Thursday, November 24, 2005

dosti

Hum labe-shikwa ko bhi si lete hain
chand ghadiyan ho, hans kar ji lete hain
ek bar samajh liya jise dost ka haath
us haath se phir zahar bhi pi lete hain

Ae Khuda apne Chand Pe itna Guroor na Kar, Ek Chand sa Dost hum bhi rakhte hain,
Jab Tareef hoti hai Tere Chand ki, Log Misaal mere chand(Dost) ki Dete hain


Asman humse Naraz hai... ! Taaron ka gussa behisaab hai.. Wo sab humse jalte
hain.. kyun ki.... Chand sa behtar DOST humare Paas hai

aapki har bhool ko maaf karte hain hum,
aapki har khata apne sar lete hain hum
salamat rahe yeh dosti humari
dil se yahi faryaad karte hain hum

DOSTI AHSAAN NAHI KOI KHAS CHEEZ HOTI HAI
YE KOI BHEEK NAHI QUDRAT KI DI BAKSHISH HOTI HAI
BADE KHUSHNASIB HOTE HAI JINHE DOSTI NASIB HOTI HAI
LAKH DUNDE NA MILE VO UNKI TAKDEER HOTI HAI
AISE BHI KYA LOG JINKI SABSE DURI HOTI HAI
NA MILE DOSTI JISE USKI ZINDAGI ADURI HOTI HAI

EK DIN HUMARE AANSU HUMSE POOCH BHATIE
ROZ - ROZ KYU HUME BOOLATE HO
HUMNE KAHA HUM YAAD UNHE KARTE HAI
TUM KYOUN CHALE AATE HOUN

ZINDAGI KI RAHON MEIN BAHUT SE YAAR MILENGE
HUM KYA HUMSE BHI ACHE HAZAR MILENGE
INN ACHON KI BHEED MAIN HUME NA BHUL JANA
HUM KAHA TUMHE BAAR BAAR MILENGE

rishte ke kitab pari humne to usme dosti naam ka rista hai paya
huae achambhit hum hume gussa bhi aaya
khuda se pucha humne usne humpe yeh kaisa zulm dhaya
uske jawab se humari aakho main aasu aaya
kaha Khuda ne dosti ka rishta dil se hota hai
aaj tak kitabo main use koi nahi khoj paya
dil main khoje tu aapne dost ko wo tere dil main hai samaya
dosti se bari jaagir nahin, isse achi tasveer nahin
ek nazuk prem ka dhaaga hai, isse pakke koi zanjeer nahin

Dosto ko bhoolna galat baat hai
Unse zindagi bhar ka saath hai
Agar bhul gaye tou khali haath hai
Aur agar saath rahe tou Zamana kahega "KYA BAATH HAI


barsaat aaye aur zameen geeli na ho
dhoop aaye aur sarso peeli na ho
a mere dost tune ye kaise soch liya
ki teri yaad aaye aur aakhen geeli na ho

Hansta hua chehra tera gulaab ho jaye
Tujhe dekhu to andheri raat bhi chandni raat ho jaye
Choom ke tere jaise DOST ke hathon ko
Soye hue dil me bhi jaan ajaye...

1 comment:

Deven Goratela said...
This comment has been removed by the author.