koi mahaott nahi rahega
pyar ko samjhna bhi ek ada hai
jab hame pyar hota hai to hame sab cheezen acchi lagne lagti hai
jo cheez hame kabhi acchi nahi lagi o bhi nai si lagti hai pyari lagti hai
jab tak hame pyar nahi hota dil kora kagaz hota hai
lekin jab pyar ho jata hai to dil par usi ka naam likh jata hai

Pyar ko samjhne main waqt nahi lagta pyar ko samjhne ke liye 2 pal hi kaafi hain
jab kisi se pyar hota hai to khamosi main main uski baate sunai deti hain
jayse ki o hamse baate kar raha ho
aaine main khud ko dekh kar sarm aati hai
jaese ki o hame dekh raha ho
har ghadi uske aane ka intzaar rahta hai
aankhe darwaaze par bicha kar us ka intzaar karne ko dil karta hai
pyar main jab 2 dil milte hain to kuch kahne sun ne ki zaroorat nahi hoti
aankho aankho main baat ho jaati hai
2 jism 1 jaan ho jaate hain
ek ko chot lagti hai to dard dusre ko hota hai
yahi to saccha pyar hota hai
aur sab kuch bhool kar uski bahon main kho jaan jana
uski aankho main doob ke jannat ka nazara milta hai
pyar ek aaina hai jis main sacchai nazar aati hai
pyar ek phool hai jisme mahboob ki khusboo aati hai
hare k aahat par uski hi khusboo aati hai
dil ke mithaas mein dubo huyi pyar ki is kalam se jub pyar ki daastaan likhi jaegi
to guzra hua zamana phir se yaad ayga

hame apni dil ki baat diary main likh kar yaad karna accha lagta hai
acchi yaadon ko kayd kar lena cahiye
kyon ki bita hua waqt laot kar nahi aate
lekin waqt apni yaade chor jata hai jo zindgi bhar yaad ati hain

jab ham na rahenge to hame chand ko dekh kar yaad karna
ham tumhe wahi haste hue aap ko nihaarte hue dikhenge
hamari hontho ki hansi main
gano ke suro main
dil ki dhadkano main
aawaz tumhari aaegi
ham jab na rahege to afsos na karna
kyon ki ham hawaon main khusboo bankar bikhar jaenge

insaan god ko mandir main maszid main dhoondhne jaate hain
lekin kabhi o ye nahi samjhte ki god har ek ke dil main basta hai
kyon ki pyar bhi ek khuda hai
pyar khuda ka dusra naam hai
agar sacche man se aankh band karke khuda ko yaad kare to
khuda hame hamare andar nazar aaenge
khuda ko kahin dhoondhne ki zaroorat nahi
kyon ki aap ka saccha pyar hi khuda hai

sabhi kahte hain hamne god ko nahi dekha ... kya ye sach hai ????
Nahi ye sach nahi hai
kyon ki agar dekha jaae to god ko sabhi ne dekha hai
god ki koi sakal surat nahi hai
insaan ne god ko sakal di
kyon ki unke dil se awaz aai ki god ayse honge
aur unhone god ko banaya
lekin unhone ye nahi samjha
ki dil main to kewal pyar hai
aur pyar hi god hai
unhone na to god ko samjha aur na pyar ko
kyon ki god ko samjhne ke liye
pyar bhara dil hona cahiye
aur pyar ko samjhne ke liye god par aastha

pyar kya hai ?

pyar sex karne ka kewal naam nahi
pyar ek ahsaas hai dooriyon ko mitaane ka
pyar hai ek dusre ko samjhne ka
pyar hai bina kahe hi baat ko samjh jana
pyar hai sukh ho ya dukh apne saathi ka saath dena
pyar kahne ka mahotaaz nahi
saccha pyar to aankho se chalkta o jam hai jo har koi pina cahta hai
pyar main koi bandish nahi hoti
pyar ki kooi had nahi hoti
pyar ek aysi pyas hai jise jitna piyo utni pyaas badhti jaati hai badhti jaati hai
pyar jitna baanto utna badhta hai
pyar god hai
pyar pooja hai
pyar mandir hai
pyar hi maszid hai
pyar dilon ko jorta hai
kuch log pyar ko buri nazar se dekhte hain
lekin o ye nahi samjhte ki pyar koi paap nahi ye god ki di hui bakhsees hai
pyar ek nagma hai gungunane ke liye
pyar ek jajba hai sunane ke liye
pyar ek kowais hai pane ke liye
pyar ke bhao sagar ko jisne bhi paar kiya usne zannat ko pa liya hai
pyar kabhi kiya nahi jata o to bas ek nazar main ho jata hai
pyar lene ka nahi pyar dene ka naam hai
zaroori nahi ki jise ham pyar karte hain o bhi hamse pyar kare
hame usse pyar karma cahiye jo hamse pyar karta ho na ki usse jisse ham pyar karte ho
jo pyar ke badle pyar maangte hain o pyar nahi saoda karte hain
aur pyar main saoda nahi hota
jo insaan apne pyar ke liye khud ko badl deta hai o hai saccha pyar
lekin jo insaan apne pyar ke liye dusron ko badle o pyar nahi khud garzi hai
pyar chupaane se nahi chupta pyar ko jitna chupao utna hi saamne aata hai
pyar to dilo par cha jata hai
akaas main badlon ki tarha
dharti par samundar ki tarha
parwato par hawaon ki tarha
pyar main sikwa nahi karte

Wednesday, November 16, 2005

Dil ki Khamoshi ...

Do Dill Mile Rahe Hain
Magar Chupke Chupke
Do Dil Mile Rahe Hain
Magar Chupke Chupke
Sabko Ho Rahi Hai
Haan Sabko Ho Rahi Hai
Khabar Chupke Chupke
Do Dil Mile Rahe Hain
Magar Chupke Chupke

Saanson Mein Badi Bekaraari
Aankhon Mein Kai Rat Jage
Kahin Kabhi Lag Jaaye Dil To
Kahin Phir Dil Na Lage
Apne Dil Mein Zara Thaam Loon
Jaadu Ka Main Isay Naam Doon
Jaadu Kar Raha
Jaadu Kar Raha Hai Asar Chupke Chupke

Do Dil Mile Rahe Hain
Magar Chupke Chupke

Aise Bhole Bankar Hai Baithe
Jaise Koi Baat Nahin
Sab Kuchh Nazar Aa Raha Hai
Din Hai Ye Raat Nahin
Kya Hai Kuchh Bhi Nahin Hai Agar
Honthon Pe Hai Khaamoshi Magar
Baatein Kar Rahi Hain
Baatein Kar Rahi Hain Nazar Chupke Chupke

Do Dil Mile Rahe Hain
Magar Chupke Chupke

Kahin Aag Lagne Se Pehle
Uthta Hai Aisa Dhuaan
Jaisa Hai Idhar Ka Nazaara
Vaisa Hi Udhar Ka Samaa
Dil Mein Kaisi Kasak Si Jagi
Dono jaanib Barabar Lagi
Dekho To Idhar Se
Dekho To Idhar Se Udhar Chupke Chupke

Do Dil Mile Rahe Hain
Magar Chupke Chupke
Sabko Ho Rahi Hai
Haan Sabko Ho Rahi Hai
Khabar Chupke Chupke
Do Dil Mile Rahe Hain
Magar Chupke Chupke