Thursday, November 23, 2006

wo gulshan hai


wo gulshan hai gulzaar hai
wo mausam hai bahaar hai
kya khoob hasien wo ladki hai j
isse mujhko pyaar hai

chori chori chupke chupke
tumhara deedar karte hai
are hum to dosti ki aad me
tum se pyar karte hain.

Aankhen zuki hui hai, Palkein Uthi hui hai,
Dilkash raseelae hothon pur, baatein ruki hui hai,
Isse mein khamoshi samjhoon yaa mere pyaar ka izhaar,
Tere iss ada pe ye deewane ki dhadkan ruki hui hai

tujhse bichar ke dost bekhudi ki rah mein
umr kat rahi hai bas tarsi nigah mein.

apne dil ko agar dukhana hai aur baharo mein ghar jalana hai
pyar bewafa se karo agar mohabbat ko aazmaana hai..

YEH DIL KEH RAHA HAI TU AAJ PYAAR KARR LE
JO KABHI BHI NA KHATAM HO WO ITEBAAR KARR LE!!

phool se pahle

Phool se pehle khusboo ko to dekho,
karne se pehle kaam ko to dekho,
kisike roop mein diwana naa bano,
surat se pehle uske dil ko to dekho

jo wada kiya


Jo Waada Kiya Woh , Nibhaana Parey gaa Rokey Zamaana chaahey Rokey Khudaai Tum Ko aana parey gaa Tarasti Nigaahon ne aawaaz di hai Mohabbat ki raahon ne aawaaz di hai Jaan-e-Haiya, Jaan-e-ada .... Choro tarsaana, tum ko aana parey gaa Jo Waada Kiya Woh , Nibhaana Parey gaa Yeh maana humein jaan se jaana parey gaa Par yeh samajh lo tum ne , Jab bhi pukaara hum ko aana parey gaa Jo waada Kiya woh nibhaana parey gaa Hum apni Wafa pe naa ilzaam lein gey Tumhein Dil diya tumhein jaan bhi dein gey Jab Ishq ka soda kiya....... phir kiya ghabraana, hum ko aana parey gaa Jo waada Kiya woh nibhaana parey gaa Chamaktey hain jab tak yeh chaand aur taarey Naa tootein gey ab yeh Aehd-o-Paimaan Humaarey Aik dossra jab dey sada , ho ke deewaana Hum ko Aaana parey gaa Jo Waada Kiya Woh , Nibhaana Parey gaa

pyar bahot hai tumse jana


PYAAR BOHUT HAI TUM SE JANA,
PER EZHAAR NAHI KARTE
MERI CHUP SE YEH NA SAMAJHNA,
TUM SE PYAAR NAHI KARTE
APNI AANKHEIN TU HAR LAMHA,
TERI RAAH HI TAKTI HEINOR
TUM PAGAL YEH KEHTE HO HUM INTIZAR NAHI KARTE
TUM KAHO TU SUB KUCH APNA SONP DOON
TUM KO LAMHOMEIN
JITNA TUM PAY HAI BHAROSA HUMEIN,
KHUD PA BHI YAAR NAHI KARTE
DARD DIL KO AAISE MILLEY HEIN,
ROOTI REHTI HEIN AANKHEIN
WARNA HUM SUB SEEH LETE ,
ANKHEIN ASSHKBAAR NA KARTE

Kya Mila Tumhe Socho, Humko Azmaane Mein

Aag Lag Gayi Aakhir, Har Taraf Zamane Mein.

Tum To Chaar Din-May-Hi, Apna Honsla Kho Bethe

Umar Beet Jati Hai, Ruthne-Manane Mein...

Tumne Sab Luta diye Ashq Meri Palko Ke,

Ik Zamaana Lagta Hai, Aainey Sajaane Mein.

Aaj hai Sabhi Masroof, Farak Sirf Itna Hai,

Koi Ghar Banane Mein, To Koi Ghar Jalane Mein.

Aaj Dil Hai Diwana, Uska Rukh Na Pehchana,

Saazishen Bhi Shamil Hain Jiske Muskurane Mein

mujhe tum nazar se


muJhe tum nazar se gira to rahe ho
muJhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
na jaane muJhe kyoon yakiN ho chala hai
mere pyaar ko tum mitaa na sakoge


Jab Tere Dhun Men Jia Karty They
Ham Bhi Chup Chap Phira Karty They
Ankhoon Men Peyas Hoa Karty Thi
Dil Men Toofan Utha Karty They
Loog Aaty They Ghazal Suneney Ko
Ham Tere Bat Kia Karty They
Sach Samjhty They Tery Wadoon Ko
Rat Din Ghar Men Raha Karty They
Kisi Werany Men Tujh Sey Mil Kar
Dil Men Kia Phool Khila Karty They
Ghar Ke Dewar Sajany Ke Khatir
Ham Tera Nam Likha Karty They
Wo Bhi Kia Din They, Tujhe Bhula Kar
Ham Tujhe Yaad Kia Karty They
Kal Tujhe Dekh Kar Yaad Aeya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Karty They

na jhukao tum nigaahen


Mein nazar se pee raha hoon ye samaan badal na jaaye
Na jhukaao tum nigaahain kahin raat dhal na jaaye
Abhi raat kuch hai baaqi na uthaa niqab saaqi
Tera rind girtay girtay kahin phir sanbhal na jaaye
mere ashk bhi iss mein ye sharab ubal na jaaye
mera jaam choonay waalay tera hath jal na jaaye
Meri zindagi ke maalik mere dil pe hath rakh de
Teray aanay ki khushi mein mera dum nikal na jaaye
Mujhay phoonknay se pehle mera dil nikal lena
Ye kisi ki hai amanat kahin sath jal na jaye

shaam ke waqt jaam yaad aayaa
kitnaa dilachasp kaam yaad aayaa
jab bhi dekhaa koi hasin cheharaa
mujh ko teraa salaam yaad aayaa
sunke qisse Khudaa ki azmat ke
aadami kaa maqaam yaad aayaa
bansari ki navaa ko tez karo
aaj raadhaa ko shyaam yaad aayaa
sahan-e-masjid mein bhi hamen 'mohasin'
mayakade kaa qayaam yaad aayaa

saraabi

Behki hui bahaar ne peena sikha diya
badmast bargo baar ne peena sikha diya
peeta hun is garaz se ke jeena hai chaar din
marnay ke intezaar ne peena sikha diya

maikaday band karien laakh zammanay walay,
shahar mein kam nahin aankhon se pilanay walay

kum se kum surat e saqi ka nazara ker le
aa ke maikhaane mein jeene ka sahara ker le
aankh milte he jawani ka maza aaye ga
kuch to angoor ke pani ka maza aaye ga

Baadal Ki Tarha Jhoom Ke Lehra Ke Piyein Gay
Saqi Tere Maikhane Pe Hum Ja K Piyein Gay
Daikhen Ge k Aata Hai Kidhar Se Gham-E-Duniya
Saqi Tujhe Hum Saamne Bithla K Piyein Gay

Aik Din Woh Zaroor Aa'in Gay
Dard Ka Saya Tal Ja'ay Ga
Is Zamanay Ki Parwa Nahi
Yeh Zamana Badal Ja'ay Ga

peenay walo suno na chupa kar piyo
kabhi ishq aur sharab ko mila kar piyo
tum kaho ge K yeh kaise mumkin hai yaar
saamne tum sanam ko bitha kar piyo
aur nazar se nazar phir mila kar piyo

tere milne ki aas


TERE MILNE KI AAS NA HOTI
ZINDAGI YU UDAAS NA HOTI
MIL JAATI JO EK TASVEER TERI
MUJKO TERI TALAASH NA HOTI

Zindagi kuch log yun bhi jeete hain
Har lamha dukh sehte hain, aansu peete hain
Gham ki chaadar lapaite sote hain
kaanton ke bistar pe sote hain
Hogi subha ik din, Dhal jayega gham ka sooraj
iss umeed pe zindagi je jaate hain..

Kya kahein kiyun woh Dil ko lubha gaye
Kuch aise andaaz se woh humein sata gaye
kehne ko baat kuch bhi nahin magar
Dhoondein unhein kahan jo dil ko chura gaye

Pyaar Koi Cheez Nahi, Jise Mehnat Se Haasil Kiya Ja Sake
Pyaar Koi Mukaddar Nahi, Jise Taqdeer Pe Chhoda Ja Sake
Pyaar Ek Yaqeen Hai, Bharosa Hai...
Lekin Yeh Itna Aasaan Nahi,
Ki Kisi Pe Bhi Kiya Jaa Sake

Ek Taj Mahal nahi chahiye,
Mujhe aapka pyaar hi chahiye,
Marke mere naam ka Taj Mahal nahi banana,
Sirf apne dil mein meri tasveer tum sajana

ek tazmahal

Ik Zamaana hua keh rim-jhim barsaat hui
Khushion ki gham ke baadalon se mulaqaat hui
Jaane kabse sulag rahi thi gham ki aag dilon mein,
Pyaar ki kuch boonde padiin tou mehakti raat hui

WAQT TO AATA HAI PHIR CHALA JATA HAI....
ISKA AITBAAR KABHI MAT KARNA...
JO JUDA HOKAR BHI BAR BAAR YAAD AAYE
ITNA PYAAR KABHI KISI SE MAT KARNA

Maza aata hai tumhein satane mein,
Ruthe na koi to maza kya manane mein,
Ek tumhi se to khushi hai zara si,
Warna rakha kya hai is zamane mein

Bichhadne ka naam na lo, hum tut kar bikhar jayenge
ye sitam na sahan kar payenge
Phir agar Aap lot aye bhi to kya
Jahan ki bhid main kahin hum najar na ayenge

kitne aziyat say uss nay mujh ko bhulaya ho ga
mere yadoon nay ussay khub rulaya ho ga..
baat be-baat aankh uss ki jo chalki hoo gi.......
uss nay chahray ko bazuoon main chupaya ho ga..
soocha hoo ga uss nay din main kaye baar mujhy......
naam hathele par bhe likh likh kay mitaya ho ga..
jahan us nay mera ziker suna hoo ga kisi say......
uss ki aankhoon main koe aansoo tu aya hoo ga..
raat kay bhegnay tak neind na aye ho gi tujhy....... .
tuu nay takeye ko bhe senay say lagaya ho ga..
ho kay nidhal mere yadoon say tuu nay jana.....
mere tasveer pay sar apna tikaya hoo ga..
poocha hoo ga jo kisi nay tere halat ka sabab.....
tuu nay batoon main khub us say chupaya ho ga..

ab kisey dhoondhoon tasavur mein basaney ke liye
chand koi na raha apna bananey ke liye
meri is duniya mein lakhoon hein magar koi nahi
meri tanhaion mein saath nibhaney ke liye

door talak veerana hai,ik khamoshi si chhaayi hai,
phir kyun yeh hawaa mein khushboo hai,
shayad teri yaad aai hai, tamanna thi tere deedar ki,
aaj baadalon ne teri tasveer banaayi hai

Tuesday, November 21, 2006

mohabbat ka matlab


Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota,
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,
Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam,
Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota.......! !!

Us ajnabi ka youn na intezaar karo
Is aashiq dil ka na aitbaar karo
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aanso
Itna kabhi na kisi se pyaar karo

Aapse nazrein to mila lein par ye to bataiye ki
Aap mein aisa kya dekhein jo dekhte hi deewana banade
Badi mushkil se militi hai zindagi sambhal ke rakhiye
Kahin is shama ko hum parvana na banade

tere husn ko shabdon mein kaid kar raha hoon
jo rahe nakaam woh koshish kar raha hoon,
amber pe hain lakhon tare chamakteek ko
is zameen par chamkane ki koshish kar raha hoon

Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta

Is jahan me mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi me mithas na hoti!
Agar milti BEWAFA ko sazae maut,
To diwano ki kabre yu udas na hoti!!

Thursday, November 16, 2006

roshni ho to


na muskurane ko ji chahta hai,
na aansu bahane ko ji chahta hai,
likhu to kya likhu teri yaad main,
bus tere paas aane ko ji chahta hai.

Roshani ho to diya jalta hai,
shamma ho to parwana jalta hai,
rishte na ho to dil jalta hai,
aap jaise "DOST" ho to zamana jalta hai

Koi khud se Pyara hota hai,
Koi Dil ka Sahara hota hai,
Jaruri nahi Zindagi har kisi se Pyari ho,
Aap jaisa Insaan toh Zindagi se bhi Pyara hota hai

Koi kisi ki yaad ko dil se lagaye baitha hai..
Unhe kia pata ..wo unke liye aansu bahaye baitha hai…
Kitni ulfat hai os ke dil mein un ke liye..
Lafz dhoonde ..dil mein chupaye baitah hai...

humari umeed


hum umeedon ki duniya basate rahe
wo bhi har kadam pe hame aazmate rahe,
jab dosti nibhani padi to,
hum to nibhate gaye per wo bahane banate gaye.

rahon mai dekha diwano ki tarah,
khawabo mai dekha ujalo ki tarah,
dil to kya hum teri rooh main sama jate,
chaha to hota hame chahne walo ki tarah

kaash koi mere liye b fariyad kare,
k wo ladki ek pal k liye mujhe yaad kare,
jiske liye barbaad kardi maine zindagi apni,
wo b mere liye ek pal barbaad kare

pyaar me maut se darta kaun hai,
pyaar ho jaata hai karta kaun hai.
Aap jaise yar par dunya qurban,
Aur aap puchte ho ki hum par marta kaun hai

waqt thoda hai paas mere par bahut kuch karna abhi baaki hai,
wo jakhm jo apno ne diya hai use abhi bharna baaki hai,
tere pyar ki aadat c pad gai hai mujhe
kuch der tere saath chalna baaki hai

ye kaun chala chaman se khamoshiya lekara,
kali-kali ro uthi siskiya lekar,
hans rahe the jo mere dubne par,
wohi nikle hai meri talaash me kashtiyan lekar

teri wafa me sanam na safar ke rahe na vatan ke sanam
bikhri laash k itne tukde hue na kafan k rahe na dafan k sanam

kabhi khushi pilati hai kabhi gham,
kabhi whisky peete hai kabhi rum,
pila deti hai uski yaadein or tanhai,
per badnaam hoti hai sirf botal or hum.

humari muskrahat


Hamari Muskurahat dekhkar Duniya ne Socha
ki hum Gham se Khali hai. Par Duniya ko kya Pataa
ki jis Gham k Baag me Duniya rehti hai,
Hum uss Baag ke Maali hai! ...

majburiya hamari wo jaan na sake,
farmano ko humare wo maan na sake,
kehte hai wo humein mar kar bhi chahenge,
jeete ji humein jo pechan na sake

Sitaron ki Bhid se Churaya hai Aapko…
Dil se Apna Dost Banaya hai Aapko…
Is Dil ko Tutne na Dena…
Kyo ki isi Dil mein Chupaya hai Aapko

Tanha ho kahi toh mujhe dhund lena.
Is Dunia se nahi apne Dil se puch lena.
Apke aas paas hi kahi rehte hain hum,
Yaadon se nahi, Saath guzare lamho se puch lena… ...

Aapki yaadon ke rehte hum tanha nahi,
aapko hum yaad na kare aisa koi lamba nahi,
apki yaaden bhi apka ehsas hai,
har waqt lagta hai aap humare pass hain

aundi hai usdi yaad kise peer di tarah,
pathra nu cheer k kise teer di tarah,
eh sach hai k main usda ranjha na ban sakya,
per osnu main chaheya ik heer di tarah

Hasi ki rah mey Gham mile toh kya kare,
wafa ki rah mey bewafa mile toh kya kare,
kaise bachaye zindagi ko dhoke bazo se,
koi muskura ke dhoka de jaye toh kya kare

Dil me base hai jara yaad rakhna,
yaade kaam pade toh yaad karna,
mujhe toh aadat hai apako yaad karne ki,
agar hichki aaye toh maaf karna

Nasha jaruri hai zindagi ke liye,
par sirf sharab hi nahi hai bekudi ke liye,
kisi ki nighaon mein doob jaaye dil,
bada hasin samundar hai khudkhushi ke liye… ...

Hum toh sirf aapki baat karte hai,
har dhadhkan pe aapka naam liya karte hai,
aap ho hume apni jaan se bhi pyare,
tabhi toh waqt bewaqt yaad kiya karte hai… ...

Har pal dil yehi dua nikalati hai,
Mera doston ko khushiyon ke sansar Mile,
Jo bhi Mujhe apne dost ne samjha,
Use Apni girl friend se bahno wala pyar mile.

Intezaar rehta har shaam tera,
Raatein kat ti hain le-le kar naam tera...
Muddat se baithe hain yeh aas paale,
Ki aaj aayega koi paigaam tera....

taras gae


Fir wohi din higa,wohi rat hogi,
Lekin ab na jane fir mulakat hogi
Magar karte rehna SMS,
Kabhi to Dil se Dil ki baat hoghi.

Aaj kal meri tabbiyat main ek ajab sa inqelaab hota hai,
meri jan mujhe aise na dekh mera roza kharab hota hai.

Taras gaye hain hum aapke paas aane ke liye,
Dil-O-Jaan mitadein tujse dosti nibhane ke liye,
Hum Yeh SMS kar rahe hain,
apni yaad dilane ke liye. -

Bharosa kiya tha unki wafaon par,
lekin woh humko tanha shor gaye,
dil diya tha unhe apna samajkar,
jaate-2 woh use bhi tor gaye

Aankhon mein samai hai surat teri,
dil mein shupa hai pyaar tera,
tu aa chahe na aa,
harpal karenge intezaar tera.

gum si na jane har khushi kyu hai
har jagah pe 1 kami kyu hai
tujhse rishta koi nahi to
sochta hu ye jindage kyu hai
tumne dukhaya hai bahut hamare dil ko,
kabhi chukana padega ish bill ko ,
kuch hi log ish baat ko samaj pate hai,
badkismati se aise log har ek ki zindagi main ek baar jarur aate hai ..

teri aawaz sunne ko jab hum taras jate hai,....
to hum ghisa pita c/d player chalete hai,...
teri surat ke jab hume darsan na ho,..
to hum doodh lene tabale jate hai
waqt hona chaiye kisike saath gujarne ke liye
bhane to apne aap hi mil jate hain

gar erada tumhara satana hai dil ko,
bata do diwana samhal jayega,
tumhe na mile bewafai ke tane
dil hamara diwana smahl jayega

Faisle aap khud badalte hain
aur ilzam mujh pe aate hai...
Khud he karte hain dillagi mujhse
aur phir khud he ruth jaate hain....

Saturday, November 04, 2006

dekha jidhar

Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka
Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain
Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka

DIL LAGANE SE PAHLE ISKI SAZA JAAN LO YARO
BHARI MAHFIL ME YE DIL TOD DIYA JATA HI
DARD BAN JATI HI YAAD FIR US HASINA KI
JISKI CHAHAT ME YE DIL DEEWANA HUA JATA HI...........

Rulane Se Pehle Ek Baar Hasaya Hota,
Kasoor kya Tha Is Dil Ka Bataya Hota,
Mili Saja Us Khata Ki Jo Ki Na Hamne,
Kash Us Bewafa Se Dil Na Lagaya Hota

masoom chehra

MASOOM CHEHRA NIGAAHEN FAREBI
LABON PE HASNI AUR DIL MEIN DAGA HAI
MILE DOST JISKO YAHAN TERE JAISA
USE DUSHMANON KI ZAROORAT HI KYA HAI

DIL TOD DIYA, KYON ITNA BATA DE
PHIR BAAD MEIN BEWAFA JO CHAAHE MUJHKO SAZA DE
TERI BERUKHI SE PARESHAAN HOON MEIN
NA AAYE SAMAJH MEIN YEH KYA MAAJRA HAI

KYA USKO KAHEN JO KASMON KO BHOOLE
APNO SE KARKE JAFA, GAIRON KI BAAHON MEIN JHOOLE
NAZAR MEIN BASA KE NAZAR PHER LENA
YEH KAISI MOHABBAT YEH KAISI WAFA HAI

JO BHARTA NAHIN WOH ZAKHM DIYA HAI
MUJHKO NAHIN PYAR KO, BADNAAM TUNE KIYA HAI
JISE MAINE POOJA MASEEHA BANA KE
NA THA YEH PATA PATTHARO KA BANA HAi…
MILE DOST JISKO YAHAN TERE JAISA
USE DUSHMANON KI ZAROORAT HI KYA HAI
MASOOM CHEHRA …

Friday, November 03, 2006

aanchal ki hawa


Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein Sula Dey Mujh Ko
Jiss Trah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein
Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Dey Mujh Ko
Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula Dey Mujh Ko
Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko
Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar JAoun Kahein
Main Houn Saktey Mein Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko
Dekh Main Ho Gya Houn Badnaam Kitboun Ki Trah
Meri Tashheer Na Kar Ab To Jala Dey Mujh Ko
Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata HAi
Aisy Naraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko
Aur Kuch Nahein Manga Meray MAlik Tujh Sey
Us Ki Galiyoun Ki Khak Bana Dey Mujh Ko
Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nighal Jata HAi
Main Bhi Is Ishq Mein Aya Houn,Duaa De Mujh Ko
Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
Koi Kamzore Sa Lamha Houn,Bhula De Mujh Ko