Sunday, December 30, 2007

tumhara sparsh

Jante hein aap ko humari parwah nahi
Phir bhi ye bewakufi kiye jate hein
Aap ke sath ikk lamha jeene ke liye
Apni hi zindagi ka khoon kiye jate hein

Tumhara har sparSh, yaad rakhna chahti hoon.
Tumhe aapni palakon mein chupa na chahti hoon.
Koi bhule se tumhe mujse cheen na le.
Tumhe aapni saan.soh basana chahti hoon.

Teer nazron ke, to palkon ki kaman rakhhe hai
unki kya baat hai, phoolon ki jaban rakhhe hai
ham to ankhon mein sanwarte hain wahin sanwrenge
ham nahin jaante aaine kahan rakhe hain
apne qaatil bhi usi roz se sharminda hain
ham bhi khamosh bahut apni juban rakhe hain
dil kabhi ret ka shahil nahin hone dete
hamne mahfooz woh kadmon ke nishan rakhe hein
jin pe tahreer hai bachpan ki mohabbat apni
ab mere ghar ke woh darwaze kahana rakhe hain

No comments: