Khamosh the hum to magroor samaj liya ,
chup hai hum to majbur samaj liya ,
yahi aapki galti hai ke
hum karib the aur dur samaj liya
Aaj fir tum nazar nahi aaye ,
fir tamanna ke ful murzaye ,
jane kin galiyo me kho gaye ho tum ,
hum to police station se pagal khane tak dhundh aaye
Khud ki mohhabat fanah kon karenga ,
sab nek banenge to gunah kon karenga ,
aye khuda mere bewafa dost ko salamat rakhana ,
warna meri maut ki dua kon karenga
Dil armano se houseful hai ,
poore honge ya nahi yeh doutfull hai ,
is duniya me har cheez wonderfull hai ,
per zindgi aap jaise logo se hi beauty full hai
Mere dil ka dard kisne dekha hai ,
hame to bas khuda ne hi tadapte dekha hai ,
hum tanhai me bethake rote he ,
par logo ne hame her woqt haste hue dekha hai ,
Bikte hai gum husn ke bazaar ,
me lakho dard chipte hai ek chote se inkar me ,
ho jao ager jamane se khafa ,
to swagat hai hamari dosti ke darbar me
Tanha rehna to seek liya hamne ,
par khush na kabhi reh payenge ,
teri duri to phir bhi she leta hai yeh dil ,
par teri dosti ke bin na jee payenge
Khamosh rehne lage ho ,
intzar kiska karne lage ho ,
yakinan kisise ho gayi hai mohhabat,
tabhi bina baat ke hi muskurane lage ho
Hawa me taas ka ghar nahi banata ,
rone se bigda muqadder nahi banta ,
duniya jitney ka hausla rakho yaro ,
ek jeet ya har se koi sikander aur fakir nahi banta
Dekhate hai aaj us rah ki virania ,
yaro ke sang kati jahan kitni tanhaiya ,
guzara who daur bichad gaye dost ,
sath reh gayi to bas un lamho ki kahaniya
Lafz aap do geet hum banayenge ,
manzil aap pao rasta hum banayenge ,
khush aap raho khusiya hum lutayenge ,
aap bas dost bane raho dosti hum dil se nibhayenge
Roz kisi ka intzar hota hai ,
roz ye dil bekrar hota hai
kaash ke koi samajh pata ki
chup rehne walon ko bhi kisi se pyar hota hai
Aasma ke tare aksar poochte hai humse ,
kya tumhe aaj bhi intzar hai uske laut ane ka ,
or ye dil muskara ke kehta hai ,
mujhe to ab tak yakin nahi hota unke chale jane ka
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment