Monday, December 31, 2007

doston se pyar

har khushi se khubsurat teri shaam kardo,
apna pyar or dosti tere naam kardo,
mile jaye agar deobara ye zindagi,
har bar main ye zindagi tere naam kardo

vo juda nahi hote,
kuch ahsas lafzo mein bayan nahi hote,
ek hasrat hai unhe manane ki,
vo itney achay hain ki kabhi khafa nahi hote.

Rishton ki kitaab ka cover hai dosti,
Dosti se bani hai hamari hasti,
Khoon ke rishton ki baat aap karte hain,
Hamare liye to zindagi hai aap ki dosti.

Dost dost se khafa nahi hota,
Pyaar pyaar se juda nahi hota.
Bhula dena meri kamiyon ko,
Kyunki insaan kabhi Khuda nahi hota…

Ye safar Dosti ka kabhi khatm na hoga,
Doston se pyaar kabhi kam na hoga.
Door rehkar bhi jab rahegi mehek iski,
Hamein kabhi bicchadne ka gham na hoga

Todane ke liye vada kiya nahi jata,
Soch samaj kar pyaar kiya nahi jata,
Rishata pyaar ka ho ya dosti ka,
Saccha ho to usake bina eak pal bhi jiya nahi jata...:)

Pyaar kisise jo karooge,
Ruswai hi milegi.
Wafa kar lo chahe jitni,
Bewafai hi milegi.
Jitna kisi ko apna bana lo,
Jab aankh khulegi tanhai hi milegi!!!

Sunday, December 30, 2007

chehre ki muskan

Chehre ki muskan ban jata hai koi ,
dil ki dhadkan ban jata hai koi ,
fir kaise jiyenge zindagi unke bin ,
jab zindagi jine ki pehchan ban jata hai koi.

Door tak chhaye the badal,
kahi koi saya na tha,
is tarah barsat ka mausam,
pehle kabhi aaya na tha,
kya mila aakhir tujhe saaye ke piche bhaag kar,
ai mere dile nadan
kya maine tujhe samjhaya na tha.


Hamesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya


aaj mausamm me kuch ajeeeb c baat hai …
bekabu se humare jaaazbat hai…
g chahta hai ki tumko chura le tumhi se…
par mummmy kehti hai choriii karna paaaappp hai

Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla unka mitaya na jaa sa

tumhara sparsh

Jante hein aap ko humari parwah nahi
Phir bhi ye bewakufi kiye jate hein
Aap ke sath ikk lamha jeene ke liye
Apni hi zindagi ka khoon kiye jate hein

Tumhara har sparSh, yaad rakhna chahti hoon.
Tumhe aapni palakon mein chupa na chahti hoon.
Koi bhule se tumhe mujse cheen na le.
Tumhe aapni saan.soh basana chahti hoon.

Teer nazron ke, to palkon ki kaman rakhhe hai
unki kya baat hai, phoolon ki jaban rakhhe hai
ham to ankhon mein sanwarte hain wahin sanwrenge
ham nahin jaante aaine kahan rakhe hain
apne qaatil bhi usi roz se sharminda hain
ham bhi khamosh bahut apni juban rakhe hain
dil kabhi ret ka shahil nahin hone dete
hamne mahfooz woh kadmon ke nishan rakhe hein
jin pe tahreer hai bachpan ki mohabbat apni
ab mere ghar ke woh darwaze kahana rakhe hain

Wednesday, December 26, 2007

jo tune diya

Dard me koi mousam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebasi,
Hum sabhi k ho jate hain
Par koi humara nahi hota.

mana ki tum jeete ho jamaane ke liye.
ek baar jee kar dekho humare liye,
dil ki kya aokaat aapke saamne,
hum to jaan bhi de denge aapko paane ke liye

Jo Tune Diya Usse Hum Yaad Karenge,
Har Pal Tere Milne Ki Faryaad karenge.
Chale Aana Jab Kabhi Khayal Aaye Mera,
Hum Roz Khuda se pehle Tujhe Yaad Karenge.
*~*~*~*~*~*~*~*~

teri mahak

Jab koi junoon aata hai dimaag mein
Apna khoon daal deta hoon chiraag mein
Ek chehra ban jaata hai meri aahon se
Ek soorat chhupi huii hai dil ke daag mein !!

Dard ke siwaa mujhko milaa kuch bhi nahin
Maine dil lagaaya tha khushiyon ki laag mein

Lapton mein mujhko dekh kar mayoos hote hain
Jhonk to dete hain mere khat woh aag mein
Kaanton se apna daaman bhar ke laaya hoon
Mil gaya tha ek shakhs phoolon ke baag mein !!

Mahek teri aaj bhi meri saanson me hai,
Har ek ada teri meri aankhon me hai

Tu bhale mita de apne dil se mera wajood,
Magar teri jagah aaj bhi meri yaadon me hai

aai jo teri yaad

aai jo teri yaad to aankh bhar aai hai,
tu palkon se ban ke ashq chalak aai hai.

jee chahta hai tere un kahton ko choom loon,
jisme tere hanthon ki khushbue-hina samai hai.

khudaya ye kaisa qahar hai mujh par aaya,
mahboob ke aangan baji gair ki shahnaai hai.

aaj jo teri tasveer maine rubaroo rakh lee,
bosaa lene ko chandni mere ghar utar aai hai.

aankhon ke saagar ko ba ek parde se dhak liya,
tu kahin doob na jaae mere pyar ki gahraai hai.

dekh tere labon ke surkh gulaabon ki kasam,
khune-yaar se tune ghazab qayamat dhaai hai.

kismat ne muh moda to tune bhi hath chod diya,
raahe-wafa me dost tune khoob dosti nibhai hai

ek baar bula lo

Dil ke Zakham Ye Jo Mile Hain Hume,..
Sab Mohabbat Ki Nishaaniyaan Hain,.,

Mohabbat Milti Hai Har Kisi Ko Ye To Sirf Sunaa Hai,..
Mohabbat Ki Koi Haqeeqat Nahi Ye To Sirf Kahaaniyaan Hain,..

Mohabbat Naam Hai Tabaahi Ka,..
Mohabbat Naam Hai Judaai Ka,..

Mohabbat Kisi Ko Milte Humne Dekhi Nahi,..
Mohabbat To Fasaana Hai Bewafaai Ka,..


aankh main raha jo wo nazar se utar gaya ,
waqt ka kya hai wo unhi guzar gaya ,
lagta tha jiske bina jina hoga mushkil,
wo na raha to ye ehsaas mar gaya


Tum din ko din keh do keh de tum raat kaho dohrayenge
jeene ki izazat do jee le marne ko kaho marr jayenge
marne ko kaho marr jayenge

sapno mein sajaya hai tumko sanson mein chupaker dekhenge
ai jaane wafa tasveer teri hum dil mein chupakar dekhenge
sapno mein sajaya hai tumko sanson mein chupaker dekhenge
ai jaane wafa tasveer teri hum dil mein chupakar dekhenge

ek baar bula lo paas humein sau baar gale lag jayenge
ankhon mein tumhare sapne hai honthon pe tumhari baatein hai
har shaam tumhare dam se hai tum se hi mehakti raatein hai
ankhon mein tumhare sapne hai honthon pe tumhari baatein hai
har shaam tumhare dam se hai tum se hi mehakti raatein hai
tu shaad rahe abaad rahe har dard tera seh jayenge

Us ek naam se jud gaya mera ab naata hai
Jiska rang har rishte me nazar aata hai
Sameyte baithi thii kal tak jis aanchal ko main
Aj uspe'Wafa or Mohabbat'likha nazar aata hai
Na jaane kal ke naseeb mein kya likha hai
To fir kyon na hum bus aaj ki baat karen
Ye haseen lamhe laut kar nahin aane waale
Apne dil ki chahat se chalo mulakaat karen

Wo sunahare panno ki kitaab ek din khul jaayegi
Kaun hai kismat mein tumhe usse milwayegi
Saath tumhara bahaut denge raah mein aie musaafir
xsJiska naam likha hai mukaddar mein wahi asli saath nibhayegi

salaam karte hain mehfil me wo nazerein jhukaaye
hum bhi hain ke unhi ko hain nishaana banaye
jo khushi bayaan karte the nigaaaho se kabhi
aaj baithe hain wo khud se apni hi nazrein churaaye

unka jana

Kahar dhaa deta hai hum pe,
Unka wo jaate-jaate, palat jaana….
Pallu lehraa kar, daudna,
Aur aake meri baahoN me simat jaana….


Chehre pe kuch yuN masoomiyat liye,
Wo humare is dil ko todte haiN….
Ki unka wo masoom sa chehra dekhne ko,
Hum dil baar-baar jodte haiN….

nazar ka fer

Gujari gayi ye jindagi aaj aise mukam se,
Ki ek rishte ne khudkushi karli.

Banayi thi jo bharose se duniya,
Usi duniya se berukhi karli.

Najar ka pher tha ya thi wafa ki gahrayi,
Uthaya jam na phir bhi to maykashi karli.

Gujar gayi kai rate subah ke intjar me,
Jo aayi wo to syahi se dosti karli.

Hajar wade wafa ke kiye gaye lakin,
Waqukt aaya to door se hi bandage karli.

mere ashkon ki bunyaad pe qaayam yeh khushiyan teri,
rabb kuch aisa kare ki yeh khushiyan tamaam hojaaye,

jee hi lungi mai kuch yaadon ke sahaare,
ab tu kare wafaa aur woh nakaam hojaaye,



haan use bhi ek baar rote dekhun
apni zindgi ki khushiyan khote dekhun
wo bhi tadhap ke maange mout yaha
marne se pahil ek baar ye hote dekhun

me toh yado ke chirago ko jalane me raha
dil ki dehleez ko asqo se sajne me raha
mud gayi wo toh sikko ki kanak sunkar
me gareebi ki lakero ko mittane me raha

Wada Kartay Hai,Kasamein Khatay Hai
Phr Bhee Pata Nahi Saath Kiu Choor Jatay Hai
Hame Tu Takleef Hotee Hai Phool Toodne Mai Bhee
Pata Nahi Loog Dil Kaisay Toor Jatay Hai .



Ye dard ha meri koi saugaat nahi
ye bewaqt ka sawan hai koi barssat nahi
ye sart hai meri wo hotho se pilaye
mai jahar bhi pee looga koi baat na

aaye na bhale tumhe yaad hamari,
hum hamesha karenge fariyaad tumhari,
bewafa the wo, hum na kahenge kisi se,
kahenge ki shayad kami thi wafa me hamari

kyon chupate ho

kyon chhupate ho apne dil mein tum raaz koi
faash chehre se hota hai jo ho raaz koi

muskurakar nigaahen bhar bhar dekhna tera
qatl karne ka hai ye bhi naya andaz koi

mujhko baahon mein bhar lete ho aaj kal aise
hai ye anjaam-e-ulfat ya hai aaghaz koi

unke baaton ki mausiqui har jagah "atif"
liye phirte hain woh labon par jaise saaz koi

tu hi zindagi,tu hi bandagi,
tu hi ishq mera,tu hi pyar hai
tu hi neend mein,tu hi hosh mein
madhoshi mein bhi tera khayal hai

teri hi aas hai,teri pyas hai
tujh mein koi baat khaas hai
tere liye main hua deewana
kitna haseen yeh ehsaas hai

jal raha hai,dhadak raha hai
dil ye mera sulag raha hai
tujhko baahon mein bharne ko
jism ye mera tadap raha hai

ishq ne hum ko jeena sikaya,
ishq ne hum ko marna sikaya
marte marte jeete rehna
yehi ishq ki saugaat hai...

__________________

Log apne bhi hote hai praye bhi.
dilon mein hoti hai sagar jaisi gehrai bhi,
is umeed se kartay hain sms unhein,
ki wo padhein aur hamein,
yaad karke muskrayein bhi…

dil se roye magar hothon se muskura baithe,
yun hi hum kisi se wafa nibha baithe,
woh hamein ek lamha naa de paaye,
jinke liye hum apni zindagi gawaa baithe.

nafrat ke angaare

Humne mehboob ki aankhon par
Haathon ko apne rakh kar dekha…
Nafraat ke aangaaro ko jab unkii
Nazaron mey dehekta dekhaa….
Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar,
Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa…
Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha
Band hoti hui aankhon ko koi khwaab dikha diya,
Bahut ufan kar uttha toofan, aur ghar bahaa diya…
Hum soch ke baithe thhe ki ab chup hi raheinge,
Dil ki veeraaniyon ney hi ek sawaal uthha diya…

Tuesday, December 25, 2007

jindgi

Gujari gayi ye jindagi aaj aise mukam se,
Ki ek rishte ne khudkushi karli.

Banayi thi jo bharose se duniya,
Usi duniya se berukhi karli.

Najar ka pher tha ya thi wafa ki gahrayi,
Uthaya jam na phir bhi to maykashi karli.

Gujar gayi kai rate subah ke intjar me,
Jo aayi wo to syahi se dosti karli.

Hajar wade wafa ke kiye gaye lakin,
Waqukt aaya to door se hi bandage karli.

mere ashkon ki bunyaad pe qaayam yeh khushiyan teri,
rabb kuch aisa kare ki yeh khushiyan tamaam hojaaye,

jee hi lungi mai kuch yaadon ke sahaare,
ab tu kare wafaa aur woh nakaam hojaaye,

Monday, December 24, 2007

aap ka sutpid dost

hi hello pooja how ru...yaaar plz aap apna dard bhul jao


kyonki ..kha hhi he..


dard ko na dekhiye dard se
dard ko bhi dard hota he
dard ko bhi jarurat he pyar ki,kyonki dard hi to hum dard hota he



aapka stuip dost