Thursday, June 29, 2006

wo aankh


Woh ankhh baddi pyaree thi.
Joh hum ne mare thi,
Woh sandal baadi bharee thi.
joh ussne maari thi


Wo ruth kar kahti hai humse,"
Tumhara to mel jol mehanga ho gayaa hai.."
Us pagli ko kaun samjhaye,
Array Petrol mehangaa ho gayaa hai.

Manta hoon janeman, Tere bina nahi jina hai
Magar Card ki kya zaroorat hai ?
Tax cut gaya hai, march ka mahina hai.

Kuch to meri halat ka khayaal karo !!
Meri byke pe to hamesha ghoomti ho
Kabhi to apne baap ki CAR ka bhi istemal karo...

kyon rulaate ho humen


Kyun rulaate ho humien ?Kyun bhool jaate ho humien?
Tere hee sahaare to jee rahe hain hum..
To phir kyun akela chod jaate ho humien?
Har baat ko chupana ataa hai tumhein,
Roothon ko manana ataa hai humien.
Roothe ho tum najaane kis baat par ...
To phir wo baat kyun nahi bataate ho humien?
Jaan jaati hai hamari ,Jab yaad aati hai tumhari.
Tum to humien bhula dete ho...
To phir kyun yaad aate ho humien?
Hum jeene k bahaane marte rahenge,
Pyaar hum tumse karte rahenge.
Pyaar to tum bhi karte ho..
To phir kyun yun sataate ho humien

tere khowaab


Is khalis me main hu ki koi aaye to sahi
Surat apni bhi mujhe dikhaye to sahi
Dar b dar bhatkata raha hu tere intjaar me
Kya hoti hai muhbat koi mujhe bataye to sahi

Wo lamhe hame yaad na rahe to kya hoga
Tere siya kuch bhi aabad na rahe to kya hoga
Aise hai ye dil ki majburiya kaise batooIn
saanso me ab tera naam na rahe to kya hoga

Ek phool bhi nahe mere paas tujhe dene ko
Or log chaman uthaye phir rahe hai haatho me
Ye zindagi bhi kaisi zindagi hai benaam
Maut bhi nahi aai tum kyu bas gai ho saanso me

Raat ko neend aane se pahle
Tere khawab me jane se pahle
Tere yado ko sabhala hai maine
Tere bichad jane se pahle

Raato ko chand khwab liye aankho me
So jaty hai ham bhi unki baho me
Gujar jati hai raat meri chand saanso me
Jamane se bacha kar raakhna mujhe nigaho me

Wednesday, June 28, 2006

na lagaao pahre


Woh kuch is tarah katraanay lagay Ki guzray huay din afsaanay lagay
Kal tak to thay jo izhaar-e-muhabbat Wahi aaj hawas kay bahaanay lagay
Na lagaao pehray is khusbu par Jiskay haasil maiN mujhay zamaanay lagay
Pighal jaatay thay jo baahon main kabhi Ab faaslay itnay banaanay lagay
Guzishta shub ka kar kay khyaal Shrmaa kay aanNkh churana chahay
Poocha hai to keh di dil ki baat Ab na kehna tujhay rulaanay lagay

wo door hain


voh door hai aur mujh tak awaz aa rahi hai
khyalo ki tarah mere daman pe chha rahi hai
ab bhi us mithi lay me voh gunguna raha hai
ab bhi voh rafta rafta naghma suna raha hai

chaho to apne sine me dil ki tarah chhupa lo
chaho to apni aankho me sapno ki tarah basa lo
main to tumhari amanat hun hamesha se chaho to
apni muhhabat ki doli me mujhe dulhan sa saja lo.

Sham suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parwane ko jalna sikhati hai,
Girne wale ko hoti to hai takleef,
Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.

fir wahi fasaana


fir wahi fasaana afsaana sunaati ho,
dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho,
beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko,
to Fir kyon nahi pyaar jataati ho.

AshkoN ko humne kayi baar roka,
phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi,
Bharosa to tha hameiN apne aap par magar,
unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.

tujhse zindagi bhar pyar karne ka armaan hai mera,
mujhe bhool mat jaana, ki main ban jaun itihaas tumhara

tere ek pal ka sath jannat hai meri,
mere haaton me tera haath khwahish hai meri,
tu rahe sanam is dil me dhadkan ban ke,
tu jo ruthe to ho kyamat meri


Dost toh rukhsat ho jate hai,
Par kuch yadon ke daayre bann jate hai,
Bhul jana toh insane ki fitrat hai,
Par kuch ache dost yaado me bas jate hai…

Zindagi zakhmo se bhari hai…
Waqt ko marham banana seekh lo…
Haarna toh hai hi maut ke saamne…
Filhal Zindagi se Jeetna seekh lo

Yaado ke iss bhavar me ek pal mera ho,
Phulon ki is chaman me ek chaman mera ho.
Yeh khuda kar rehmat itni, ke mera Dost yaad kare Dosto ko,
toh pehla naam mera ho…

SMS har pal karu toh shararat hogi,
Har din karu toh pareshani hogi,
Kabhi bhi nahi karu toh kanjusi hogi,
par Dil se karu toh shayad aapko khushi hogi

Ek hai asman ka tara,
Dusra hai samundar ka kinara,
bewafa hai zamana sara,
nasib hai achcha hamara,
joh mila dost aap jiasa pyara…

humara kya hoga


Yeh Kaliya Bhi Khil Uththi,
Baharon Ne Aane Main Der Kardi.
Aaj Woh Bhi Hamare Saath Hote,
Humne Izhar Karne Main Der Kardi

Itna Satana Acha Nahin Hota,
Maan Jao Ke Intzaar Acha Nahin Hota,
Woh Phool Hi Tho The jinko Hum Liye Khade Hai.
Ab Tho Woh Bhi Murja Se Gaye Hai,
Aapke Intzaar Main Woh Bhikar Se Gaye Hai.
Phool Toh Phir Bhi Khil Jayenge,
Humara Kya Hoga Jo Aapke,
Intzaar Main Khade Hain.

Khusboo ki poshak pehn karkaun gali mein aya hai ,
kaisa pehgham sath laya hai,
khidaki khaul kar bahair dekho
Mausam mere dil ki batein tum sey kehney aya hai

Meri Dil Ki Har Ek Dhadkan,
Tere Dil Ne Churaali hai,
Kiya Hai Humne Toh Izhaar,
Ke Ab Baari Tumhari Hai,
Jo Tum Keh Do Yeh Bas Ek Baar,
Ke Meri Dhadkan Tumhari Hai,
Dikha Denge Mohabbat,
Apni Duniya Se Nirali Hai.

Jab Aati Hai Yaad Tumhari,
Tab Main Gun Gunathi Hoon.
Kahin Aansu Na Aa Jaaye,
Isliye Muskuraati Hoon.


Aaj kuch kami hai tere bagair,
na rang hai na roshni hai tere bagair,
waqt apni raftar se chal raha hai,
bas dhadkan thami hai tere bagair

dil main chupi baat


Dekha hai jab se tumko humney
Aur kuch nazar aata nahin
Kya karein tumharey sivaye
Dil ko koi bhata nahin

Mat poocho kaise beet-tey hain woh pal
Jab hota nahin deedar aapka
Dil mein hi ghar bana lijiye
Naa karna padey intezaar aapka


dil mein chupi baat ko ek baar jo pehchaan lete
lab jo na keh paye woh aankho se jaan lete
zuban humari himmat na kar payi,
lekin is dil ki dhadkan ko to kaash aap pehchaan lete

Humne diya tha usko dil ek bar
kiya tha us se pyar ka ikrar
phir kiya usne humse inkar
ho gaya tha unko kisi auur se pyaar
humne kiya unke faisle se etbaar
Dil humara tha ,haath unke they
khoon humara tha,khanjer unke they
phir bhi manzoor hume har zulm unka tha
kyonki shayad phir bhi pyaar humara unke liye zinda tha .!!


kambhakt kaun chahta hai wo ikraar kare
ankhein jhuka bhi denge to hum kaise wishwas kare
uske ek jhoot se tabah ho gaye hain hum
shayad koi aur mile, isi ummeed me jee rahe hain hum.


Annkhon ka jhukna bhi shayad unka pyaar hain,
Ikrar ke pehle ek chota sa inkaar hain
.aise pyaar mein thodi haya toh hogi.
chote se safar ke baad manzil zarror jawa hogi.
kyon kisi auur ko doondhe hum ?
jab unko aankhon ki gehrai mein,
mit gaye humare saare gum.
aise jhoot ki tabahi abaad hone se behtaar hain,
unke paairo ke aahat ke intezar mein hum hain,
is intezaar mein poori zindagi nikal jaye woh bhi thodi si kaam hain.

tum door sahi


Andhere raston mein miloonga umeed ki kiran bankar
Thak kar baithogi to chaya doonga taruvar bankar
Akeli rah gayi kabhi to saath chloonga saya bankar..
Rishtey ko gar tum naam na do.rah loonga pass anjaan bankar
'

Ab to parchai se bhi ghabrane laga hoon..
Jane kyon tere pass bahut pass aane laga hoon..
Roka to bahut maine apne nadaan dil ko...
Ab to pairon ko bhi smajhane laga hoon...


Kya Hua gar woh mera apne dushmano mein shumar karte hain...
Main khush jankar ki kisi bahane se to mujhe yaad karte hain

Tumhari mushkurahat bolti hain ki mera hi khayal dil mein aaya hain
Yeh mera hi pyar hain to Jo tere hothon par hansi ban kar chaya hain

woh baat poochte hain main baat kya kahoon..
unpe hi fida hoon par unse kaise kahoon

Jab kabhi taqdeer tum par meharban hogi...
woh yahin soch kar bahut preshaan hogi
Ki gar tere dar par woh khud aa bhi jaye to ...
Kya tu bina makeup door kholne ko tyaar hogi

baat kisi ka bhi ho magar mujhe baat uski hi lagti hain..
pukaroon kisi aur ko to bhi awaaz usko hi lagti hain..
har chehre mein hain wo aur har hansi mein wo hi hansti hain..
mujhe dosh na do yaron woh mujhe acchi hi itni lagti hain..

tum door sahin par teri sanson ka ehsaas ab bhi meri sanson mein hain
Tu meri jndagi mein ab nahin par tu hi tu mere khayalon mein hain
Tumhe bhool jate hum magar tu mahfilon mein hain tanhayion mein hain
Tujh se gila ab kya karen tu hi sawalaon mein hain jawabon mein hain

Tuesday, June 27, 2006

tumko cahte huye


Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga
Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga
Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga
Pehchan to ik pal ki thi,mager sadiyon se jaan kar acha laga
Khaboon main yadoon main tum thay mager tum ko bhulana acha laga
Meri rooh ka ik hissa thay mager khud se juda karna acha laga
Meri zindagi ka sarmaya thay mager tum ko lutana acha laga
Meray armanon ka saawan thay mager tum ko barsana acha laga
Meri khushiyon ka jahan thay mager tum ko mitana acha laga
Khud ko bhool jana aur tum ko yaad karna acha laga
Sab khahishon ko mitana sirf tumhin pana acha laga
Logon k kehney main aana aur sab kuch bhulana bolo kissey acha laga
Yehi to rasm-e-duniya hai isay nibhana acha laga

chaha jo tumko

chaha jo tum ko maloom hoa hay pyar kia hota
intezar kia jo Tera tu maloom hoa intezar kia hota
hay Pehlay tu Tum say Doar janay say Yeh dil bhat Darta
hay Abb Maloom Hoa key Doar janay say pyar aur bartha hay

na poch kitna chaha hai tujhay zindagi k liay
hum to tujhay hi chord daingay teri khushi k liay

Monday, June 26, 2006

koi mujhe chahe


Koi mujhe chahay or mujhay pyar kare
Main kahin bhi jaon mera intzar kare
Mere hi waste kare ghar main charagan koi
Or mere hi waste dil ko beqarar kare
Koi to ho jo kar sake esa
Khezan ko mere leye mosamey bahar kare
Apne jazbon ko mujh tak pohanchane ke leye
Zuban se na sahi ankon se ezhar kare
Kuch bhi kare faqat itna
chahon Vo kahin bhi jaye bas mujhay pyar kare

Aap se mil kar hamin yeh zendagi achi lagi
Chand se chahre pe yeh sadgi achi lagi
Aa gaye khowabon main melne es karm ka sukreya
Mil gya dil ko sakon or nend bhi achi lagi
Aankhin thi dar pe lagi or hum thay muntazar
Aap jab mahfil main aaye vo ghari achi lagi
Aap ne muskura ke dekha jab meri tarf
Dil machalne laga har khusi achi lagi

tere pyar main


Tere pyar mey main madhosh raha
Mujhe behka hua badal na samajh
Maine bhi duniya dekhi hai
Ai yaar mujhe pagal na samajh
Mere dil ki lagi, ko na jaana koi
Mera dil kisi gham ka aadi hai
Meri jaan kisi ki is dil mey
Choti si ek samadhi haiEk gham ki badli chaai hai...
Tu apna usse aanchal na samajh
Tere gham mey mera gham shaamil hai
Yeh baat bhula dun main kaise
Main tere bina nahi jee sakta
Main tujhse chupa lun yeh kaise
Ek khwaab tha jo ke toot gaya...
Tu dil ki mere halchal toh samajh

raat ki tanhaai


raat ki tanhayon main awaz diya karte hai
chand or sitaron se tumhari baat kiya karte hai
mujhe nahi pata mere ghar wale kahte hai
hum raat main bhi tumhara naam liya karte hai

Yun to pyar karne waale tumai kam na milengay,
Mil jaingay hum jaise bohot ,,, per hum na milengay.

ye khwaab hi hai jo humen unka ehsaas dilaten hai.
sapno main sahi wo aankhon se pyar ki sharaab pilaten hai.
wo lambye baalon ka ulajhna,wo pyari si muskaan
.unke chahre ki wo shokhi,ye dil mera kurbaan.
wo laal libaaz main lipta hua husn kya kamaal tha.
jiski koi misaal nahi wo mera yaar bemisaal tha.

intzaar


Tera daman na Chhodege hum tere chahane wale hain
ullfat ki rah main khud ko mitane wale hain
Chahe jitane bhi kar le tu julmo sitam
Hum her Haal main Nubhane wale hain.

Yeh dosti meri nahi hamaari hai,
Isliye toh saab rishton si pyaari hai.
Zaroori nahi doston ka roz milna,
Tabhi toh sms ka silsila jaari hai!

Hum Raat Ki Tanhai Me Tumhe Awaz Diya Karte Hai
Aur Sitaron Se Apka Jikr Kiya Karte Hai
Naa Aao Khwabon Me Humare
Hum Bhoot Se Dara Karte Hai

Kabhi unki palko se unka izhaar hoga
Dil ke kisi kone mein unke hamare liye pyar hoga
Guzar rahi hai raat unki yaad mein
Kabhi unko hamara bhi intezaar hoga.

kuch lamhe


Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain

kuccha lamhe jo gujare humne unke saath....
to phir kabhi khudse baat na ho saki....
bewafa to yeh taqdeer nikli....
ke phir kabhi mulaqat na ho saki!!!!

Is se pehle ki dilo me nafrat jaage, aao ek shaam mohabbat me bita di jaye....
Karke kuch mohabbat ki baatein,
Is shaam ki masti badha di jaye.
Jaane Tanhaai Ham Se Kyaa Keh Rahi Hai
Dil Ki Gahraai Ham Se Kyaa Keh Rahi Hai
Ek Ek Pal Ke Saath Koi Baat Kijie
Ban Kar Rahegi Baat Koi Baat Kijiye

meri bewafaai


meri bewafai ka gila na karna
bewafa nahi majboor hu main
mere dil ki har dharkan mei hai tu
chahe tujhse dur hu main

din din hota hai
raat raat hoti hai
mohabbat tab hoti hai
jab light off hoti hai .......


Dard kaafi hai Bekhudi ke liye,
Maut zaruri hai zindagi ke liye,
Koun marta hai kisi ke liye,
Hum to zinda hai sirf aap ki dosti k liye,.......

umeedon ki manzil


Yeh jo haseeno k baal hote hai,
larkon ko phasane ke jaal hote hai,
jaane kitno k khun piye honge,
tabhi to inke hont laal hote hain

Aaj vo humse jannat mein takra gaye,
Aur humare dil se awaaz nikalii....Fiteh Mooh...Tusin Ethe vii aa gaye !!

Jaate hue kuch aisa kar ke jayo kaam
ki har galli se awaaz aaye..."ABBA JAAN"..." ABBA JAAN"

Umeedo ki manzil toot gayi,
aankho se ashqo ki dhara beh gayi,
arre tumahri kya izzat reh gayi,
jab class ki ladki bhaiya keh gayi

Sunday, June 25, 2006

Aaj jo gham hai woh nahin hota,
Aankh jo nam hai woh nahin hoti,
Har taraf khushi ka nazara hota,
Gar tumne dil se pukara hota,
Hum bhi kehte chahte hein tumhein,
Gar tumne hamein chaha hota.

Samajh ke tere dil ka haal phir bolun zubaan se mein kuch,
Meine bhi bahut chot khai hai mujhse mera haal na pooch

Tu baitha hai dil mein to hun mein,
Har saans hai teri par jiyun mein,
Tu haath phiraye to sovun mein,
Tujhe neend na aaye jo rovun mein,
Tu baitha hai dil mein to hun mein.......
Bin maange mila jo na sochun mein,
Tujhse mangta javun na rukun mein,
Tu saath na chhode chhodun mein,
Tu baitha hai dil mein to hun mein.......

Aaj bujh gaye hein ghar ghar mein diye sanskar ke,
Maa baap bhi kimat maangte hein bachon ko sambhal ke,
Sirf matlab se bante hein rishte bhi yahaan pyar ke,
Kaisi duniya hai jahaan jiya bhi jata hai doosron ko maarke

Kuch sunane ki chahat dil mein badhti gayi,
Hamare sunaane pe unki waah jo nikalti gayi

Naye saal ka naya pal naye palon ki nayi khushiyan,
Waqt to beet jaata hai par badalti nahin ye duniya.

Dil ke raaston aur soch ki galiyon se guzarte dekha,
Pyaar aur jazbaaton ko yahaan kuchalte dekha,
Zindagi ko mohabbat ka naam kaise de jahaan ,
Har shakhs ko hamne zindagi mein badalte dekha.

Tere bina bhi ye dil nahin manega,
Tujhse juda rahun ye dil nahin chahega,
Tere saath beete har pal ki kasam,
Ab aa jao varna mera janaza jayega

Kyun pyaar hai ye jooth jatate ho,
Mein tumse zyada pyaar karta hoon,
Har baar ye keh kar rooth jaate ho,
Bas itna hi pyaar hai tumhein mujhse,
Ki jabhi aate ho mujhe rula jaate ho.

dil ki bimaari


Tere ishq mein tadpenge isska koi gham nahin,
Pyaar ik tarfa ho to bhi kuch kam nahin,
Tere didar se chalti hein ye saanse meri,
Dil mein basi chahat par koi bas nahin.

Kyun sochke usi daayre mein khada patein hein khudko,
Jahaan bhi nazar jaye wahan pate hein sirf tumko,
Chahein bhi to nahin bhula sakte hum tumhein,
Tum chaho to bhi na yaad rakh sako humko

Yunhi baithe rehte hein hum jis aashiyaane mein,
Aaj milon ka safar hai usse nazarein milaane mein

Chehre pe layee muskaan aapki yaadein,
Har saans layee tufan aapki yaadein,
Dil yun hi to nahin dhadakta aise,
Har dhadkan mein samai aapki yaadein

Kya sher kya nazm kahun mein aakhir,
Teri saal girah ke nahin hai kaabil,
Teri taarif mein alfaaz bhi hein kum,
Tu khush rahe bas yahi chahte hein hum

Saare jahaan ka husn simat kar tujhme samaya,
Tera didar dilon mein tufan sa laya,
Teri chahat mein logon ne khudko deewana paya,
Kisiko na baksha tune sabpe pada tera saaya.

Har kisine iss dil ko di hai ye bekarari,
Mere jazbaton se khelne ki ab tumhari hai bari,
Tum bhi ye ehsaas dila hi dena mujko,
Kisi kaam nahin aati ye dil ki bimaari

aap jo kahen


Apne dard ko chhupana seekh liya,
Har baat par muskuraana seekh liya,
Aap jo kahein woh karte rehte hein,
Apne armaano ko dabana seekh liya,
Yakeen na ho to azmaan kar dekh bhi lo,
Hum to yahi kaheinge ki humne jeena seekh liya

Gham se bhare pyale mein khushi ki kuch boonde hein,
Ye bhi chhalak gayin to jeena mushkil hoga.
Iss nachiz se umeedein to bahut hein par,
Kitana khara utrengi aao dekhein milkar.
Aapne itna pyaar itna yakeen humpar jo hai kiya,
Koshish rahegi ki zindagi mein jalta rahe khushi ka diya.

bas ek ahsaan

BAS EK EHSAAN HUMPE SANAM KAR DO
SIRF EK NAZAR DEKHKAR REHEM KAR DO
PHIR AUR KUCH NA MAANG SAKENGE HUM TUMSE
US EK NAZAR SE HUMKO KHATAM KAR DO

MEINE TERE PYAAR MEIN ZINDAGI HAI KHOI
AUR TOO BEWAFAA, EK RAAT BHI NA ROI
MEINE TERI YAAD MEIN, NEENDEIN GAVAAYEE
AUR TOO BEWAFA, BEKHABAR HOKE SOYEE

AAKHON SE EK AASOO TAPKAA
DIL SE EK AAH UTHI
HOTON PE EK HASEE CHAA
YEELO, FIR EK NAYEE GAZAL BANI

HUM TANHAA HI JEETE AAYE HAI
TANHAA HI MAR JAAYENGE
DUNIYAA YAAD RAKHEGI
KUCH AISA KAR JAAYENGE

hum the jinke sahaare


Hum the jinke sahaare
Wo hue na hamaare Doobi
jab dil ki naiyya
Saamne the kinaare...

Reh jaoonga main to tanha mehfil mein
naa hoga koi saathi mera saahil pe
Naa koi tamanna is toote dil ki
mar gayi hai hasratein sab is dil ki...


TUM JO AA JAATE TO KAAM BAN JAATAA
KISSAA-E-GHUM TAMAAM HO JAATAA
DHANK DETE JO TUM DAAMAN APNA
KAFAN KA INTEZAAM HO JAATAA

khuda se kya maanga


Tum kiya jaano main khuda se kya maangta hoon ?
Tumhari salam-ti ki hamesha duaa mangta hoon
agar anjaane me ho jaaye koi tumse khata
to do mujhe uski saza ye maangta hoon
agar lag jaaye koi chot tumko ya ho jaao tum pareshaan
to mere haq me wo saari takleefe maangta hoon
aye khuda mere mehboob ko gham se door rakhna
din raat tumhaary saaray gham maangta hoon
tum ho hamesha kaamyaab tumhaari her khwaahish ho poori
buss ye chaahta hoon aur tumhari khushi maangta hoon

patthar bana diya


Pathar bana dia muje rone nahin diya
damaan bhi tere gham ne bighone nahin diya
tanhaiyan tumhara pata poochhti rahe
shaab bhar tumhari yaad ne sone nahin diya
ankhon me aakar beth gayi annsoon ki lehar
palkon pe koi khwaab pe rone nahin diya
dil ko tumhare naam ke ansoo aziz the
duniya ka dard dil me samone nahin diya
Nasir yoon uski yaad chali haath thaam ke
mele me is jahan ko khone nahin diya

thoda soch kar


Izaajat aap de, toe tarif mei aapki, kuch hum farmaye,
Mahobbat aap de, toe ush dil ke, thoda karib hum aaye,
Aapke khatim banke aapke har farman ko apnaye,
Sikayat gar aap kare, toe dil ki dhadkan, kanhi tham na jaye

Eei mehboob mere yeh julm na karI
nn nazaro kei tir sei dil pei vaar na kar
Yeh dil tumhei har pal duwaaye deta hei
Thoda soch kar tun ish dil par rahem kar

jab zindgi satati hai


Apne hotho par kuch nagme,
chupa kar hum bethe hei,
Dil ke arman, dil mein kanhi,
daba kar hum bethe hei

Jabh suraj dhalta hei, toe aashman ka rang badal jata hei;
Jabh kismat badalti hei, toe logo ka dhang badal jata hei.

Jabh jindagi sajati hei toe, dulhan si lagati hei,
Jabh yeh rang badalti hei toe, ek bewa si lagati hei,
Yeh be-raham toe kisi se bhi, vafa nahi karti hei,
Phir bhi sabhko yeah, mehbooba si lagti hei...

Logo ne dharati dekhi, amber dekha,
Mausam dekhe aur jivan bhi dekh liya;
Humari yeh najre aur kya dekhe,
Jisne aapka yeh hasin chehra dekh liya...

waqt ki kalam

Vakt ne kalam uthaai
Khoon bana shyahi
Dil ke kaagaz per
Likh di Tabaahi

Unn dino ki yaad ne aaj dilko phir rulaaya hei
Sur ke adhurepan ne, nagmo ne tumhe phir bulaaya hei
Tere jaane ke baad se dil mera khamoshi se dhadka
Khamosh mere dil ne, aaj kuch phir gun-gunaaya hei


Subah aayne mein anjaan sa chehra nazer aaya
Kitne badal gaye hei hum aaj hume hos aaya

Vafa-e-ishq mein hum luut jaayenge Aur tuje majboor kar jaayenge
Humei chahne ko tum majboor ho jaaoge Aur hum tumhe chorr jaayenge
Kasam hei mujhe apne pehle pyaar aur vafa ki
Jo dard diya hei tune mujhe Ush dard ka tuje ehsaas karvayenge

Jabh aankh mein nami si hoti hei,
Dil mein kisiki kami si hoti hei,
Jabh aankh jukh jaaye toe nami sukh jaaye,
Par koi bataaye kaise dil ka dukh jaaye...!

kati patang

Kati patang ban gayi hai zindagi meri
Jeevan ka dhaga jo toota dil main reh gayi hai
bas yaad teriSocha tha mohabbat kar ke tumse,
jahan pa lenge hum Bewafai jo mili dhadhkan jaise gayi hai tham.
Raaste ka akela musafir hoon main
Patthar bhari rahen bula rahin hain
Badan jal raha hai dard ki boondon se
Tanhayi ki baarish takra gayi ho jaise judai ke mausam se
Jala pyaar khatam hui tamannaPatthar dil ban gaya hai
Ishq ne jo ki bewafai mujhseToota dil haath main thame,
reh gaye tanhayi se joojhtey.Ye likhi hai panktiyan tumhari yaad main
Padh sako tho samajh jao tumIs kati patang ko tum lena sambhal
Alwida kar duniya ko maut ki aahosh main sama chale hum....

ye aankhen

Zamane ne mujko thukra diya hain Maut ke aur kareeb la diya
hain Kabhi mud ke jo peeche dekhta hoon Sochata hoon,
duniya ne mujhe kya diya hain? Woh jisne mohabbat ki baazi na kheli
Kya khaak zamane mein woh insaan jiya hai Hamari tumhari kuch alag baat hogi
Ishq to duniya mein bahuton ne kiya hai Bin piye jo main ladkhadda raha hoon
Yeh aankhon ne teri bataa kya kiya hai Manzil ki talash mein gaya tha
musafir Raaste ne khud usko bhatkaa diya hai

pyar ka tofa


Mein shayari likhna chahta hoonKalam se sihayi nahin aati
Jab sihayi aane lagti haiTo teri yaad hai aa jati
Jab yaad aane lagti hai
Fir yaad nahin jaat
iBas rah jaati hai teri yaad
Aur sookhi hui sihayi ...

kaash ye dil koi bantne ka saman hota
kaash hamare paas do char dil hote
unke sharafat ko salam karte huye
unko bhi ek dil tofa me hum pesh karte.....

Pehli baar aap ki rang bhari mehfil mein aaya hoon
Naye Mausam ke pehle sher aap ki khidmat mein laaya hoon

chooriyan khreedi hain


Khuwahisho k Jangal mai Raat Justuju kar k
Hum ne us ki Khatir ab Chooriyan Kharidi hain
Dil bala ka Wehshi tha, Dil se Guftugu kar k
Hum ne us ki Khatir ab Chooriyan Kharidi hain
Wo Ajeeb Larki thi us ko Raass aata tha
Barishon ke Mousam mai Khirkyan khuli rakhna
Us ajeeb Larki ke Dil mai Aaarzoo kar k
Hum ne us ki Khatir ab Chooriyan Kharidi hain
Be-Qarar Jazbon ko Aag jesey Shairon ko
Neend ke Jazeerey mai Udtey oye Parindo ko
Ek Safaid(white) Kagaz per phir se ro-buru kar k
Hum ne us ki Khatir ab Chooriyan Kharidi hain
Kuch Kitabein lena thi aur kuch naye Kaprey
Aur kuch Zururi cheezein b,
per yuu hai kapni her Khuwahish ka is baras Lahoo(Khoon) kar kHum ne us ki Khatir ab Chooriyan Kharidi hain

baadlon main chupa chaand


Tum saath ho tho mujhe andheron ki parwaah nahi
tum manzil ho meri mujhe mushkilon ki parwaah nahi
baadlon main chupa chaand phir dekho muskurata hai
yeh waqt do ghadi ka hai mujhe gardishon ki parwaah nahi
raah-e-zindagi main waqt kaise kaise imtehhaan leta hai
tum hamsafar ho jab mujhe natijon ki parwaah nahi
doop ke safar main aik din chaanv bhi aayegi
hausla tumne diya hai to mujhe faaslon ki parwaah nahi
gham ke samandar se umeedon ka keenara ab door nahi
tum kaashti ho meri mujhe tufaano ki parwaah nahi
agar is bedard duniya may tum rish-e-fiza hosaseh
tum hi hoo tho mujeh hawa-e-sameer ki parwaah nahi

roothi hai humse zindgi


doston ne hee dagaa dee ab kissee se kyaa kahen
jisne toDaa dil hamaaraa ham ussee se kyaa kahen
shaam kee khaamoshiyon men goonjtee hain dhaDkanen
jab sahelee raat kaalee roshinee se kyaa kahen
hain mile har roz vo hee bebasee ke raastehar gha
Dhee roothee hai hamse zindagee se kyaa kahena
arzoo kee ye kahaanee khoon se hamne likhee
raat din jisne rulaayaa us hansee se kyaa kahen
khwaab men aakar sulaayaa raat bhar kisne hamen
chaand ne phir hai jagaayaa chaandnee se kyaa kahen
yaad to aatee rahegee jab chalegee saans ye
gham ko khud hee hamne paalaa ab khushee se kyaa kahen
hai zamaane se naheen shikvaa shikaayat to hamen
aasmaan ne dee duhaayee ham zameen se kyaa kahen

chaand ki soorat


Duniya ko jiski chand si soorat se pyar ha
iMujhko to uski soch ki wussat se pyar hai
Uski muhabbaton ki nahi shart ya talab
werna tou har kisi ko zaroorat se pyar hai
Aye kash zindagi tere khuwabon mein kaat ta
Mein kya karoon keh mujhko haqeeqat se pyar hai
Barh kar kisi ke husn-e-ada rang-o-roop se
Humko kisi ke tarz-e-muhabbat se pyar hai
Majnoo ka sab khuloos hai mere mizaaj mein
Sehra se mujhko uns hai wehshat se pyar hai

kuon apni mohabbat ko fanaa karega


aati hai yaad teri,
rota hai dil mera
girte hai aansu mere,
banta hai naam tera


Aati hai yaad teri to fiza bhi sath deyti hai,
Tan-Badan uss barsaat mein bheegte hai,
Rooh ko chu jati hai tadap tumse milney ki,
Ek aur bahana ban jata hai deewaney pann ka.

kaun apni mohobat fanaa karega...
sabhi nek ban gaye to gunah kaun karega...
aye khudha sanam bewaafa ko bachaye rakhna...
warna humare maut ki dua kaun karega...

Yaar kyon tum itni udaasi ki baatein kartey ho
Kya baat hai jisse tum itna dartey ho,
Humein bhi batao kuchh dukh to baant lengey,
Tumhaara daman phir se khushiyon se bhar dengey.

Jab Jab Ye Sooraj Dhalne Lagta Hai,
Us Ka Naam Mere Honthon Pe Khilne Lagta Hai,
Kuch Is Tarah Se Us Ki Yaad Aati Hai,
Ki Zindgi Ka Har Pal Mehekne Lagta Hai.

Saturday, June 24, 2006

kya khabar thi


waqt ke dayare se hum nikal na jaae
aapke dil se kahin hum utar na jaae
hum bewaqt aapko yaad karte rahenge
warna kahin aap hume bhool na jaaen

kya khabar thi is tarha se wo juda ho jaega
khowaab main bhi uska milna haadsa ban jaega
zindhi ki qaid-o-gum se kya nikaaloge use
maot jab aaegi to khud riha ho jaega
dost ban kar usko chaha ye kabhi socha na tha
dosti hi dosti main wo khuda ho jaega
uska parda hoga kya jiska ki parda noor hai
jo bhi usko dekh lega wo fida ho jaega

zindgi kya hai apni


Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain

Zindgi kiya hai apniEk toota aina hai
Maut kiya hai apniEk choota ashiyan hai
Zuban kiya hai apniEk roota biyan hai
Mohabbat kiya hai apniEk jalta gulistan hai
Taqdeer kiya hai apniEk soya jahan hai
Shanakht kiya hai apniEk khoya insaan hai

shaam o subhateri yaad stati hai hume
jub akhe kholoto tera chehra dikhati hai humme
jub kisi ko muskurate dekhuto teri muskurahat bulati hai humme
oh bewafateri bewafayi satati hai humme

HUM NAY US SAY MOHABBAT KI ZINDAGI BHAR SAATH NIBHANAY KAY LIYEUS NAY HUM SAY MOHABBAT KI AIK DIN SAATH CHOR JANAY KAY LIYE

Sukh Mein Tere Saath ChaalengayDukh Mein Sab Munh Morengay
Duniya Waale Teray Bankar Tera Hi Dil Toorengay
Dete Hain KHUDA Ko Dhokha Insaan Ko Kiya Chhoorengay

Mairi tarahan to bhi kisi bewafah se piyaar kare
Woh tujhe dil se bhoolade aur tu intezaar kare

aankhe


haqikat jaan lo,bichad jaane se pahle
neri sun lo apni sunaane se pahle
ye soch lena bulaane se pahle
bahot roi hain ye aankhe muskraane se pahle

Thursday, June 22, 2006

dum labon par hai

kismat ne door fenka,mukaddar main thi judaai
aansoo khaali gir pade,jab yaad tumhari aai
takdeer se kya sikwa,jab kismat humse rooth gai
jis phool par humne haanth rakkha,saakh wahan se toot gai

mohabbat ki manzil bahot door hai
itni door akele hum ja na sakejo zindgi ke liye zaroori ho gaya tha
wo kuch bhi hum pa na sakechahat itni badh gai,ki khoon main rach gai
baat jo aaj tak hume satati haiwo dil se hontho tak la na sake

daag daman ka dil se mitaya na gaya
humne laakh chaha aapko bhulaya na gaya
roothne wale se koi ye to pooche ki
aap khud roothe hain,ya humse manaya na gaya

kai meethe pal yaad aate hain
palkon par aansoo chor jaate hain
kal koi aur mile to hume na bhulana
dosti ke riste zindgi bhar kaam aate hain

dum labon par hai,agar ab bhi nahi aaogelaas paoge meri,
mujhe nahi paogeyahi behtar hai,
tum mera haal na poocho mujhse
tum mera haal sunoge to tadap jaoge

ek thandhi subah main,aapki yaad aai
yaad bhulaane ke liye aag jalaai
khuda ki kasam,aysi kayamat hui
dhuwen main bhi aapki tasveer nazar aai

mana kabhi dil ki baat na btaoge
par aankho main jo hai use kayse chupaoge
wada raha tumse ye hamara
jab bhi phone uthaoge hamara sms paoge

is anudhao ke beech,koi chehra nazar aata hai
aaj is viraani jagha koi saya nazar aata hai
kabhi kabhi ye aankhe is kadar num ho jaati hain
jab bhi mujhe tere wadon ka khyaal aata hai

aaj door fizaon se,ye paigaam aya hai
dosti ki zubaan par hamara naam aya hai
hoga duniya ke liye ye kagaz ka tukda
aaj dekho humare kitna kaam aaya hai

ek dulhan ki tarha, tujhe saza kar rakhun
chandni raat ki nazron main tumhe chupa kar rakkhun
lekin kya karoon meri takdeer mere haantho main nahi
warna zindgi bhar tujhko apna bana kar rakkhun

vo mere paas se guzar gae,mera haal tak na poocha
main kayse maan loon,vo door ja kar roye
mile jo raaste main,to unse kahna
main akela hoon mere paas aa kar roye

meri dhadkan tujhe bana kar,sang rahne ko jee chahta hai
mere khowab tujhe bana kar,sapne dekhne ko jee chahta hai
ye to hai hi mere dil ki aarzoo,tere liye,is liye
meri umar bhi tujhe de kar mar jaane ko jee chahta hai


chaand jo raato main mere saath chala
sayad mere saath mera gum baant raha hai
doobi hain meri ungliyan abhi tak lahoo main
kisi toote hue seeshe ko uthaane ki saza hai

yakeen ho chala hai,zindgi bewafa haimaot hi asliyat hai,baanki sab dhokha hai
mohabbat kahti hai jise duniya saarivo dil se khelne waalon ka mela hai
na kar yakeen tu is zindgi aur mohabbat parvo aayga aakhiri main hisse tere,vo dard aur fana hai ruswaiyon ka taaz pahan kar har aasiq ka zanaza nikla
yahi zindgi ki asliyat aur yahi wafaon ka sila hai
zindgi aur mohabbat dono hi barbaad karti hai
ek saath le jaati hain ek saath chorti hain
yahi dono ko wasool aur faisla hai

hume pana ho to khud ko khona hoga
chahte ho humari khusi to apne gum dena hoga

kuch log badal gae hain

Is raat ki tanhaeeyo ke Sab rang badal gaye hai
Chand nikla hai waise hiAndhere badal gaye haiJinke bharose thi khusiyanWo log badal gaye hainManzile to abb bhi wo hi hainKuch rastay badal gaye hainJinpe kiya tha bharosa hum neWo dost bicharr gaye hainDakhe thay kabhi jo humneWo kahwab badal gaye hainJo banay thay kabhi hamsafarAaj wo hi mukarr gaye hainAis tutay huye dil kay sarayjazbaat badal gaye hainNa badle kabhi humNa badle hamaray khayalatBas rona hai yahiKuch log badal gaye hai

Wednesday, June 21, 2006

tumhari awaz

Tum mil jao toh meri Sanso ko Panah mil jaye.
Tumhari aawaz sunlu toh jee mera bhar jaye…
Tujhe dekhu toh ruh ko meri Sukoon mil jaye.
Tere pyaar me meri jaan Fanaa ho jaye

BOOk Khulte hai Exam ka Sama hota hai.........
Aise Mausam Mein hi Toh Dimak Kharab hota hai.....
Dimag ki Baatien Paper pe nahi aatii.,
Yeh fasana Toh MaRK SheeT Pe BaYa HoTA HaI

Sapne thae, Sapno k Aap Sahil hue,
Na Jaane kaise hum Apki Dosti k Kabil hue,
Karazdar Rahenge hum uss Hasin pal k,
Jab Aap Hamari Zindagi me Shamil hue… ...


Kyon Dil ke itne Karib aa jaata hai koi,
Kyun Apne pann ka Ehsaas kara jata hai koi,
Jab Dil ko Aadat si ho jati hai Uski,
Kyun utni hi Dur Chala jata hai koi…

Har Naye Din par Aapka Naam ho,
Har Arshivaad ka Saaya Aapke Sath ho,
Koi Dukh Aapko Chu na Sake,
Har ek Muskurahat par Aapka Naam ho.

sitamgar

Ab To Aajmana Chor Sitamgar,
Kya Aapki Itni Aajmish Kam Nahi,
Sara Sahar Hai Khra Dusman Bankar,
Hum To Teri Muhabat Ka Dam Bharten Hai,
Aur Aap Sare Aaam Khangar Liye Phirten Hai

Sadiyon Baad Us Ajnabi Se Mulaqat Hui,
Aankhon Hi Aankhon Mein Chahat Ki Har Baat Hui.
Jate Hue Us Ne Dehka Mujhe Chahat Bhari Nigahon Se,
Meri Bhi Aankhon Se Ansuon Ki Barsaat Hui

Aaj dur se hi koi salaam kar gayi...
Apni dhadkane benaam kar gayI....
Saasein girvi raki thi jinke pass....
Aaj wohi hume nilaam kar gayi... ...

Jab koi khayal dil se takrata hai,
Dil na chah kar bhi khamosh reh jata hai...
Koi sab kuch kehkar dosti jatata hai,
To koi kuch na keh kar bhi dosti nibhata hai....

Har yaadon me Usiki Yaad rehti hai,
Meri Aankhon ko usiki Talash rehti hai,
Kuch aap bhi Dua karo Yaaro,
Suna hai Dosto ki Dua me Farishto ki Fariyad hoti hai

Kahi Andhera toh kabhi Shaam hogi,
Meri har Khushi aapke Naam hogi.
Kuch maang ke toh Dekho humse.
Honthon pe Hansi aur Hatheli pe Jaan hogi

Pyar ek ehsaas hai jise koi koi hi mehsoos kar sakta hai
Pyar ek tapsya hai jo har koi nahi kar sakta
Pyar ek tyag hai jo har kisi ke baas ka nahi
Pyar ishwar hai jo pooja se prapt hota hai Pyar

Dost hazar nahi sirf ek chahiye,
Dukh-sukh me de sath vo yar chahiye,
Hum kisi ko bhulate nahi lekin jo yad rakkhe hame vo yar chahiye......

Humne chaha tha jinhe kisi zamane mein,
woh aaj palat kar humse hamara naam poochte hain...
Ek pal bhi hamari yaad na aai aur aaj haal-chaal poochte hain

Majboorion Ki Khabar Hai Mujhey....,
Baat Baat Par Kasmein Na Khaaya Karo....;
Roz Geiron Ki Majlis Mein Jaate Ho Tum....,
Kabhi To Apno Ki Mahefil Sajaaya Karo..!!! ...

Tanha raho Kabhi toh mujhko Dhundna…
Duniya se Nahi Apne Dil se puchna…
Aas paas hi Kahin rehte hain hum…
Yaadon se nahi, Saath Guzare Lamho se puchna…

ITNI SHADEED BARISHEN AB KE BARAS
PAREENTOOTE HOVE GAON KE CHAPPER BHI RO PARE
AB-E-RAVAN KE SAMNE PYASON KO DEKH KER
PYASON KI BE BASI PER SAMANDER BHI RO PARE

dosti hai naam sukh-dukh nibhane ka,
dosti raaz sada muskurane ka,
yeh koi pal bhar ki pehchaan nahi
yeh saath hai umar bhar nibhane ka
jawaab teri shayari ka....
denge hum shayari mein....
naam tera likh baithe hain....
apne electronic diary mein....

Mat pooch mere sabr ki inteha kahaan tak hai......
Tu sitam kar le teri takat jahaan tak hai....
Wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi....
Humein to dekhna hai to bewafai kahaan tak hai

Aaine par bhi parda kar ke dekha humne,
Khud ko itna bhi tanha karke dekha humne.
Pata chal gaya us roz kitne sacche hain hum,
Us roz khud se vada kar ke dekha humne

Hum agar aapse mil nahi pate aisa nahin ke hamein aap yaad nahi aate,
mana jahan ke sab rishte nibhaye nahi jate,
par jo bas jate hai dil me phir bhulae nahi jate

Roothe ho tum najaane kis baat par ...
To phir wo baat kyun nahi bataate ho humien?
Jaan jaati hai hamari , Jab yaad aati hai tumhari.
Tum to humien bhula dete ho... To phir kyun yaad aate ho hum

Har pyaar me aisa mod kyon aata hai,
Ek saathidusre ko tanha chod jaata hai...
Janmo tak saath nibhane wala pyaar,
Begano ki khatir apno ka dil tod jata hai

Sitaron Ki Mehfil Main Aapko Paya,
Pariyon Se Bhi Sunder Khuda Ne Banaya,
Roshan Ho Jaye Aap Jahan Jaye,
Woh Pyar Mera Sab Ko Bhaye.
Log Kehte Pyar Main, Ki "
Aapko Khuda Ne Fursat Se Banaya

Kaise Samjhawun Pagal Dil Ko, Soche Sirf Pal Pal Uunhi Ko,
Dil Aansuwon Se Bhig Jatha Hai, Jab Yaadon Main Bhi Chod Jathi Humko. ...

Pyar Main Dil Uunka Bhi Nam Tha,
Bhigi Si Woh Pyar Bhara Pal Tha,
Yaadon Main Reh Gayi Woh Thasvirain,
Jo Pyar Bhara Khusiyon Ka Safar Tha.

Kanta na hota, toh Phool ki Hifazat na hoti,
Andhera na hota, toh Roshni ki Zarurat na hoti,
agar mil jati hai Khushiya Duniya me,
toh Dil ki Mulaqat Dard se na hoti

bheegi hui aankho ka manzar

Bhigi Huyi Aankho Ka Ye Manzar Na Milega,
Ghar Chor Ke Na Jao Kahin Ghar Na Milega,
Phir Yaad Bahut Aayegi Julfo Ki Ghani Sham,
Jab Dhup Me Saya Koi Sar Par Na Milega,
Aansu Ko Kabhi Osh Ka Katra Na Samjhna,
Aisa Tumhe Chahat Ka Samundar Na Milega,
Ish Khawab Ke Mahol Me Be-Khawab Hain Aankhe,
Jab Nind Bahut Aayegi Bistar Na Milega,
Anmol Sajavat Hai Ye Sarmili Hansi Bhi,
Bazar Me Aisa Koi Jevar Na Milega,
Ye Soch Lo Ab Aakhri Saya Hai Muhabbat,
Ish Dar Se Uthoge To Koi Dar Na Milega...!

dil ki gahraai

Aasoon se bhari, Ankhon ko chupata kaha,
Aakhir apna pyar joh khoya dil tuta…
Dhal gaya rishto ki shyam…
Uss raat mere mukkudar pe… Asma bhi roya…

Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi,
aapke har gham ne bhi sukoon diya,
hum zinda hai toh yeh jaankar k
pyarse na sahi par aapne hume yaad toh kiya…

Aaj arse baad jab suni uski awaaz,
toh laga ki mere bahut pass hai woh.
Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya,
aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.

Zindagi gar phool, toh tum khushbu ho...
Zindagi gar khwaab, toh tum aarzoo ho...
Zindagi gar jeena, toh tum meri zaroorat ho...
Gar Mar jaana, toh haaton mei tera haath ho...!!!

khuda se karne ek faryad baki hai,
Humne unse kahni kuch baat baaki hai,
maut aayegi to kahenge,
RUK meri jaan se abhi mulakat baaki hai.

Bina dard k ansu bahaye nahi jate,
Bina pyar k rishte nibhaye nahi jate,
Ae dost ek baat yaad rakhna
bina DIL diye, DIL paye nahi jate…

Yun toh bahut tha baatane ko,
zamaane se chup ke chaha tha apne chahne wale ko,
kya khabar thi yun tanha chod deega woh,
acha hua ki mere dukh ki khabar bhi na mil paaye zamaane ko. .......

samunder ko kya dukh hai bataa bhi nahin sakta,
aankhn mai aansuu laa bhi nahin sakta,
tu saath chhodkar jaa rahi hai mera kasoor nahin tera,
har shaksh mera saath nibha bhi nahin saktaa.......

Tuesday, June 20, 2006

pyar ka anjaam

Mai manta hu ki ye pyar ka, Anjaam hi kuch aisa hota hai !Char din ki khushi ke baad,Insaan poori umer bhar rota hai !Kisi bewafa ki yadon ke sahare,Apni ghame zindgi ko dhota hai !Karta hai intzar kisi ka bewajah,Our apne keemti waqt ko khota hai !Use yakeen hai ki ek na ek din, Uska maseeha lout hi ayega !Door honge sabhi gile sikve us din,

aankho ka chaand

hamara har lamha chura liya hai aapne,
ankhon ko ek chand dikha diya hai aapne,
hamein Zindagi to di thi kisis aur ne,
par itna pyaar deke Jeena sikha diya hai aapne

Monday, June 19, 2006

Aik Lakeer Terey Naam Ki

kuch udaas kuch khamosh kuch bebas see lakeerien mereyhaath ki?
Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hey Kuch dil bhi janta hey Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon Aksar ek lakeer tere naam ki Aik lakeer terey naam ki....

Sunday, June 11, 2006

Yeh Rishtey

Woh aaye maiyat par meri,
karne mohabbat ka izahar,
mere bejaan jism ne kaha,
mat ro, aaj bhi main tujhe karta hoon pyar.

Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.

Kuch rishte anjane mein ho jate hai,
pehle dil phir zindagi se jud jate hain,
kehte hai uss daur ko dosti,
jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai

Tere pyaar mein mere sanam,
hum khud se mulaquat kar bhete
Chalte chalte bas yunhi achanak,
hum zindagi se mulaquat kar bhete

Bayaan - e - Ishq

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Gul mohar ki kataar jaisi ho,
Wadiyon main bahaar jaisi ho,
Paayalo.n ki chum chum chum si,
Chand meri yaar , kaisi ho

Raat bhar neend hi naa aaye to ,
Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
Kyaa hua hai bataaiye kaise,
Yaad koi bahot hi aaye to

Yaaron mar bhi gaya to,
Aarti meri dafnaa dena
Utha kar janaza mera,
Unki gali ghuma dena
Agar wo mera pata puche to
Shamshaan ghaat bata dena

Vo saaz nahi jisme sargam nahi,
vo jawani nahi jisme humdum nahi,
O sapno mein khushi ko dhoonde wale,
vo zindagi nahi jisme gam nahi

Raat chupchap hai
magar dil khamosh nahi
Kaise keh du dil ki baat,
aaj fir hosh nahi aisa,
Dooba teri aankho ki gehrai mein kuch aisa,
haath mein jaam hai magar pine ka hosh nahi.....

pyaar ki es najook rah mai humne bhi bahut dhokhe khaye hai,
khushiya sab de di yaaro ko hazar gam es dil mai samaye hai,
ab gam ki en kaali raton mai tanhaaiya hamare sath hai,
dil tor diya us bewafa ne mera maine pyaar mai ye tohfe paye hai.

Dil ki aas

Log har mod par ruk ruk ke sabhalte kyoN haiN
Itna darte haiN to fir.. ghar se nikalte kyoN haiN
Main na jugnu huN na diya huN na koi tara huN
Raushni wale mere naam se darte kyoN haiN

soch te hai hum ki unse kya kahe
dil ka dard kaise unhe bayan kare,
darte hai ki kahi woh inkaar na kare,
is zakhmi dil ko aur bimaar na kare.

koshishe bahut ki khood ko khush rakhne ke liye
hasi bhi nakli kahi se kharid li hai humne
maloom nahi par phir bhi kyun yeh dil udaas hai
is bekarari main jaane kiski aas hai

Lakh pardon mein duniya ne tumhe chhipa rakha hai,
chnd pardon mein tumne khud ko chhupa rakha hai,
Are O chhupane wale yeh bhi chhupa ke rakhna ki
hamane tumhe apne dil mein chhupa rakha hai.

Zindagi ek Kiraye ka Ghar hai,
Ek -na-Ek Din to , Nikalna Padigaa
Maut Jab Hamko AaWaz Degi,
To, Hame Bahar Nikal Na Padigaa

Jab Kisi se gila rakhana,
samne apne aaina rakhana.
Youn ujalon se wasta rakhna,
Sama ke paas hi hawa magar rakhna.
Ghar ki tamir chahe jaisi ho,
Es main rone ki kuch jagah rakhan.
Masjiden hain n majiyoun ke liye,
Apne ghar main hi kahin Khuda rakhna.
Milna Julna janha jaruri ho,
Milne-Julne ka hausala rakhna.
Jab Kisi se gila rakhana,
samne apne aaina rakhana.

hathi nay kaha ja kar hathni ki kabar per
sadqey jaoon tumhari patli kamar per

Kyoun daren, jindagi main kya hoga..
Kuch n hoga to tajurba hoga.
Hansaati aknho main jankh kar dekho..
Koi aansu kahin n chupa hoga.
In dino naaummed sa hun main..
Sayad usne hi bhi ye suna hoga..
Dekh kar tumko sochta hun main..
Kya kisi ne tumhen bhi chuha hoga

Kyoun daren, jindagi main kya hoga..
Kuch n hoga to tajurba hoga.
Hansaati aknho main jankh kar dekho..
Koi aansu kahin n chupa hoga.
In dino naaummed sa hun main..
Sayad usne hi bhi ye suna hoga..
Dekh kar tumko sochta hun main..
Kya kisi ne tumhen bhi chuha hoga

Is jahan se us jahan tak
Har jagah nazar aate ho
Kabhi Shayar ke libas mei
to kahi kavi nazar aate ho

Dekh Lo Khuaab Magar Khuaab ka Charcha Na Karo
Log Jal jayein gey Sooraj ki Tamanna na karo
Waqt Ka kya hai kisi Pal Bhi Badal Sakta Hai
Ho sake tum se tu tum mujh pe bharosa na karo
Kirchiyan Tootay Hoye Aks ki Chubh Jayein gi
Aur kuch Roz Abhi Aiina Dekha na karo
Ajnabi lagney lagey khud tumhain Apna Wajood
Apne din Raat ko itna Bhi Akela na Karo
khuaab Bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
khuaab Dekha na karo khuaab dikhaya na karo
Bey-khayalee main kabhi ungliyan Jal jayein gi
Raakh guzre hoye Lamhon ki kureedaa na Karo...