Thursday, November 23, 2006

na jhukao tum nigaahen


Mein nazar se pee raha hoon ye samaan badal na jaaye
Na jhukaao tum nigaahain kahin raat dhal na jaaye
Abhi raat kuch hai baaqi na uthaa niqab saaqi
Tera rind girtay girtay kahin phir sanbhal na jaaye
mere ashk bhi iss mein ye sharab ubal na jaaye
mera jaam choonay waalay tera hath jal na jaaye
Meri zindagi ke maalik mere dil pe hath rakh de
Teray aanay ki khushi mein mera dum nikal na jaaye
Mujhay phoonknay se pehle mera dil nikal lena
Ye kisi ki hai amanat kahin sath jal na jaye

shaam ke waqt jaam yaad aayaa
kitnaa dilachasp kaam yaad aayaa
jab bhi dekhaa koi hasin cheharaa
mujh ko teraa salaam yaad aayaa
sunke qisse Khudaa ki azmat ke
aadami kaa maqaam yaad aayaa
bansari ki navaa ko tez karo
aaj raadhaa ko shyaam yaad aayaa
sahan-e-masjid mein bhi hamen 'mohasin'
mayakade kaa qayaam yaad aayaa

No comments: