Saturday, November 19, 2005

Pyar zindagi hai

Pyar zindagi ka wo pahloo hai
jise jhuthlaya nahi ja sakta ....

kuch log kahte hain Ki shaadi ke baad wala pyar mazboori main hota hai ...
kahte hain,(ye to hona Hi tha )
aysa nahi hai ....
pyar shaadi ke baad ho ya shaadi se pahle ....
pyar ,pyar hi rahta hai

pyar kabhi mazboori main nahi hota
pyar se kabhi mayuus nahi hona chahiye
agar aap ka pyar saccha hai to aaj nahi to kal aapke pyar ko aap ke paas aana hi hoga ....

pyar main bahot takat hoti hai
hamne sacche dil se pyar kiya hai
lekin shayad ye hamari pareeksha ki ghadi hai .... ki aaj hamara pyar hamse door ho gaya hai ...
is rang birangi duniya main kahin kho gaya hai ...
lekin hamne himmat nahi haari ...
hame poora vishwaas hai .... ki hamara pyar hamare paas laot kar zaroor aaega ....

ham kisi ko mazboor nahi kar sakte ki wo hamse pyar kare ....
lekin ham kisi ko pyar karne ke liye mazboor nahi ...
pyar khusboo ban kar hawaon main bikhar jata hai ...
barish ban kar dharti par barash jata hai ...
ham jis se pyar karte hain ham nahi jaante ki wo hame kitne pyar karta hai ....
lekin pyar kahne ka mahotaaz nahi...
hamne apne pyar ke saath 8 saal bitaen hain ... lekin hamne kabhi apne pyar se shikwa nahi kiya ...

hamne hamesha yahi chaha ki hamara pyar hamare saath yuhin zindagi bhar saath rahe ....
lekin shayad kismet ko ye manzoor na tha ....
8 saal baad hamare pyar ko koi aur pasand aa gaya ....
hamare pyar ne usse hi apni zindagi maan li ...
hamara dil toot gaya kyon ki hamne kabhi apne pyar ke siwa aur koi dikha hi nahi ....

kahte hain dil ki tootne ki aawaz nahi hoti .... shayad isi liye kisi ne hamare dil ke tootne ki awaz nahi suni ...

hamare pyar ko bhi shayad ab hamari zaroorat nahi thi ....
ham 5 mahine se sangharsh kar rahe hain ....
ham jaante hain ki jab unhe hamare pyar ka ahsaas hoga to wo hamare paas zaroor aaenge ...
hamne pyar kiya hai aur hamesha karte rahenge ...
wo hamare paas ho ya kisi aur ke paas ....
ham hamesha yahi cahte hain ki hamara pyar jahan bhi rahe khush rahe ....
ham apne pyar ko khush dekhne ke liye kuch bhi kar sakte hain ...

hamne ek faesla kiya hai ...
ham nahi jaante ki hamara faesla sahi hai ya galat ...
lekin agar wo us ke saath khush hain to ham unke raaste main kabhi nahi aaenge ....

hamare pyar ke saath jo guzri hui yaade hain wo hamesha hamare saath rahengi ....
hamne jo 8 saal apne pyar ke saath guzaare hain o 8 janam ke liye kaafi hain ...

ham buri yaadon ko ek bura sapna samjh kar bhool jaenge ...
kyon ki buri yaaden hame aansoon ke siwa kuch nahi denge ...
aur ham buri yaadon ko yaad kar ke aansoon se apni acchi yaadon ko apni aankho se dhona nahi cahte ....

jab dil udaas hota hai to kisi apne ki talaas hoti hai ....
koi aysa ho jisse ham apne dil ki baat kah saken ...
lekin hamne apne dil ki baat likh kar bayan ki hai ...
Kaash banaane wale ne dil kaanch ke banae hote ...
Kam se kam todne walon ke haanth main zakhm to aae hote ....
sayad hamare pyar main hi kuch kami rah gai hogi ....
hame abhi bhi yakeen hai ki ....
jab hamare pyar ko hamare pyar ka ahsaas hoga to wo daod kar hamare paas aaynge aur hame apne gale laga lenge ....
hame us waqt ka intzaar rahega ...

Na sar jhukaao patthar ke aage ...
ki o devta ho jae ....

Na karo kisi se itni mohabbat ...
ki wo bewafa ho jae ....

Pyar karo lekin use jattao mat ....
ki aap usse kitna pyar karte hain ...
kyon ki kabhi kabhi o aapke pyar ko mazboori samjh lete hain ....
Zindgi main kabhi sukh hai to kabhi dukh ....
hame dono ka hans ka saamna karma cahiye ....
agar ham sukh ko hans kar bitaate hain ...
to dukh se ghabraate kyon hain ...

jis tarha din ke baad raat ka hona zaroori hai ....
usi tarha sukh ke baad dukh ka hona zaroori hai ....

ye kudrat ka niyam hai ....
agar din ke baad raat nahi hogi ....
to hame din ke uzaale ka ahsaas kayse hoga ....
wayse hi agar sukh ke baad dukh nahi hoga ...
to hame sukh ki mahott ka ahsaas kayse hoga ....

jab dukh ata hai to ham acche dino ko yaad karte hain ...
ki kaas wo din phir se hamari zindgi main aa jaen ....
agar dukh nahi ata to aap in acche lamhon ko kayse yaad karte ...
tab kya aapko un acche lamhon ki kadar hoti ....
isi liye bhagwaan ne raat ke baad din ....
aur sukh ke baad dukh banaya...

bhagwaan ko kabhi koi acche waqt main yaad nahi karta ...
lekin bure waqt main sabhi yaad karte hain ....
aur ye baat bhagwaan acchi tarha jaante hain ....
jo sukh main bhagwaan ko yaad karte hain....
unke jiwan main hamesah khushaali rahti hai ...
lekin jo sukh main bhagwaan ko yaad na karke kewal dukh main yaad karte hain ....
wo hamesah dukhi rahte hain ...
Dukh main sumiran sab kare
sukh main kare na koye
Sukh main jo sumiran kare
dukh kahe ko hoye

Hame waqt ki kadar karni cahiye ...
kyon ki waqt kisi ke liye nahi rukta

(kahte hain na)

ladakpan khel main khoya
jawaani neend bhar soya
budhapa dekh kar roya ....

agar ham apne saare kaam jawaani main hi poore kar len ....
to hame budhapa main rona na pade ....
lekin jawaani main hame waqt ki kadar nahi hoti ....
ham har kaam kal par chor dete hain ....
jab ki kal to kabhi ata hi nahi ....
kal ko kisne dekha hai ....
na aapne aur na hamne .....

budhape main ham sochte hain ...
kaash wo din phir se laot aaen ...
budhape main hame pachtaawa hota hai ....
ki kaash hamare paas waqt hota ...
to ham apni ichcaon ko poora kar lete ...
budhape main hame kisi ke sahaare ki zaroorat nahi hoti ....
hamara pyar hi hamara sahaara hota hai ....
usse badh kar sahaara hame koi nahi de sakta ....
khud ham bhi nahi ...
jab ham maot ki dahleez par pahoonchte hain ....
tab sochte hain ....
kaas hame thoda sa waqt aur mil gaya hota ....
to ham apne ham safar ko dher sara pyar aur khusiya de sakte ...

tab pachtawa ke siwa kuch haanth nahi lagta ....
hame jitna bhi waqt diya jae kam hai ....
ham zindgi bhar to apne bare main sochte hain ...
ham safar ke liye waqt hi nahi milta ....
aur jab ham maot ki dahleez par hote hain ....
tab hame apne ham safar ki yaad aati hai ....
ham aysa kaam karte hi kyon hain ...
jiski wajh se hame aakhri waqt pachtana pade ...

hame har pal ko jeena cahiye ...
doosron ko khusiyan dena cahiye ...
apne ham safar ke saath khusiyan baatni cahiye ....
taki hame kabhi pachtaawa na ho ...
pata nahi kis mod par zindgi ki shaam ho jae .........

No comments: