Tuesday, February 06, 2007
poochon na humen
poochho na hamen ham unake liye kyaa kyaa nazaraane laaye hain
dene ko mubaarakabaad unhen aaNkhon men ye aaNsoo aaye hain
jivan ki suhaani raahon men unko ek jivan meet milaa
aur haNsati hui is mehafil se hamako birahaa kaa geet milaa
kaliyon ki tarah musakaaye the ham phoolon ki tarah murajhaaye hain
poochho na hamen ham unake liye kyaa kyaa nazaraane laaye hain
toofaan hazaaron saath liye jivan ki dhaaraa behati hai
aur dekh ke uski maujon ko taqadir yah haNsakar kehati hai
saahil ke liye jo taDape the voh aaj bhaNvar mein aaye hain
poochho na hamen ham unake liye kyaa kyaa nazaraane laaye hain
mohabbat hi jo na samjhe
lo chal diye vo ham ko tasalli diye baGhair
ek chaNd chhup gaya hai ujala kiye baghair
unse bichhaD ke hamko tamanna hai maut ki
aati nahin hai maut bhi lekin jiye baghair
hay, vaqt-e-ishq ab to na le imtihan-e-Gam
ham ro rahe hain naam kisi ka liye baghair
maNge se mil saki na hamien to kabhi Kushi
paye hain lakh ranj tamanna kiye baghair
ye soch kar k gham k kharidar a gaye...
hum khawab bechnay sar-e-bazar a gaye....
awaz day k chup gai har baar zindagi....
hum aisay sada dil thay k har bar a gaye...
mohabbat hi na jo samajhe, vo Zaalim pyaar kyaa jaane
nikalti dil ke taaron se, jo hai jhankaar kyaa jaane
use to qatl karnaa aur tarpaanaa hi aata hai
galaa kiskaa kaTaa kiyuN kar kaTaa talvaar kyaa jaane
davaa se faaiydaa hogaa k hoga zehar-e-qaatil se
maraz ki kiya davaa hai yeh koi beemaar kiya jaane
karo fariyaad, sar Takraavo apani jaan de Daalo
taraptay dil ki haalat husn ki divaar kyaa jaane
bheege hue lamhoN ka ehsaas chura le ja
daulat ye mere dil kee chupke se uTHa le ja
tu ham se KHafa kyooN hai, tu ham se juda kyooN hai
ik pal ke liye aaja, sadiyoN ka maza le ja
ye rasm nibhaane meiN tera hee bhala hoga
maiN phool hooN tu meree KHushboo hee uDa le ja
aaNsoo nahee CHalkeN to rone ka maza kya hai
kar aur sitam mujh pe, ya apnee saza le ja
kya khabar thee ke maiN is darja badal jaaooNga
tujhko kho dooNga, tere GHam se sambhal jaaooNga
ajnabee banke milooNga maiN tujhe mehfil meiN
tune CHedee bhee to maiN baat badal jaaooNga
DhooNd paaye na jahaaN yaad bhee teree mujhko
aise jaNgal meiN kisee roz nikal jaaooNga
zid meiN aaye hue maasoom se bache ki tarah
khud hi kashtee ko dibone pe machal jaaooNga
jaan_ye_wafa
apane na ho sake jo dil kaa qaraar ho kar
aaNkhon mein bas gaye hain rang-e-bahaar ho kar
pahale na ye Khabar thi hai maut dil kaa aanaa
jo phool khil rahaa thaa khaTakaa vo Khaar ho kar
ham dil mein dafn kar ke sab murdaa hasaraton ko
Kaamosh jal rahe hain shamm-e-mazaar ho kar
ham apane dil kaa fasaanaa unhen sunaa na sake
lagi hai aaG jo dil mein use bujhaa na sake
teri talaash mein dar-dar ki Thokaren khaayin
meri wafaa ke qadam phir bhi Dagamagaa na sake
zaraa to soch ke us dil kaa haal kyaa hogaa jo door
reh na sake tere paas aa na sake
ham unko yaad na karate pe dil kaa kyaa kijiye hazaar bhoolanaa chaahaa magar bhulaa na sake
badanaam na ho jaaye muhabbat ka fasaanaa
ai dard bhare aaNsuo aaNkhon mein na aanaa
duniya mein muhabbat ki yehi reet hai ai dil jal jaanaa
magar honTon pe fariyaad na laanaa
kah de naa kahin aaNkh mere dil ki kahaani
ai dil teri dhaDakan kahin sun le na zamaanaa
ai jaan-e-muhabbat yehi bas meri duaa hai
ho jaaye tere saath meri jaaN bhi ravaana
taras naa jaao kahin manzil-e-wafaa ke liye
kisi se pyaar na kar baiThanaa Khudaa ke liye
Khudaa se maaNg ke tujh ko na jab tujhe paayaa
uThe na haath mere phir kabhi duaa ke liye
kisi kaa tohafaa kabhi rad nahin kiyaa jaataa
wo dukh jo us ne diye main ne muskuraa ke liye '
qateel' jab bhi lage gi kahin adaalat-e-ishq
bas ek tum hi chune jaao ge sazaa ke liye
Subscribe to:
Posts (Atom)