Saturday, November 19, 2005

God

Na sar jhukaao patthar ke aage ki wo devta ho jae ....
Na karo kisi se itni mohabbat ki wo bewafa ho jae ....

Pyar karo lekin use jattao mat ki aap usse kitna pyar karte hain ....

kyon ki kabhi kabhi wo aapke pyar ko mazboori samjh lete hain ...

Zindagi main kabhi sukh hai to kabhi dukh ....
hame dono ka hans ke saamna karna cahiye ....
agar ham sukh ko hans kar bitaate hain ....
to dukh se ghabraate kyon hain ....

jis tarha din ke baad raat ka hona zaroori hai ...
usi tarha sukh ke baad dukh ka hona zaroori hai ...
ye kudrat ka niyam hai ....

agar din ke baad raat nahi hogi to hame din ke uzaale ka ahsaas kayse hoga ....
wayse hi agar sukh ke baad dukh nahi hoga to hame sukh ki mahott ka ahsaas kayse hoga ....

jab dukh ata hai to ham acche dino ko yaad karte hain ....
ki kaash wo din phir se hamari zindagi main aa jaen ....
agar dukh nahi ata to aap in acche lamhon ko kayse yaad karte ...
tab kya aapko un acche lamhon ki kadar hoti ....

isi liye Bhagwaan ne raat ke baad din aur sukh ke baad dukh banaya...
Bhagwaan ko kabhi koi acche waqt main yaad nahi karta ....
lekin bure waqt main sabhi yaad karte hain ....
aur ye baat Bhagwaan acchi tarha jaante hain ...

jo sukh main Bhagwaan ko yaad karte hain ....
unke jiwan main hamesah khushaali rahti hai ...
lekin jo sukh main Bhagwaan ko yaad na karke kewal dukh main yaad karte hain ....
wo hamesha dukhi rahte hain ...

Dukh main sumiran sab kare
sukh main kare na koye
Sukh main jo sumiran kare
dukh kahe ko hoye ........

No comments: