Chehre ki muskan ban jata hai koi ,
dil ki dhadkan ban jata hai koi ,
fir kaise jiyenge zindagi unke bin ,
jab zindagi jine ki pehchan ban jata hai koi.
Door tak chhaye the badal,
kahi koi saya na tha,
is tarah barsat ka mausam,
pehle kabhi aaya na tha,
kya mila aakhir tujhe saaye ke piche bhaag kar,
ai mere dile nadan
kya maine tujhe samjhaya na tha.
Hamesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya
aaj mausamm me kuch ajeeeb c baat hai …
bekabu se humare jaaazbat hai…
g chahta hai ki tumko chura le tumhi se…
par mummmy kehti hai choriii karna paaaappp hai
Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla unka mitaya na jaa sa
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment