Saturday, November 19, 2005

pyar ka ehsaas ...

Pyar phoolon se nahi kaanto se karo .... kyon ki o kabhi kisi ke age jhukte nahi .... lekin phool murjha jaate hai
pyar main jitni tapis hoti hai pyar utna hi rang lata hai
pyar ek aysi daolat hai jo kabhi kam nahi hoti
pyar ka izhaar karne main kabhi der nahi karni cahiye kyon ki saccha pyar sab ko nahi milta
pyar main viswaas hona bahot zaroori hai kyon ki riste ki surwaat hi viswaas hai agar viswaas nahi hoga to waha pyar bhi nahi hoga ...
pahla pyar kabhi bhoolaya nahi ja sakta
pyar main ek khusboo hoti jo sab ko pyar karne par mazboor karti hai
jise saccha pyar mila usne yahi socha .....pyar hai andhere main uzala .... doobti hui naiya ka sahara
jis tarha aakaas main panchiyon ka ... dharti par hariyaali ka ... hawaon main khsboo ka .... andhre main uzalon ka .... sareer main saanso ka .... hona zaroori hai .... wayse hi hamari zindgi main pyar ko hona zaroori hai

agar pyar nahi hoga to ye zindgi biraani ho jaegi zindgi ka koi mahaott nahi rahega
pyar ko samjhna bhi ek ada hai
jab hame pyar hota hai to hame sab cheezen acchi lagne lagti hai
jo cheez hame kabhi acchi nahi lagi o bhi nai si lagti hai pyari lagti hai
jab tak hame pyar nahi hota dil kora kagaz hota hai
lekin jab pyar ho jata hai to dil par usi ka naam likh jata hai

Pyar ko samjhne main waqt nahi lagta pyar ko samjhne ke liye 2 pal hi kaafi hain
jab kisi se pyar hota hai to khamosi main main uski baate sunai deti hain
jayse ki o hamse baate kar raha ho
aaine main khud ko dekh kar sarm aati hai
jaese ki o hame dekh raha ho
har ghadi uske aane ka intzaar rahta hai
aankhe darwaaze par bicha kar us ka intzaar karne ko dil karta hai
pyar main jab 2 dil milte hain to kuch kahne sun ne ki zaroorat nahi hoti
aankho aankho main baat ho jaati hai
2 jism 1 jaan ho jaate hain
ek ko chot lagti hai to dard dusre ko hota hai
yahi to saccha pyar hota hai
aur sab kuch bhool kar uski bahon main kho jaan jana
uski aankho main doob ke jannat ka nazara milta hai
pyar ek aaina hai jis main sacchai nazar aati hai
pyar ek phool hai jisme mahboob ki khusboo aati hai
hare k aahat par uski hi khusboo aati hai
dil ke mithaas mein dubo huyi pyar ki is kalam se jub pyar ki daastaan likhi jaegi
to guzra hua zamana phir se yaad ayga

hame apni dil ki baat diary main likh kar yaad karna accha lagta hai
acchi yaadon ko kayd kar lena cahiye
kyon ki bita hua waqt laot kar nahi aate
lekin waqt apni yaade chor jata hai jo zindgi bhar yaad ati hain

jab ham na rahenge to hame chand ko dekh kar yaad karna
ham tumhe wahi haste hue aap ko nihaarte hue dikhenge
hamari hontho ki hansi main
gano ke suro main
dil ki dhadkano main
aawaz tumhari aaegi
ham jab na rahege to afsos na karna
kyon ki ham hawaon main khusboo bankar bikhar jaenge

insaan god ko mandir main maszid main dhoondhne jaate hain
lekin kabhi o ye nahi samjhte ki god har ek ke dil main basta hai
kyon ki pyar bhi ek khuda hai
pyar khuda ka dusra naam hai
agar sacche man se aankh band karke khuda ko yaad kare to
khuda hame hamare andar nazar aaenge
khuda ko kahin dhoondhne ki zaroorat nahi
kyon ki aap ka saccha pyar hi khuda hai

sabhi kahte hain hamne god ko nahi dekha ... kya ye sach hai ????
Nahi ye sach nahi hai
kyon ki agar dekha jaae to god ko sabhi ne dekha hai
god ki koi sakal surat nahi hai
insaan ne god ko sakal di
kyon ki unke dil se awaz aai ki god ayse honge
aur unhone god ko banaya
lekin unhone ye nahi samjha
ki dil main to kewal pyar hai
aur pyar hi god hai
unhone na to god ko samjha aur na pyar ko
kyon ki god ko samjhne ke liye
pyar bhara dil hona cahiye
aur pyar ko samjhne ke liye god par aastha

No comments: