Gujari gayi ye jindagi aaj aise mukam se,
Ki ek rishte ne khudkushi karli.
Banayi thi jo bharose se duniya,
Usi duniya se berukhi karli.
Najar ka pher tha ya thi wafa ki gahrayi,
Uthaya jam na phir bhi to maykashi karli.
Gujar gayi kai rate subah ke intjar me,
Jo aayi wo to syahi se dosti karli.
Hajar wade wafa ke kiye gaye lakin,
Waqukt aaya to door se hi bandage karli.
mere ashkon ki bunyaad pe qaayam yeh khushiyan teri,
rabb kuch aisa kare ki yeh khushiyan tamaam hojaaye,
jee hi lungi mai kuch yaadon ke sahaare,
ab tu kare wafaa aur woh nakaam hojaaye,
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment