Sunday, September 03, 2006

husn ki shayari

fir aake chale jaana, ik baar chale aao
surat to dikha jaao, ik baar chale aao
tumko mere geeton ka sangeet bulata hai
kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao
jo tum bulaayeN fir tum shauk se mat aana
kis baat pe roothe ho itna to bata jaao
kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko
ab jaan pe ban aayi lillah chale aao

duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahi
ik dilruba hai dil meiN jo gooroN se kam nahiN
tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan
hojaane wafa ho aur mohaabat ki shaan
hojalwe tumhare husn ke taaroN se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
bhoole se mushkuraaO to moti baras pa
Depalke utha ke dekho to kaliyaan bhi has paDe
khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

ye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab
kya karoon taarif, teri har adaa hai laajawab
kyoon na ye dil tumko chaahe, husn se bhi tum ho haseen
paaOn padte hain jahan pe, phool khil jaate hain wahin
jaan le lega hamaari ik na ik din ye sab
aabye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab
ruk gaye saawan ke baadal, zulf jab chehre pe paDi ho
dekh le jo unko shaayad, bhool jaaye wo shaayari
sang-e-marmar ka badan hai, ya kisi shaayar ka khwaab

No comments: