Friday, December 02, 2005

chahat

Chahat par ab aitbar na raha
Khushi kya he ye ahsas na raha
Dekhe he in ankho ne tute hue sapno ko
isiliye ab kisi aur ka intjar na raha

Woh yaad aaye bhulate bhulate
Dil ke zakham ubhar aaye chupate chupate
Sikaya tha jisne muskurana
Usine rulaya hasate hasate.

Kash Khuda ne Hame Kitab Banaya Hota
Use Padne K Liye Sirf Aapko Banaya Hota...
Aap Padte Padte So Jate,
Is Bahane Hame Gale To Lagaya Hota

Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi
Aap Jese Dost Jabse Mile
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Jarurat Nahi

Asmaan ko neend aaye toh sulau kahaan
Dharti ko maut aaye toh dafnau kahan
Sagar mein lehar aaye toh chupau kahan,
Jab kisi ki yaad aaye toh jau kahaan

No comments: