Friday, February 29, 2008

bas itni si inayat


Ankho se moti bikhrenge ruk na payenge,
Teri yaadon ke sahare hum tujh tak aa jayenge.

Umar gujar bhee gayi to kya
Dhadkan ke bina bhee tujh se ulfat nibhayenge..

Aisa nahi ke hamare dil ko kisi se pyar na hua
pyar to hua magar pyar ka kabhi izhaar na hua,
do gaz zameen to hume bhi naseeb ho jati magar
maut se hi hamara ab tak koi karaar na hua

hamne bhi to kisi ko dil me basaa rakha tha,
yaar ki yaadon ka bichhauna bichha rakha tha
ab kaante usme nikal aaye hain to kya keeje
marham to hamne bhi jakhmo pe laga rakha tha

Na Neened Ati Hai Na Chain Ata Hai
Koyee To Bataye Aisa Kyu Hota Hai
Chalte Chalte Kadam Ruk Jate Hai
Jaise Koyee Awaaz De Raha Hota Hai.

Nahi laite hain uska naam sar'e aam is darr se,
Kahin naam uska badnaam na ho jaye,
Sochte hain aksar darte hain tanhai mien,
Uske dil mie kisi aur ka mukam na ho jaye....


Kyon rakhu main apni kalam mein syahi ?
Jab koi "Armaan" dil mein machalta hi nahi .
Na jane kyon sabhi shak karte hain mujh par .
Jab koi sukha phool meri kitab mein milta hi nahi .
Kashish to bahut thi mere pyar mein,
Magar kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi.
Agar "Khuda" mile to us se apna pyar mangunga,
Par suna hai ke vo marne se pahle milta hi nahi........

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye
Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye
Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye
Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye
In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye
Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye
Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye
Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke deewanee hain humey pyaar kijiye

MERI AANKHON KE SAMANDER


khud hi raste tabahi k nikale humne,
kar diya dil kisi patthar k hawale humne,
ai logo hume mat sikhao kya hoti hai mohabbat ,
khud k hi ghar jalakar dekhe hai ujale humne!

JANAZA HUMNE APNA NIKALA PYAAR KA SEHRA BANDHKAR,
LOGO NE PHOOL CHADHA DIYA MARE HUE KI LAASH MANKAR,
HUMNE USE GALE LAGAYA TERI MOHOBBAT KI SAZA MANKAR...
AUR KABR MEIN SO GAYE ISE PYAAR KI WAFA MANKAR....


gumsum ho jaate hai baadal garzate hai
hum roj unki ek ek jhalak ko taraste hai
wo kisi aur ke mahboob hai, log kahte hai
lahoo se naam likh hum muhhbat parakhte hai


hai kis rishte se wo humare ye zamaana kya jaan payega...
khuda bhi humara tumhara naam badlon pe likhjayega...
yun zaya naa kar zamaane ki baton mein lahoo ko...
har bund tera is mohobbat me inqulaab layegaa..

Hokar juda tujhse na rahe sakenge hum
Tujhse ye baat bhi na kahe sakenge hum
Tujhe bhi maar denge khud bhi mar jaayenge
Gair ki baahon mai tujhe na sahe sakenge hum


Aaj khamosh ho to aankhe bolne lagi hai tumhari...
faslon ke darmiyan guzar na jaye jindagi hamari....
in bahon ki madhoshiyon ke saye se mat ghabrao...
ek baar phir apna kehdo ek baar kareeb to aao...

Bhul jaate hai hum apne har ik baat ko
Nahi bhule par tumhare saath ko
kaise bhula du dil ki dhadkan ko
Kaise judaa karu saanson se jazbaat ko


In faasloN ko tanhayii ka naam na de dena
mere wafaoN ko kahiN koi iljaam na de dena
Be-basi na ho jaye kahiN in zulmi lafzoN se ab
mere mehboob ko kahiN Dard ka jaam na de dena.

Tere Dar par jhuka hai sir jaan bhi tumhari hai
tum uthao lo zara khanzar jhuki gardan hamari hai


Meri Ankhon Ke Samandar main Jalan kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tadapne Ki LaGan Kaisi Hai
Ab Kisi Chaat Pe Chiraghon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Main Guthan Kaisi Hai
Baraf Ke Roop Main dhaal Jain Ge Sare Rishte
Mujh se Poocho Ke Muhabbat Main Agan kaisi Hai
Main Tere Wisal Ki Khuwahish Ko na Marne Doon Ga
Musam-e-Hijar Ke lehje Main Takan Kaisi Hai
Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kanton Ki RiDa
Us Ki Majboor Si Ankhon Main Kiran Kaisi hai
Mujhe Masoom si Pagal Ladki Pe Taras aata hai
us se Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai