Wednesday, January 31, 2007
jaan kar bhi wo
Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye
Mere dil ki kitab ko padhna kabhi,
Sapno me aake mujh se milna kabhi
Maine duniya sazai hai tere liye,
Meri nazro ki ummed ban’na kabhi
Bahut dur hai sitaro se roshan jahan,
Jra humkadam banke mere sath chalna kabhi
Bahut najuk seene mai DIL hai mera,
Tum andaj mohabbat banke dha’rkna kabhi
Aye kaash kisi des se paigaam aaye koi,
mujhe bhi chahe aur dil mein basaye koi.
koi bechaini se karta ho mera bhi intezaar,
apni aankhon mein mere khwaab sajaye koi.
koi shikwa kiye bina hi mere naaz uthaye,
mein rooth jaoon to pyaar se manaye koi.
koi aisa ho jo har lamha mere deedaar ko tarse,
beqarari se mujhe paas bulaye koi.
koi mujhko bhi seene se lagane wala ho,
shararat kare aur mujhko sataye koi.
mera bhi is duniya se chale jaane ka waqt aaye ga,
mein mar jaoon to meri maut pe aansoo bahaye koi.
Kahi andhera kahi sham hogi,
meri har khushi tere naam hogi,
ek baar kuch maang k to dekho,
Hoto pe hasi aur ye zindagi tere naam hogi.
Tuesday, January 30, 2007
kya karoge jaankar
Kya karoge jaankar dil ke yeh halaat
Kitni baar tootta phie bhi hum zinda hain
Unhone phir se ek aur tukda kiya dil ka
Unko apna samjha yahi sochke sharminda hain
Us ek naam se jud gaya mera ab naata hai
Jiska rang har rishte me nazar aata hai
Sameyte baithi thii kal tak jis aanchal ko main
Aj uspe'Wafa or Mohabbat'likha nazar aata hai
Na jaane kal ke naseeb mein kya likha hai
To fir kyon na hum bus aaj ki baat karen
Ye haseen lamhe laut kar nahin aane waale
Apne dil ki chahat se chalo mulakaat karen
Wo sunahare panno ki kitaab ek din khul jaayegi
Kaun hai kismat mein tumhe usse milwayegi
Saath tumhara bahaut denge raah mein aie musaafir
xsJiska naam likha hai mukaddar mein wahi asli saath nibhayegi
Rangon ko suhana banane ka irada rakhte hain,
Zindagi ko naya afsana banane ki aas rakhte hain,
Khushiyon main gam ko chhupane ka vaada karte hain,
Zindagi ke har pal pe muskan ka vaayda karte hain!
Jis kalam se kisi ne woh bayaan likhe hain
Apne ess dil ke halaat tamaam likhe hain
Woh kalam salamaat rahe hamesha yun hi
Kalam ke malik ko hum apna salaam likhte hai
salaam karte hain mehfil me wo nazerein jhukaaye
hum bhi hain ke unhi ko hain nishaana banaye
jo khushi bayaan karte the nigaaaho se kabhi
aaj baithe hain wo khud se apni hi nazrein churaaye
ye madhos nasa
Ye madhosh nasha sirf char din ka hai
Unka roop har pal bikharata jaayega
Ye hamare pyar ka hi rang hai jo
Zindagi mein har pal nikharata jayeega
Hum toofaano mein chalne ke aadi hai
Ye chhoti si aandhi kya humen darayeegi
Taqdeer ka faislaa badalana humen aata hai
Maut yahan zindagi se har pal sharmayeegi
Kaun mohabbat ko ruswaa kar raha hai
Hum to ab bhi unke humnaam hue jaate hai
Woh bewafai bhi kare aur ruswaai bhi
Hum to muft mein badnaam hue jaate hain
rone se hoti hain aankhen sunder
yeh batt akhbarr me padh kar un ki patni niyamit roop se rone lagi
haiaur ro ro kar sunder ban ne ki kalpnaon me khone lagi
haiunke rone ka parinamm abhi hall philhall me
hamare saamne aaya haihum ne unki aankhon par ek mota chashma paya hai
__________________
Aag laga kar chale gaye,humko jalta chhodd diya
Jindagi ki iss gaadi ko ek modd pe la kar modd diya
Darde dil batlane ko ab kis ke dar par jayenge
Hummein pata hei unka to,wo vapass ab nahi aayenge
Hum na samajh paye ye baat kabhi
Bar bar bhir enka aietbaar kiya
Kya khoob rang badalte hai ye bhi
Ek ko galle lagaya doosre ko maar diya
__________________
Sitam pe sitam hote gaye,aur hum sehte gaye
Hum sunte rahe unka andaaje byan aur wo kehte gaye
Ab kya kahoon bolne se,batein tamaam hoti hein
Unko koi farak nahi paddta,par mohobat badnaam hoti hei
Woh upprwala bhi kahin kisi se kum nahi
Is duniyan mein bewaffaon ko bhi laata hai
Kahin mohabbat hadd se na gujar jaye yahan
Isiliye dil tootne ke dard ka ahsaas bhi karaata hai
dil karta hai
Dil karta hai teri julfon ki ghani chhaanv me
kho jaaoonTeri een jhooki palkon tale
apnaa ashiyaan banaaoonchhookar tujhe chhoo loon
tere man ke har taar taar ko
Or teri aankhon ke raaste tere dil me utar jaaoon
Meri aankhon mein sirf uska hi ghar banaungi
Kisi aur ko inn julfon tale na kabhi chhupaungi
Chhuna naa mere iss mann ko koi
Nahin to main khud hi jal jaaungi
Phir koi utrega kaise iss dil mein
Agar main jal ke rakh ban jaaungi
Lahraoge julfen to koi behosh ho jayegaa
jhookaoge palken to kissi ka chain jayegaa
Mat maro yoon dewanon ko apni adaaon se
koi en jheel si aankhon me doob jaayega
Jisne Laila Majnoo ka jikar kiya unko pehchaante hain
Kisne jaan di thi mohabbat mein hum ye sab jaante hain
Char line dil se likhna yahan aapko koi khel lagta hoga
Kiski shaayari mein kitni sachhai hai ye sab jaante hai
Mohabbat kya hai kisi ki maang mein sindoor bharkar dekho
Yun likh ke tum bhi apne aap ko shayar na samjho
Shayari kya hoti hai ise dhang se samajhne ke liye
Taane maarne se pahle kisi ke dil pe beeti har baat ko samjho
Socha to bahu kuchh tha humne
Woh is gulistan mein bahaar laayenge
Magar kya maloom tha woh daga denge
Aur Hum phir se ek jeeti baazi haar jaayenge
Gulabon ke pas hamne kab se jana chhodd diya
Nazron ko kab se milana chhodd diya
ab to sab brabar lagta hei
Humne hisab lagana chhodd diya
Thursday, January 25, 2007
apne dil ki baat
Chaho Tum Jise Chahat se Zyada ,
Sapne Dekho Tum Jiske Neend se Zyada.
Mango Tum Jise Mannat se Zyada,
Khuda Kare Wo B Tume Pyar Kare Apni Saanso se Zyada.
Apne dilki bat unse keh nahi sakte,
Bin kahe bhi ji nahi sakte'
Ae Khuda aisi takdir bana,
wo humse khud akar kahe'HUM' Apk bina Reh nahi sakte.
tera khawaab hoon, tu apni aankhon mein basa le mujh ko,
tera chaahne wala hoon, apna deewana bana le mujh ko,
main pathhar tha magar, tune chhu kar heera bana diya hai,
dil mein chhupa ke rakhna, koi tujh se na chura le mujh ko....
mahfil
baadalon se salaam leta hoon ,
wakt ke haath thaam leta hoon,
maut ruk jaati hai pal bhar ke liye ,
jab mein hathon mein jaam leta hoon
Saki tu hata de peimane aaj sare,
maryada toot jane debebak hokar pine de mahboob ko mere,
mohobbat fuut jane detabhi to karenge wo ikrare ishk,
hichkian chhoot jane deaaj gar wo dushmani bhi karen, beshak roothh jane de
thoda sa hume pee lene do,
gum-e-zindagi bhoola dene do,
kya pata kal ki sham aye ya na aye,
nashe me hi kuch pal jee lene do!
Mehkhane me jo logo ne hame dekha
to Diljale bhi heirat me aa gaye
logo ne pehchana na khud ko
aur dekho mujhko aazmaane aa gaye
Insano ke kandhon par insan ja rahe the,
kafan me lipte kuch arman ja rahe the,
jinhe mili bewafai mohabbat me,
wafa ki talaash me wo samshaan ja rahe the!
aap yoon hi roj meri galee se aaya jaya karen
daman me chehra chupakar, muskuraya karen
Bin peeye yoon hi waqt kat jayegaa gareeb
kaagar aap mere ghar ke aage, ek bar ruk jaya karen
tere hontho se meetha
Kabhi unki yaad aati hai kabhi unke khwaab aate hain
Mujhe satane ke saleeke to unhe behisaab aate hain
Qayamat dekhni ho gar chale jana us mehfil mein
Suna hai us mehfil mein wo be-naqab aate hain
Ye din ye mahina ye taarikh jab jab aayi
Hum ne kitne pyaar se janam din ki mehfile sajayi
Har shamaa par naam kikh diya dosti ka
Is ki roshni mein chaand jaisi teri surat hai samayi
Tere hontho se meetha meetha jab paigaam milega
Jalti huyi shama ko bhi aaram milega
Teri saanso ki mahek se shama bujh to jayegi
Tere hontho se shamaa ko meetha sa ek jaam milega.
Toote huye dilon ki duaa mere saath hai
Duniya teri taraf hai khuda mere saath hai.
Awaaz ghunghrooon ki nahin hai to kya hua
Saagar ke tootne ki sadaa mere saath hai
Monday, January 22, 2007
tum hi tum
madmast nigaah
Mangga tha haath faila kar meine pyar unse
Aur wo meri jholli katton se bhar gaye
Baddla to hum bhi le sakte thhe ei dost
Par hum thhodda khudda se darr gaye
Kanton pe chalne ki aadat banni hei,
phullon ke kissne sapne liye hein
Kismat hammari mei jo raste hein,
chaloonga unhi pe jo rabb nei diye hein.
Pass rahkar bhi na pahchan saka tu mujhko
Door se dekh kar ab hath hilata kya hai
Main tera kuchh bhi nahin hoon magar itna to bata
Dekh mujhko tere jehan main aata kya hai
Unhe zindagi ko najar lagaane do
Phir bhi ek din chaman bahar hoga
Bus yahi sochkar main zinda hoon
Ki kabhi to zindagi se pyar hoga
Mahke mahke mausam me dekho kali muskayi hai.
bhine-bhine saawan me kaali ghata ye chhayi hai.
aaj ka din to qayamat ka din hai khuda.
roz sapno me aane waali aaj zindagi me ayi hai.
Meri aankhon me ek sapna hai sajaaya tumne.
dil-nashin aashiyaana bhi banaya tumne.
tum qayamat ho ye sirf main nahin kehta.
us Khuda ko bhi deewana hai banaya tumne
Dil ki dil se ho jaaye agar baat to kaafi hai.
kisi ki yaad me beet jaaye saari raat to kaafi hai.
mujhe maloom hai, tumse milna abhi mushkil hai sanam.
khwabon me hi jo ho jaaye mulakat to kaafi hai.
Mujhe bevajah kisi ki yaad sataye to koi kya kare.
yaad me doobkar jee bhar aaye to koi kya kare.
dil ko bahlane ke bahut jariye hain din bhar.
raat hote hi koi khwabon me aa jaye to koi kya kare.
Ishq ne tere mujhe madhosh kar diya.
madmast nigahon ne to khaamosh kar diya.
ek aawaara-deewana mujhe kehti thi ab tak duniya.
teri kaatil adaa ne mujhko sarfarosh kar diya.
Wednesday, January 17, 2007
mousam ki tarha
Mousam ki tarah badalna aata nahin humein,
Par hum aap ko badal ke dikhayenge,
Bhale hi kitna manaa lo humein,
Ab hum na lout kar wapas aayenge.
JAHAN SHAMA KE BADLE DIL JALAYE JATE HAIN,
WAHAN BADE ADAB SE HUM BULAYE JATE HAIN,
WO AUR HONGE JO TARANNUM MEIN GAYE JATE HAIN,
MERE SHER TO PYAAR SE GUNGUNAYE JATE HAIN.
likhoon kuch aaj
Likhoon kuch aaj yeh waqt ka takaza hai,
Dil mein dard abhi taza taza hai,
Gir padte hain aansu mere kagaz par,
Lagta hai kalam mein siyahi kam aur ishq zyada hai
Itni muddat baad mile ho,
Kin sochon mein goom rehte ho,
Tez hawa ne mujhse puchha,
Reit par kya likhte rehte ho,
Kaun si baat hai tum mein aisi,
Itne achche kyon tum lagte ho,
Humse na punchho hijr ke qisse,
Apni kaho ab tum kaise ho.- Judaai to mohabbat ki takdeer hai,
- Do dilon ko jo tode yeh wo lakeer hai,
- Mohabbat agar hai aaina khuda ka,
- To yeh aaine ke peechhe ki tasweer hai,
- Tujhe tadapna na pade meri tarah ishq mein,
- Tere saath meri khushiyon ki jageer hai,
- Meri maut pe aanna ek rasm hi sahi,
- Yeh hamaari mohabbat ki aakhri zanjeer hai.
HUM SAGAR KHANGALTE GAYE,
LOG MOTI UDAA LE GAYE,gfrd
KYA KUCHH NAHIN THA MERI AANKHON MEIN,
KAMBAKHT ASHK SAB BAHA LE GAYE.
Thursday, January 11, 2007
yeh ahsaas
Yeh ehesas hai kaunsa, jo hume bar bar tadpata hai,
Jane kyu hurdum tera hi khayal ata hai,
Chand ko dekhta hoon, jab bhi teri baate sochta hoon,
Teri mujshe yuh dilagi karna, chehre pe muskurahat lata hai,
Intezaar rehta hai besabri se, ke kab tumse mulakat ho,
Par jab samne hote ho tum, to dil thoda sa gabrata hai,
Chahata hoon mai, ke yuhi hum ek doosre se baate karte rahe,
Yeh dil bhi mera na, bade ajeeb se sapne aab sajata hai,
Mehefil me baitha hoon, dosto ki bheed hai,
Tanhai samajh kar yeh dil tujh ko hi kyu bulata hai,
Yeh kya hogaya hai mujhe, yeh kaisi bekarari hai,
Kya yeh mitha ehesas hi pyar kehelata hai?
Tuesday, January 09, 2007
ye mere humdam
Ye mere humdum, mere dost , mere yar,
tere se seekha hun mei karna zindagi se pyar,
jabse payee hai maine dosti teri,
uss khuda ka shukriya kartha hun bar-bar.
Majburi kya thi unhone batayi tho hothi,
judai ki baat yun sunaayi na hothi,
aapne khabar ki mitti bhi de detthe unhe,
mere maut ki kwaishjatayi tho hothi.
Mere aansuon ko ussne barsath samjha,
mere khabon ko usne mulaquath samjha,
meri aarthi jab gujri uski gali se,
Pathar dilne usse bhi baaraath samjhaa.
baras aaj
baras aaj tu kisi sawan ke badal ki tarah
mere payaase dil ko yun tarsata kyu hai
hai aaj sitaaro mein bhi koi behki hui si baat
warana aaj yah chaand itna ithalta kyu hai
lag rahi hai yeh dharti bhi saji hui sej si
tu nazaro se peela ke mujhe behkaata kyu hai
dil ka dharkana bhi jaise hai aaj koi jaadugiri
har dharkan mein tera hi naam aata kyu hai
hai mera dil koi jaise koi sehara sa payaasa y
ah dillagi karke mujhe tadfataa sataata kyu hai !!
yaar jo bhi mila
Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya
Khaak main meri hasthi mila kar gaya
Pyaas jiski sada mai bhujathi rahi
Zahere-katil mujhe wo pila kar gaya
Naaz uski wafa per mujhe tha
magar Theer woh bhi jigar per chala kar gaya
Doondta tha kabhi jo mujhe her gali
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya
Mangta tha sahara jo herdam
mujhe Besahara mujhe wo bana kar gaya
Neend aagosh main jiski aane lagi
Maut ki neend mujh ko sula kar gaya
Aarjoo thi "Yaara" kisii ki mujhe,
Kwaab mere wahi toh mita kar gaya..
Thursday, January 04, 2007
phoolon pe laga pahra
Yu mili jo nigahen dosti ittefaq ho gayi,
Raah mein chalte2 tumse mulaqat ho gayi.
Jab se basaya hai tumhe nigahon me,
Pata na chala kab din kab raat ho gayi
Har insan ki alag pehchan hoti hai,
par hamare sms ki alag hi shaan hoti hai.
Har kisi ko karte nahi sms magar,
jisko karte hain usme hamari jaan hoti hai.
Phulo pe laga pehra acha nahi lagta,
rang ishk ka na ho gehra to acha nahi lagta.
Muskurate raha karo sada e dost,
tumhara udas chehra acha nahi lagta
Kaash hum b kisi ankh k noor hote,
kisi k dil ka suroor hote.
Agar banane wale ne hame b khubsurat banaya hota,
To hum b kisi na kisi k katil zaroor hote
Sharaabi ilzaam sharaab ko deta hai,
Aashiq ilzaam shabaab ko deta hai.
Koi nhi krta qabool apni bhool,
kaanta bhi ilzaam gulaab ko deta hai
Yaad ko keh do ki woh yaad na aaye,
Dil me chippe dard ka paigam na laye.
Jis mohabbat ko apni hi najar lag jati ho,
Us mohabbat ka koi salaam na laye.
Khwab agr TUMsa ho to ye khwab na tute.
DOST agr TUMsa ho to ye saath na chhute.
Dilon ki dor se bandhe hain rishtey,
dekho Dil se Dil K taar na tute.
mera likha
- Kisi ajnabi ko mera likha suna raha tha woh
Bikhre hue khawabon ke Purzey udha raha tha woh
Umr bhar pista raha who rishtoon ki chaki mein
Baaqi rahe rishtoon se daaman churra raha tha woh
Apni zidd to woh puri na kar saka
Ruthey huway bachoon ko mana raha tha woh
Sehra me khile phool ko bachane ke liye
Apne ashkoon se uski pyaas mita raha tha woh
Uski yaadoon ko kuch is tarah bhula raha tha
Apne haathoon apna likha mita raha tha woh
Sirf kirdaar hi to badle they usne - Apni hi kahani suna raha tha woh !!!
mere toote hue dil
MERE TOOTE HUE DIL KO, SAHARA KON DEGA
MERI TOOFAAN ME KASHTI, KINARA KON DEGA
YEH KESE MOR PE LAAI HA MUJKO ZINDIGANI
ADHOORI SEE LIKHI GYEE HA KYUN MERI KAHANI
HA AB KIS RAAH PE CHALNA ISHARA KON DEGA
MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KAUN DEGA
MAIN HOON OUR SATH MERE AB MERI TANHAAYAN HAIN
MERI TAQDEER SE MUJKO MILI RUSWAYIAN HAIN
MERI ANKHON KO KHUSHION KA NAZARA KAUN DEGA
MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KAUN DEGA
Subscribe to:
Posts (Atom)