Sunday, September 03, 2006

hay ye mohabbat

Khwaab rehte the jo kabhi palkoN pe,
Moti bankar aankhoN se jhhaR gaye.
Daav par hote hain dil o jaan yahaan,
Ulfat ke ye saude mehenge paR gaye.
Dhundhle raaste, manzil bhi anjaani si..
Rukte kadam phir aage baR gaye.

Suna hai asar hota hai baaton mein.
Aap bhi bhool jaoge do-chaar mulakaton mein.
Lekin humse bachkar kahan jaoge.
Aapki dosti ki lakeer hai mere haton me

Izaajat aap de, toe tarif mei aapki, kuch hum farmaye,Mahobbat aap de,
toe ush dil ke, thoda karib hum aaye,
Aapke khatim banke aapke har farman ko apnaye,
Sikayat gar aap kare, toe dil ki dhadkan,
kanhi tham na jaye...Na jeet hui,
na haari baazi humne..Kabhi khudse,
kabhi kismat se laR gaye

Koi dikha ke roye koi chhupa ke roye
hame rulaane waale hame rula ke roye
marne ka mazaa to tab hai yaaro
jab kaatil bhi khud janaaze pe hamare roye

Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey
Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey
Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey

Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai
Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon
Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish hai
Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon

Uski Ankhon Ki Deewani Hoon,
Uski Muskaan Ki Mein Shamma Hoon,
Har Pal Mujhko Itna Satata Hai,
Phir Bhi Dil Aur Jaan Se Mein Uski Ashqi Hoon

Vo saaz nahi jisme sargam nahi,
vo jawani nahi jisme humdum nahi,
O sapno mein khushi ko dhoonde wale,
vo zindagi nahi jisme gam nahi

Na jaane tum pe itna yakin kyon hai?
Tera khayal bhi itna haseen kyon hai?
Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai;
to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai

Jisne na ki mohabbat woh jazbaton ko kya jaane...
Jo na ho jazbaat to shayari ka sabab kya jaane...
Shayari aksar haal-e-dil bayan karti hai...
Do char tukde jod ke tukbandi karne wala kya jaane..."

Ye jo ladkiyon ke gaal hote hai,
ladko ko phasane vale jaal hoote hai,
choose leti hai khoon jigar ka,
tabi to hont unke laal hote hai.

No comments: