Tuesday, December 27, 2005

Mere dost

Jab se mili ho tum, ho jata hoon bekarar
Jiska hain pal pal karta hoon intazaar
Kya jadoo kiya hain tumne kese batahoon
Hey mere humdum dost tume kese jatahoon
Chand Sitaron se bari dunia main
Tha mere liye aandhiyara
Asha rupi kirna banker
Tumi ne kiya ujiyara
Tode se dino ke pahachaan
Barso kee see baath ho gayee
Chand ghari ke ye batain
Meri jindgani hee ban gayee
Jo samay aapke saath kat jata hain
Wo hee samay yaad aata hain
Ab to aalam yah hain kee
Sabse pahle aapka naam yaad aata hain
Hey mere dost bhool mujko na jana
Khuch dena chahte ho to yaad hamesa aana
Kam se kam jab akhri saans ho
Uss samay tumi hee ek yaad aana.

Sunday, December 25, 2005

Woh ...

palko ki chilman se suraj ki kirno ko dekha
om ki chahat ko khud par simat te dekha
o kirne nahi thi baahen tumhari mujhko bulaati thi nazdeek tumhaare ,
khud ko rok sakte nahi bin tumhare ji sakte nahi
phoolo ko jab khilte dekha us main bhi dekhi surat tumhaari
bebas hokar baith sakti thi kewal kirno ko door se dekh sakti thi kewal
choone ko jayse hi badhte the aage gum ho jaati thi surat tumhari
phoolo se aai thi khusboo tumhari aankhe band karke faelaai baahen
aysa laga tum ho saath hamare

agar main app ki ansuu ki ek bund hoti to appki ankho main pedi
hoti,galo pe jiti aur,hotho pe marti aur agar appp mere ankh ke asnsu
hote to main app ko khone ke dar se kabhi nahi roti

pehli bar usko deka woh mera dil ban gaya usko soocha woh meri darkan
ban gaya usko jaana woh meri jaan ban gaya usko yaad kiya woh meri
duniya ban gaya kash main yeh jaanta ke izhar ke intazar main koi meri
duniya mujhse cheen le ga kash woh yeh jaan jaata ke woh mera pehla
pyar ban gaya

Thursday, December 22, 2005

Aansuon ki kismat

jindagi ki raho main jab age jaouge ,
pichhe ek saya hamensha paoge,
mudkar dekhogi to tanhai hogi ,
magar mahsoos karogi to hame sath paogi

hotho ki zuban ye assu kehte hai,
jo chup rehte hai fir bhi behte hai,
aur in assu ki kismat to dekho
ye innkeliye behte hai jo in ankho main rehte hai

appko bhuljau umar gujarjane ki baat hai,
app ko naho yakin ye kuch aur baat hai...
jab tak rahegi saas tab tak rahogi yaad
yeh saas toot jaye to aur baat hai

Saturday, December 03, 2005

Zindagi

Mushkilon se Aapki Mulakat Na Ho,
Udas Baitho Esi koi Baat Na ho....
Dua Hai Ki Mehfilon Se Saje Zindagi Aapki,
Bas Mumein Pukar Lena Agar koi Saath Na Ho.


teri zindagi ke lamehe main har pal nikhar aaye
gulshan bhi ho paresha is kadar bahar aaye
Door hi sahi, kinaara to hai...
Timtimaata hi sahi, sitaara to hai..
Ho jaati hai tumhari yaad se hi tasalli..
Tinka hi sahi... sahara to hai..

Tum ko Khushi mile , Tum ko Chahat mile
Tumhain saare jahan ki Mohabbat mile
Jahan main sab se hon acche Tumhare Naseeb
Koi dukh kabhi bhi na aaye Tumhare Qareeb

Aasoo-on Ke Chalne Ki Aawaaz Nahi Hoti
Dil Ke Tootne Ki Aahat Nahi Hoti
Agar Hota Khuda Ko Har Dard Ka Ehsaas
To Usey Dard Dene Ki Aadat Nahi Hoti

aisa rumaal hi kahan jo mere asoon ko poch sake
tumhara aisa yeah dil kahan jo mere haal ko samajh sake"

Fareb tha hasi mein, aashiqui samaj baithe...
Maut ko hi hum, apni zindagi samaj baithe....
Waqt ka mazak tha ya badnasibi hamari...
Unki do baton ko, Hum Chahat samaj baithe...!!!

Tum haseen ho to hum bhi kuch kam nahi
Tum mahlo ki ho to hum bhi sadko ke nahi
Pyaar kar ke kehti ho ke shaadi shuda ho
Kaan khol kar sunlo Kuvare hum bhi nahi.


Har baar hosla karte hain
phir khud hi toot jate hain
Is dil ko khud hi samjha kar
is dil se har jate hain
Phir se ret ko muthi mein pakad ka r
phisalta pate hain Ankhon mein samandar ko samette samette
chalkta pate hain Har baar kuch chah kar ,
woh khud hi kar jaate hain Intezar karvate karvate ,
khud hi intezar karta pate hain Na jane kyun is dil ko ,
samjha hi nahi pate hain Apne aap khud ko mana hi nahin pate hain
Woh kya samjhenge jasbaat jinhe 'EHSAAS' hi nahi
Na jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jate hain.

Friday, December 02, 2005

dil ki baat

Samja na koi dil ki baat ko,
Dard duniya ne bina soche hi de diya
Seh gaye jo humdard ko chupke se
To humko he patthar dil keh diya


Itna kuch khoya ki hume pana nahi aaya
Pyar kiya to phir jatana nahi aaya
Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein woh
Kasoor unka nahi humara tha
jo unke dil me samana nahi aaya


Gadha jo khaye wo Ghas ho tum
Buddhe ka Chyawanprash ho tum,
Idiot stupid bakwas ho tum
Par jo bhi ho yar, Dost Jhakaas ho tum

chahat

Chahat par ab aitbar na raha
Khushi kya he ye ahsas na raha
Dekhe he in ankho ne tute hue sapno ko
isiliye ab kisi aur ka intjar na raha

Woh yaad aaye bhulate bhulate
Dil ke zakham ubhar aaye chupate chupate
Sikaya tha jisne muskurana
Usine rulaya hasate hasate.

Kash Khuda ne Hame Kitab Banaya Hota
Use Padne K Liye Sirf Aapko Banaya Hota...
Aap Padte Padte So Jate,
Is Bahane Hame Gale To Lagaya Hota

Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi
Aap Jese Dost Jabse Mile
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Jarurat Nahi

Asmaan ko neend aaye toh sulau kahaan
Dharti ko maut aaye toh dafnau kahan
Sagar mein lehar aaye toh chupau kahan,
Jab kisi ki yaad aaye toh jau kahaan

dosti

phool aysa ho jo baag ko bhar de
ham safar aysa ho jo andhere ko roshan kar de
dost aapke jaysa ho jo zindgi ko khusiyon se bhar de

ham hawa ke saae hain guzar jaaenge khaamosi se dil main utar jaenge
pakki hai dosti ye huwa ahsaas tumse bichad kar ham kidhar jaenge