Tuesday, February 06, 2007
mohabbat hi jo na samjhe
lo chal diye vo ham ko tasalli diye baGhair
ek chaNd chhup gaya hai ujala kiye baghair
unse bichhaD ke hamko tamanna hai maut ki
aati nahin hai maut bhi lekin jiye baghair
hay, vaqt-e-ishq ab to na le imtihan-e-Gam
ham ro rahe hain naam kisi ka liye baghair
maNge se mil saki na hamien to kabhi Kushi
paye hain lakh ranj tamanna kiye baghair
ye soch kar k gham k kharidar a gaye...
hum khawab bechnay sar-e-bazar a gaye....
awaz day k chup gai har baar zindagi....
hum aisay sada dil thay k har bar a gaye...
mohabbat hi na jo samajhe, vo Zaalim pyaar kyaa jaane
nikalti dil ke taaron se, jo hai jhankaar kyaa jaane
use to qatl karnaa aur tarpaanaa hi aata hai
galaa kiskaa kaTaa kiyuN kar kaTaa talvaar kyaa jaane
davaa se faaiydaa hogaa k hoga zehar-e-qaatil se
maraz ki kiya davaa hai yeh koi beemaar kiya jaane
karo fariyaad, sar Takraavo apani jaan de Daalo
taraptay dil ki haalat husn ki divaar kyaa jaane
bheege hue lamhoN ka ehsaas chura le ja
daulat ye mere dil kee chupke se uTHa le ja
tu ham se KHafa kyooN hai, tu ham se juda kyooN hai
ik pal ke liye aaja, sadiyoN ka maza le ja
ye rasm nibhaane meiN tera hee bhala hoga
maiN phool hooN tu meree KHushboo hee uDa le ja
aaNsoo nahee CHalkeN to rone ka maza kya hai
kar aur sitam mujh pe, ya apnee saza le ja
kya khabar thee ke maiN is darja badal jaaooNga
tujhko kho dooNga, tere GHam se sambhal jaaooNga
ajnabee banke milooNga maiN tujhe mehfil meiN
tune CHedee bhee to maiN baat badal jaaooNga
DhooNd paaye na jahaaN yaad bhee teree mujhko
aise jaNgal meiN kisee roz nikal jaaooNga
zid meiN aaye hue maasoom se bache ki tarah
khud hi kashtee ko dibone pe machal jaaooNga
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment