Behki hui bahaar ne peena sikha diya
badmast bargo baar ne peena sikha diya
peeta hun is garaz se ke jeena hai chaar din
marnay ke intezaar ne peena sikha diya
maikaday band karien laakh zammanay walay,
shahar mein kam nahin aankhon se pilanay walay
kum se kum surat e saqi ka nazara ker le
aa ke maikhaane mein jeene ka sahara ker le
aankh milte he jawani ka maza aaye ga
kuch to angoor ke pani ka maza aaye ga
Baadal Ki Tarha Jhoom Ke Lehra Ke Piyein Gay
Saqi Tere Maikhane Pe Hum Ja K Piyein Gay
Daikhen Ge k Aata Hai Kidhar Se Gham-E-Duniya
Saqi Tujhe Hum Saamne Bithla K Piyein Gay
Aik Din Woh Zaroor Aa'in Gay
Dard Ka Saya Tal Ja'ay Ga
Is Zamanay Ki Parwa Nahi
Yeh Zamana Badal Ja'ay Ga
peenay walo suno na chupa kar piyo
kabhi ishq aur sharab ko mila kar piyo
tum kaho ge K yeh kaise mumkin hai yaar
saamne tum sanam ko bitha kar piyo
aur nazar se nazar phir mila kar piyo
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment