Wednesday, December 26, 2007

kyon chupate ho

kyon chhupate ho apne dil mein tum raaz koi
faash chehre se hota hai jo ho raaz koi

muskurakar nigaahen bhar bhar dekhna tera
qatl karne ka hai ye bhi naya andaz koi

mujhko baahon mein bhar lete ho aaj kal aise
hai ye anjaam-e-ulfat ya hai aaghaz koi

unke baaton ki mausiqui har jagah "atif"
liye phirte hain woh labon par jaise saaz koi

tu hi zindagi,tu hi bandagi,
tu hi ishq mera,tu hi pyar hai
tu hi neend mein,tu hi hosh mein
madhoshi mein bhi tera khayal hai

teri hi aas hai,teri pyas hai
tujh mein koi baat khaas hai
tere liye main hua deewana
kitna haseen yeh ehsaas hai

jal raha hai,dhadak raha hai
dil ye mera sulag raha hai
tujhko baahon mein bharne ko
jism ye mera tadap raha hai

ishq ne hum ko jeena sikaya,
ishq ne hum ko marna sikaya
marte marte jeete rehna
yehi ishq ki saugaat hai...

__________________

Log apne bhi hote hai praye bhi.
dilon mein hoti hai sagar jaisi gehrai bhi,
is umeed se kartay hain sms unhein,
ki wo padhein aur hamein,
yaad karke muskrayein bhi…

dil se roye magar hothon se muskura baithe,
yun hi hum kisi se wafa nibha baithe,
woh hamein ek lamha naa de paaye,
jinke liye hum apni zindagi gawaa baithe.

No comments: