Thursday, November 16, 2006

humari umeed


hum umeedon ki duniya basate rahe
wo bhi har kadam pe hame aazmate rahe,
jab dosti nibhani padi to,
hum to nibhate gaye per wo bahane banate gaye.

rahon mai dekha diwano ki tarah,
khawabo mai dekha ujalo ki tarah,
dil to kya hum teri rooh main sama jate,
chaha to hota hame chahne walo ki tarah

kaash koi mere liye b fariyad kare,
k wo ladki ek pal k liye mujhe yaad kare,
jiske liye barbaad kardi maine zindagi apni,
wo b mere liye ek pal barbaad kare

pyaar me maut se darta kaun hai,
pyaar ho jaata hai karta kaun hai.
Aap jaise yar par dunya qurban,
Aur aap puchte ho ki hum par marta kaun hai

waqt thoda hai paas mere par bahut kuch karna abhi baaki hai,
wo jakhm jo apno ne diya hai use abhi bharna baaki hai,
tere pyar ki aadat c pad gai hai mujhe
kuch der tere saath chalna baaki hai

ye kaun chala chaman se khamoshiya lekara,
kali-kali ro uthi siskiya lekar,
hans rahe the jo mere dubne par,
wohi nikle hai meri talaash me kashtiyan lekar

teri wafa me sanam na safar ke rahe na vatan ke sanam
bikhri laash k itne tukde hue na kafan k rahe na dafan k sanam

kabhi khushi pilati hai kabhi gham,
kabhi whisky peete hai kabhi rum,
pila deti hai uski yaadein or tanhai,
per badnaam hoti hai sirf botal or hum.

No comments: