Ik Zamaana hua keh rim-jhim barsaat hui
Khushion ki gham ke baadalon se mulaqaat hui
Jaane kabse sulag rahi thi gham ki aag dilon mein,
Pyaar ki kuch boonde padiin tou mehakti raat hui
WAQT TO AATA HAI PHIR CHALA JATA HAI....
ISKA AITBAAR KABHI MAT KARNA...
JO JUDA HOKAR BHI BAR BAAR YAAD AAYE
ITNA PYAAR KABHI KISI SE MAT KARNA
Maza aata hai tumhein satane mein,
Ruthe na koi to maza kya manane mein,
Ek tumhi se to khushi hai zara si,
Warna rakha kya hai is zamane mein
Bichhadne ka naam na lo, hum tut kar bikhar jayenge
ye sitam na sahan kar payenge
Phir agar Aap lot aye bhi to kya
Jahan ki bhid main kahin hum najar na ayenge
kitne aziyat say uss nay mujh ko bhulaya ho ga
mere yadoon nay ussay khub rulaya ho ga..
baat be-baat aankh uss ki jo chalki hoo gi.......
uss nay chahray ko bazuoon main chupaya ho ga..
soocha hoo ga uss nay din main kaye baar mujhy......
naam hathele par bhe likh likh kay mitaya ho ga..
jahan us nay mera ziker suna hoo ga kisi say......
uss ki aankhoon main koe aansoo tu aya hoo ga..
raat kay bhegnay tak neind na aye ho gi tujhy....... .
tuu nay takeye ko bhe senay say lagaya ho ga..
ho kay nidhal mere yadoon say tuu nay jana.....
mere tasveer pay sar apna tikaya hoo ga..
poocha hoo ga jo kisi nay tere halat ka sabab.....
tuu nay batoon main khub us say chupaya ho ga..
ab kisey dhoondhoon tasavur mein basaney ke liye
chand koi na raha apna bananey ke liye
meri is duniya mein lakhoon hein magar koi nahi
meri tanhaion mein saath nibhaney ke liye
door talak veerana hai,ik khamoshi si chhaayi hai,
phir kyun yeh hawaa mein khushboo hai,
shayad teri yaad aai hai, tamanna thi tere deedar ki,
aaj baadalon ne teri tasveer banaayi hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment