Sunday, November 20, 2005

Aarzoo

Koi Aarzoo ban phir tu meri aankhoN main samaati jaa
ragoN ki ravani ban tu meri dhadkano main samaati jaa

Khada HuN tere intzaar maiN sadiyoN se is kainat main..
Mere jeene ki khathir hasratoN ko ek aawaz lagaati jaa

Janta huN tu hai mujh bin adhuri tabhi mere roobroo hai
huN talabgaar jinka un lafzoN ko bas ek bar sunaati jaa

beete yuN din judaai ke ki har diN saaloN sa mujhe laga
sookhte in laboN ki apne laboN se tu pyaas ko mitaati jaa

Is milan ke baad phir ek lamba intzaar hi hai meri kismat
Kar sakuN ise bhi paar armanoN maiN wo aas jagaati jaa

tu na jane ki hai mukkamal tere hi saaye se mera jahaN
jana hai to is jahaN ko apne hathoN se tu yaar lutaati jaa..


jee utha phir tere aane se, toot-ta mera ye ‘saccha_pyar’
tujh bin kaise chaleNgi, sansoN ko tu ye raaz bataati jaa…

No comments: