Tuesday, November 22, 2005

yaaden

guzre hue kal ki yaad aati hai kuch lamhon se aankh bhar aati hai
vo subha rangeen aur shaam niraali hogi jab aapke saath guzara waqt yaad aega

dil ke riste ab bhi nahi choote, bas dil roothen hain
yaadon ke bandhan ab bhi nahi choote
bas yaaden roothin hain
main usi mod par ab bhi hoon bas teri raahen roothi hain

ham to har ek ko apna kar rista banate gae
jahan -jahan se guzren apni yaad chorte gae
par kismat ka likha bhi azeeb hai
gunahgaar koi aur,ham saza paate gae

kitni jaldi ye mulakaat guzar jaati hai pyaas bujhti nahi aur barsaat guzar jaati hai
apni yaadon se kah do ki youn na aya karen neend aati nahi aur raat guzar jaati hai

No comments: