Wednesday, September 13, 2006

pagal dil

Khamosh the hum to magroor samaj liya ,
chup hai hum to majbur samaj liya ,
yahi aapki galti hai ke
hum karib the aur dur samaj liya

Aaj fir tum nazar nahi aaye ,
fir tamanna ke ful murzaye ,
jane kin galiyo me kho gaye ho tum ,
hum to police station se pagal khane tak dhundh aaye

Khud ki mohhabat fanah kon karenga ,
sab nek banenge to gunah kon karenga ,
aye khuda mere bewafa dost ko salamat rakhana ,
warna meri maut ki dua kon karenga

Dil armano se houseful hai ,
poore honge ya nahi yeh doutfull hai ,
is duniya me har cheez wonderfull hai ,
per zindgi aap jaise logo se hi beauty full hai

Mere dil ka dard kisne dekha hai ,
hame to bas khuda ne hi tadapte dekha hai ,
hum tanhai me bethake rote he ,
par logo ne hame her woqt haste hue dekha hai ,

Bikte hai gum husn ke bazaar ,
me lakho dard chipte hai ek chote se inkar me ,
ho jao ager jamane se khafa ,
to swagat hai hamari dosti ke darbar me

Tanha rehna to seek liya hamne ,
par khush na kabhi reh payenge ,
teri duri to phir bhi she leta hai yeh dil ,
par teri dosti ke bin na jee payenge

Khamosh rehne lage ho ,
intzar kiska karne lage ho ,
yakinan kisise ho gayi hai mohhabat,
tabhi bina baat ke hi muskurane lage ho

Hawa me taas ka ghar nahi banata ,
rone se bigda muqadder nahi banta ,
duniya jitney ka hausla rakho yaro ,
ek jeet ya har se koi sikander aur fakir nahi banta

Dekhate hai aaj us rah ki virania ,
yaro ke sang kati jahan kitni tanhaiya ,
guzara who daur bichad gaye dost ,
sath reh gayi to bas un lamho ki kahaniya

Lafz aap do geet hum banayenge ,
manzil aap pao rasta hum banayenge ,
khush aap raho khusiya hum lutayenge ,
aap bas dost bane raho dosti hum dil se nibhayenge

Roz kisi ka intzar hota hai ,
roz ye dil bekrar hota hai
kaash ke koi samajh pata ki
chup rehne walon ko bhi kisi se pyar hota hai

Aasma ke tare aksar poochte hai humse ,
kya tumhe aaj bhi intzar hai uske laut ane ka ,
or ye dil muskara ke kehta hai ,
mujhe to ab tak yakin nahi hota unke chale jane ka

Sunday, September 03, 2006

tanhaai

Dosti nazaro se ho to ouse kudrat kehte hi,
Sitaron se ho to ouse jannat kehte hi,
Husn se to ouse mohabbat kehte hi,
aur aap se ho to ouse Kismat kehte hi.

Ea sarab jo hai sab hasino ke naam,
Nehito kaisey ban payega ek aisi sham,
Us aisi sham mey tum na rahogey,
To kaisey dengey us sham ko koi anjaam .......

Tanhayi to aur ek tanhayio ko dost banatey hai,
Dost jo dosti ki kasam nibhatey hai,
Eh dost tu mujhe chor na jana
Hum to apna sarey gham tujpey utaar detey hai

hay ye mohabbat

Khwaab rehte the jo kabhi palkoN pe,
Moti bankar aankhoN se jhhaR gaye.
Daav par hote hain dil o jaan yahaan,
Ulfat ke ye saude mehenge paR gaye.
Dhundhle raaste, manzil bhi anjaani si..
Rukte kadam phir aage baR gaye.

Suna hai asar hota hai baaton mein.
Aap bhi bhool jaoge do-chaar mulakaton mein.
Lekin humse bachkar kahan jaoge.
Aapki dosti ki lakeer hai mere haton me

Izaajat aap de, toe tarif mei aapki, kuch hum farmaye,Mahobbat aap de,
toe ush dil ke, thoda karib hum aaye,
Aapke khatim banke aapke har farman ko apnaye,
Sikayat gar aap kare, toe dil ki dhadkan,
kanhi tham na jaye...Na jeet hui,
na haari baazi humne..Kabhi khudse,
kabhi kismat se laR gaye

Koi dikha ke roye koi chhupa ke roye
hame rulaane waale hame rula ke roye
marne ka mazaa to tab hai yaaro
jab kaatil bhi khud janaaze pe hamare roye

Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey
Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey
Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey

Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai
Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon
Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish hai
Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon

Uski Ankhon Ki Deewani Hoon,
Uski Muskaan Ki Mein Shamma Hoon,
Har Pal Mujhko Itna Satata Hai,
Phir Bhi Dil Aur Jaan Se Mein Uski Ashqi Hoon

Vo saaz nahi jisme sargam nahi,
vo jawani nahi jisme humdum nahi,
O sapno mein khushi ko dhoonde wale,
vo zindagi nahi jisme gam nahi

Na jaane tum pe itna yakin kyon hai?
Tera khayal bhi itna haseen kyon hai?
Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai;
to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai

Jisne na ki mohabbat woh jazbaton ko kya jaane...
Jo na ho jazbaat to shayari ka sabab kya jaane...
Shayari aksar haal-e-dil bayan karti hai...
Do char tukde jod ke tukbandi karne wala kya jaane..."

Ye jo ladkiyon ke gaal hote hai,
ladko ko phasane vale jaal hoote hai,
choose leti hai khoon jigar ka,
tabi to hont unke laal hote hai.

husn ki shayari

fir aake chale jaana, ik baar chale aao
surat to dikha jaao, ik baar chale aao
tumko mere geeton ka sangeet bulata hai
kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao
jo tum bulaayeN fir tum shauk se mat aana
kis baat pe roothe ho itna to bata jaao
kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko
ab jaan pe ban aayi lillah chale aao

duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahi
ik dilruba hai dil meiN jo gooroN se kam nahiN
tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan
hojaane wafa ho aur mohaabat ki shaan
hojalwe tumhare husn ke taaroN se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
bhoole se mushkuraaO to moti baras pa
Depalke utha ke dekho to kaliyaan bhi has paDe
khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN

ye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab
kya karoon taarif, teri har adaa hai laajawab
kyoon na ye dil tumko chaahe, husn se bhi tum ho haseen
paaOn padte hain jahan pe, phool khil jaate hain wahin
jaan le lega hamaari ik na ik din ye sab
aabye tera naazuk badan hai, ya koi mehka gulaab
ruk gaye saawan ke baadal, zulf jab chehre pe paDi ho
dekh le jo unko shaayad, bhool jaaye wo shaayari
sang-e-marmar ka badan hai, ya kisi shaayar ka khwaab

saza dene wale

Saza dene wale raza puchte hai....
Jeene ki hum se wajah puchte hai....
Dete hai khud hi zeher hume....
Aur aakar fir kitna hua hai asar puchte hai

Kissi ke waade par zindagi tabah kar baithe....
Diwangi me ye kaisa gunah kar baithe....
Ek CHAND ki aarzoo ke liye....
Hum apni hasin raaton ko `FANAAH` kar baithe.... *

Wo dhundte rahe hume Dagar-Dagar. ...
Shayad unhe humari talash thi....
Par afsoos jis kabar par the unke kadam....
Ussi me humari laash thiv

Apni Dhadkano ki aawaz suni hai maine....
Apni aankhon se koi baat kahi hai maine....
Bas ek didaar ke liye khud ko sambhale baithe hai....
Naa jaane ishq me kaun si raah chuni hai maine.

Koi rok naa paayi jise lambi dagar bhi....
Ab thaka deta usse zara sa safar bhi....

Mehfil na sahi tanhai to milti hai....
Milna na sahi judaii to milti hai....
Kaun kehta hai pyaar me kuch nahi milta....
Wafa na sahi be-wafaii to milti hai

Friday, September 01, 2006

dard aur gum

JAB AKELE HOTE HAIN, AAPKO YAAD KAR LETE HAIN,
JAB AAPKO YAAD KARTE HAIN, TO THODA RO LETE HAIN,
JAB THODA ROTE HAIN TO AANKHO KO BAND KAR LETE HAIN,
JAB AANKHO KO BAND KARTE HAIN TO AAPKO PAA LETE HAIN

Dard aur gam ka apno se paya sila,
Bewafai gale se lagate rahe...
Chahat se siharta raha tanbadan,
Hum akele me aansu bahate rahe....

wo saamne aay

Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
Dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa
Aana ho to aa jao ruswayee nahi ho geeDekhe ga
nahi koi palkon main chupa loon gaa
Jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
Her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa
Weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
Yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa
Manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
Main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa
Naraaz agar wo hain mere nasheman se,
Main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa
Kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
Baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa