Sunday, November 27, 2005

dost ki tasveer

Dosti jo hum nibhaye gay, kisi ne nibhai na hogi
Teri tasveer jo hum banye gay, kisi ne banayi na hogi
Sau jurm hoge jindagi main shayad
lekinKhuda ki kasam tumse bewafai na hogi

dekhte dekhte haatho se nikal jaayege
hum bhi suraj ki trah shaam ko dhal jayege
itne aawaaz ke pathar na uchalo yaaro
hum to ahsaas ki garmi se pigal jaayege

tez hawa ka jhonka aaya
saath main teri khusbu laya
tab mere dil main khyaal aya
ki aaj bhi mera dost nahi nahaya

ham dosti ka farz youin hi nibhate rahenge
waqt bewaqt aap ko satate ahenge
duwa karo ki umar lambi ho hamari
nahi to bhoot ban kar aap ko drate rahenge

No comments: