Wednesday, December 26, 2007

nazar ka fer

Gujari gayi ye jindagi aaj aise mukam se,
Ki ek rishte ne khudkushi karli.

Banayi thi jo bharose se duniya,
Usi duniya se berukhi karli.

Najar ka pher tha ya thi wafa ki gahrayi,
Uthaya jam na phir bhi to maykashi karli.

Gujar gayi kai rate subah ke intjar me,
Jo aayi wo to syahi se dosti karli.

Hajar wade wafa ke kiye gaye lakin,
Waqukt aaya to door se hi bandage karli.

mere ashkon ki bunyaad pe qaayam yeh khushiyan teri,
rabb kuch aisa kare ki yeh khushiyan tamaam hojaaye,

jee hi lungi mai kuch yaadon ke sahaare,
ab tu kare wafaa aur woh nakaam hojaaye,



haan use bhi ek baar rote dekhun
apni zindgi ki khushiyan khote dekhun
wo bhi tadhap ke maange mout yaha
marne se pahil ek baar ye hote dekhun

me toh yado ke chirago ko jalane me raha
dil ki dehleez ko asqo se sajne me raha
mud gayi wo toh sikko ki kanak sunkar
me gareebi ki lakero ko mittane me raha

Wada Kartay Hai,Kasamein Khatay Hai
Phr Bhee Pata Nahi Saath Kiu Choor Jatay Hai
Hame Tu Takleef Hotee Hai Phool Toodne Mai Bhee
Pata Nahi Loog Dil Kaisay Toor Jatay Hai .



Ye dard ha meri koi saugaat nahi
ye bewaqt ka sawan hai koi barssat nahi
ye sart hai meri wo hotho se pilaye
mai jahar bhi pee looga koi baat na

aaye na bhale tumhe yaad hamari,
hum hamesha karenge fariyaad tumhari,
bewafa the wo, hum na kahenge kisi se,
kahenge ki shayad kami thi wafa me hamari

No comments: